|
|
nauman786
|
Group: Members Joined: 25th Jul, 2010 Topic: 1 Post: 2 Age:
24
|
|
Posted on:4th Aug 2010, 6:57am |
|
|
Age Difference Between Husband And Wife - Age Difference In Marriage
asslam o alykum
i have seen your website, which is very good and helpful for new generation to know about their problems, i want to get an information from you. i am 21 year old and my parents are trying to merry me with a girl whose age is 28 year old, she is my first cousin. please tell me is there any problem and any information about this topic. you know my mean is about future problem which i can face if i merry with her. about children and every thing, i am very upset i shall wait for your answer
i shall highly thank full to you if you send me information about this topic
|
Logical
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 371 Age:
39
|
|
Posted on:8th Aug 2010, 1:27pm |
|
|
elder wife 21 aur 28 mai 7 years ka difference hai. yeh difference bahut ziadah hai. aap ko mashwara hai keh yeh shaadi na karai tu behtar hoga.
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6525 Age:
35
|
|
Posted on:8th Aug 2010, 1:53pm |
|
|
Age Difference Between Husband And Wife - Age Difference In Marriage Jub Nubi pak ko Huzrat Khodeeja (R.A.T.H) nay Nikah kay leyeh pussund keya or Nikah ka or shadi ka paghaam bheja os wakat Nubi Pak (P.B.U.H) ki age 25 year or Ammaa Huzrat Khodeeja ki age 40 year thi,
abi apka jo mohamila hay yeh depend kurta hay like dislike pay , aghur apki cousin apko pussund nahi hay tu ap shadi na kurin, lakin aghur apko apni cousin pussund hay tu age matter nahi kurti , apki post say undaza hota hay apko apni cousin pussund nahi hay so ap rishty say inkaar kur sukty hen, jo real baat hay wo ap kurin kay apko wo lurki pussund nahi hay, jub bat pussund ki aajati hy tu pher age koi nahi dakhta , |
Logical
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 371 Age:
39
|
|
Posted on:8th Aug 2010, 1:58pm |
|
|
age difference in marriage ham har baat mai Nabi (PBUH) ko follow nahi ker sakte especially marriage ke maamla mai. behtar yahi hai keh iss masla ke hal mai Nabi (PBUH) ka zikir kiye beghair suggestion di jaaye.
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5398 Age:
|
|
Posted on:8th Aug 2010, 11:51pm |
|
|
husband wife age difference
rE:Logical bro Dr.Qasim nee theik hi reply kia h.
hume Hazrat Mohammad (s.a.w) ki zindagi se misal leni chahiye aur koshish bhi krni chahiye k os pe amal bhi kiia jae.bcoz v r muslims.ab agar hum onhe follow nahi karein ge to phir kon kare ga.
insan ko pehli koshish yehi krni chahiye k on ko follow kia jae.haan agar buhot ziyada majbori hai to is ka bhi rasta hai dosra jo Allah ne dikha dia h.islam itna mushkil n jo ise follow krne me mushkil pesh ae.
aur numan786: agar aap on se shadi krne k lie dil-o-dimagh se razi nahi hain to aap on se na karein.kiu k agar start me hi koi esi bat ho jae jo dil ko manzor na ho to guzara zara mushkil hai. warna agar wife agar bari bhi hoti hai to is me prob nahi.ye donu bhi khosh reh sakte hain agar age difference ki bat mind se nikal dein to.
meri grandmother bhi bari h mere grandfather se.aur in ki life bhi masha Allah se bilkul achi guzar rahi h.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7507 Age:
54
|
|
Posted on:9th Aug 2010, 12:20am |
|
|
husband wife age difference
1. hum har baat maiN Nabi kareem saw ko follow karnay k paband haiN k wohi hamaray liyeh Role Model haiN... including marriage k maamlaat main bhi 2. hum sirf onhi "baatouN" par Nabi saw ko follow nahi karsaktay /nahi karna chhaiyeh jinki momaane'at nabi kareem saw nay khud kardi hai, including marriage 3. masalan... Nabi kareem saw nafali rozay bhi mosalsal rakha kartay thay.. jab sahabah RA nay bhi aisa karna start kia to aap saw nay yeh kah kar manaa kardia k tum log aisaa nahi karsaktay. 4. masalan... nabi kareem saw nay at a time 4 say zayad shadiyaaN keeN... hum aisa nahi kar saktay aisay "few exceptional maamlaat" bahoot wazah kar diye gaye haiN... baqi sab main hamain hedayat k liyeh Nabi kareem hi ki seerat ko dekhna chhaiyeh aur onhain follow karnay ki apni see poori koshish karni chahiyeh
|
Battery
|
Group: Members Joined: 17th Jul, 2010 Topic: 8 Post: 144 Age:
19
|
|
Posted on:10th Aug 2010, 9:03am |
|
|
husband wife age difference nauman786: yr its vry simple agr ap ko wo pasand hai to shadi kar lo aur agr ni hai to na kro n agr ap us se shadi kr lo to bi plz ye age difference apne mind mein na rkhna q ke is se ap ki married lyf mein prblm a skti hai
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4667 Age:
37
|
|
Posted on:10th Aug 2010, 1:55pm |
|
|
husband wife age difference and marriage
hona to yehi chahye ke Jis tarah humare Pyare Nabi ke Naksh-e-qadam pe chalain. Unhon ne bhi apne se kafi badi Umar ki Aurat se shadi ki thi. ajkal log dusri shadi bhi karte hain to apne se kam umar ko chod kar ,apne se 15-20 sal younger ladki se shadi karte hain. Agar aise log kisi ager Aurat ka Hath tham len to Allah unhe yaqeenan iska Ajjar dega .. kaha jata hai ke aurat jald burhi ho jati hai ya lagne lag jati hai ,jiski waja se kam umar ladki dhundi jati hai.. Agar apko ladki pasand hai.., aur unse understanding bhi ho sakti hai to shadi karne me koi harj nahi hai.. Lekin ye faissla soch samajh ke ki jiyega.. Kyoonke aisa na ho,ke ap ab jazbati ho kar shadi ka faissla kar lain ,aur bad me is ehsas-e-kamtari me mubtalah hon ke apne ,apne se ager ladki se shadi ki hai... aur agar shadi ka faissla kar lete hain,to ye teh kar ke ki jiyega ke ap us ladki ko kabhi ye ehsas nahi dilayenge !
|
Logical
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 371 Age:
39
|
|
Posted on:10th Aug 2010, 3:22pm |
|
|
husband wife age difference
re: "aisay "few exceptional maamlaat" bahoot wazah kar diye gaye haiN"
matlab yeh keh few exceptions ko nikal dia jaaye tu baqia maamlaat ko 100% nahi kahe ge. yani ham 100% maamlat mai Nabi (PBUH) ko follow nahi ker saktay.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7507 Age:
54
|
|
Posted on:11th Aug 2010, 12:22am |
|
|
Logical ki bewaqoof.anah reply :) agar apnay waisay hi bewaqoof.anah reply karna thaa to 'Logical' bannay ka faidah lol
Nabi Kareem saw nay to 'nabwat' ka fareezah bhi anjaam dia thaa ... kia ap iss fareezay ko bhi 'follow' dena chaahtay haiN ???
Nabi kareem saw nay jin batouN maiN khud ko follw karnay ka hukm dia hai, on batouN maiN say 100% batouN ko follow kia jasakta hai / kia jana chhaiyeh, karnay ki koshish karni chhaiyeh aiu kissi bhi baat 'naa.qaabilay follow' nahi samajhna chahiyeh |
Logical
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 371 Age:
39
|
|
Posted on:11th Aug 2010, 2:30am |
|
|
husband wife age difference
Naboowat aur Shaadi mai farq hai re: "Nabi Kareem saw nay to 'nabwat' ka fareezah bhi anjaam dia thaa ... kia ap iss fareezay ko bhi 'follow' dena chaahtay haiN ?"
Nabi Kareem saw khood nabi nahi bane balkeh onhai Allah Taala ne banaya tha. lehaza on ki naboowat ko on ka personal fael na samjha jaaye. jabkeh marriage on ka personal fael hai. on ki shaadi wahii ke zaria nahi huyee.
re: "Nabi kareem saw nay jin batouN maiN khud ko follw karnay ka hukm dia hai, on batouN maiN say 100% batouN ko follow kia jasakta hai / kia jana chhaiyeh"
yes! lekin iss ka yeh matlab nahi keh onho ne jo kuch bhi kia hai ose 100% kerna chahiye. onho ne jetni shaadia ki ham nahi ker sakte, lekin onho ne jetni shaadia kerne ko kaha ham woh ker saktay hai.
re: "karnay ki koshish karni chhaiyeh aiu kissi bhi baat 'naa.qaabilay follow' nahi samajhna chahiyeh"
yeh thread chukeh shaadi se related hai, lehaza ham shaadi ke maamle mai Hazoor (PBUH) ko follow nahi ker saktay. onho ne ba yak waqt jetni shaadia ki woh ham nahi ker saktay. ham Hazoor (PBUH) ko 100% follow nahi ker saktay.
re: "agar apnay waisay hi bewaqoof.anah reply karna thaa to 'Logical' bannay ka faidah lol"
please no personal comments.
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6525 Age:
35
|
|
Posted on:11th Aug 2010, 10:16pm |
|
|
Age Difference Between Husband And Wife - Age Difference In Marriage
jub bat pussund ki ho love ki ho tu age diffrence matter nahi kurta lakin jub pussund he na ho or shadi bhe ho jay tu pher bot sary problem ajaty hen, Islam meah essi koi limit moqarar nahi , Nabi pak ki life humary leyeh Mushal-a-rah hay, ono nay ek say zayid shadiyaan ki wo Allah k hokam say ki on sub shadiyoon meah koi hikmat posheeda thee jo shadiyaan Huzrad Khodija kay bhad apny kee, apka sath huzrat Khodeja say 25 years raha tub tuk apny koi dosri shadi nahi ki,osky bhad jitni shadiyaan hoi on meah kisi rusam ruwaaj ka ya on bato say khatimaa kurna thaa jinka islam say ya Allah kay hokam say koi lan dayin nahi taha logo nay khod say apny oper Huram kur leya taha Husband wife ka relation Peyar or Mohabat say jora hota hay agur wife ya husband ek dosry ko pusand nahi kurty tu wo relation punupta nahi toot jata hay ya family problems ka shikaar ho jata hay es leyeh shadi meah age say ziyada apni pussund or dono ki ruzamandi ka khiyaal keya jay, na kay age ka , lurki buri ho ya choti ho osy Allah nay bay punah sulahiyato say nuwaza hay wo apny ap ko hur environment meah dhaal lati hay,serf etna khiyaal keya jay shadi kay time lurki ki age 18 years say oper ho tu bot achi bat hay, Jin bato say Allah or osky Rusool (P.B.U.H) nay nahi roka , Huraam nahi keya, onko na kurna ,ya onko chezo on bato ko apny oper Huram kur lena,kay yeh najayzz hay, khod say ek Gonah hay, ku kay Allah nay nahi roka na osky Nabi nay roka ek bat say hum kod say he osy mumnooh kuraar day dayin tu wo Gonah hay,eski examples Quran meah mojood hen, Allah nay Quran meah ya eska Huwala Hudess meah bhe kayin nahi milta kay bot kum omur ya bot ziyada age ki lurki say shadi nahi kuro, ulbuta Pussund na pussund ka Quran or Hudees meah Huwala mojood hay, Agur husband wife ek dosry ko na pusnd kurty hen tu wo divorce kay zureyeh alag ho sukty hen.
|
Guide
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 813 Age:
40
|
|
Posted on:29th Nov 2013, 9:59am |
|
|
shadi k liye dono ki age difference?? Deleted Topic no: 35675 posted by ghroo Kiaa shadi k liye lrky ka
lrki sy bera hona zaroori hai? Kia same age k lrky sy shadi nhi krni
chaiye?yan ak sal b bera ho to krskty yan pro hoti bd mai??
|
alone but happy
|
Group: Members Joined: 10th Dec, 2012 Topic: 6 Post: 518 Age:
21
|
|
Posted on:29th Nov 2013, 1:46pm |
|
|
Ghroo je 2. .3 sal ka bara hona koi bari bat nahi WESY zada tar larki 2. 4 sal choti e hoti ha larky se .agr brabr ki age mtlb same age ho to b best ha. |
ghroo
|
Group: Members Joined: 06th Sep, 2013 Topic: 6 Post: 362 Age:
20
|
|
Posted on:29th Nov 2013, 3:27pm |
|
|
pr society not agree Han g mai b yahi manti k braber k hon yan ak yan do sal bera ho.lrka 7.8 sal nhi pr humari society mai same age yan ak sal bery lrky k hony py tankeed ki jati k bachon ki zahniyat hogi zidi hongy agr same hoy to husbnd ko bera hona chaiye taky ak jina to meture ho braber k ak dosry ki ezat nhi krty lrkty ziada aisa such hsi kia? Halanky mai nhi manti mjhy to lgta k same age k yan ak do sal ka difference hi thk rahta 8.10 sal ka husbnd khud ko akalmand n meture n bv ko na samjh hi samjhty even k ye shaki b hoty k mai to itna bera lgta is sy ye to apny jitny lrky k sth ziada khush rahti mujy aisa lgtaa ap sb ko kia lgtaa???
|
alone but happy
|
Group: Members Joined: 10th Dec, 2012 Topic: 6 Post: 518 Age:
21
|
|
Posted on:29th Nov 2013, 9:04pm |
|
|
Ary nahi ap b galt soch rhy ho Age zada hony ka shak se koi lena dena nahi shaki to ap se kam age b ho skta ha or respect to rishton ma hoti ha chahy wo chota ho ya bara respect to dil ma hoti ha ap agr kisi ko respect do ge to wo b de ga apko respect ka talul age se nahi 4 .5 sal bara larka hona koi bardi bt nahi ha.shak to zahanat k upar hota ha jo shaki hoty hen wo shuru se hi hoty hen na k 25 se upar .khuda apki madad kry. |
ghroo
|
Group: Members Joined: 06th Sep, 2013 Topic: 6 Post: 362 Age:
20
|
|
Posted on:30th Nov 2013, 9:41am |
|
|
sahii kh rhy Han g ap b thk kh rhy ho pr mai same age yan ak sal bery lrky sy shadi krny sy koi pro hoti kia ye kh rai |
|
|
|