Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
a
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Flood in Pakistan

Politics
 
 
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:29th Jul 2010, 2:18pm
 

Flood in Pakistan

 Pakistan meah moon soon Barishyin ho rahi hen or non stop raining nay pory country meah tubaahi muchaa dee hay or Dams pani say bhur choky hen, salabi rally apny jani or mali noksaan keyeh jaa ray hen or ho sukta hay jub dams full ho jayin tu spell way khol deyeh jaayin or muzeed salab ka khutraa bhe mojood hay agur barish aj bhe muzeed jari rehti hay tu kul pakistan meah Death rate muzeed bur sukta hay, aaj aghur pakistan meah dams bur wukat bunay jaty or siyaasat ki nuzur na hoty tu salab yoon tubaahi na muchaata, humari hukoomat jani or mali noksaan ka intazaar kurti rehti hay kay koch jani mali noksaan ho koi buraa disaster ho or yeh friends of pakistan ko bolaa kay apna Kushkool onky samny kurin yah again bheek mangny ka enko moqaa mily , aj moseebat ki ess ghuri meah humara koi leader nation kay sath nai es wakat log help less bay abo mudud ghaar jugaha jugaha phunsy howy hen or humary leaders jinko Geedur kehnaa cha yeh apny araam deh ghuroo meah chay pukory khaa kay moon soon enjoy kur ray hen

odur president of pakistan enjoy kurny again  Uk jany ki tiyraari kur ray hen edur pora pakistan ghumzuda hay, es wakat serf soba Khabur meah 100 say oper log apni jano say haath dhoo bathy hen or muzeed salaab ki zud meah aa kay jani noksan ka subbab bun sukty hen. Mungla and Turballa dam full ho choky hen, kisi bhe wakat ensy bhe pani choraa ja sukta hay , nalaa layi bhe over flow ho choka hay or pindi ki awaam pay bhe moseebat any wali hay,
Alalh say dohaa hay abi ess barsih kay silsily ko rok dayin, 



Logical Group: Members  Joined: 11th Sep, 2010  Topic: 4  Post: 369  Age:  40  
Posted on:29th Jul 2010, 5:36pm
 

Pakistani Dam aur Government opposition

agar hamare mulk mai Dam ki kami hai tu os ka zimmadar Hakoomat nahi balkeh Opposition hai. jis hakoomat ne bhi Dam bananay ki baat ki, os waqt ki Opposition ne mukhalfat ker ke banne nahi dia.
aliakbar17 Group: Members  Joined: 06th Jul, 2010  Topic: 4  Post: 156  Age:  26  
Posted on:29th Jul 2010, 5:53pm
 

floods in punjab and failure of punjab govt

there are floods in punjab sialkot gujrat chinyot rajunpoor dera ghazi khan are under water but people of takhtay lahore are nt bothered
EF Doosra Group:   Joined: 01st Jan, 1970  Topic: 6  Post: 366  Age:   
Posted on:29th Jul 2010, 5:54pm
 

New Dams In Pakistan

Dam naa bannaY ki zimadaar Qaum parast jamaataiN hyN jin ko India nY agenda diaY hoaa hY jab bhi dam (specially Kalabagh Dam) bannaY ka mansoobaa zer-e-ghaur Aataa hY hamesha ye qaum parast jamaataiN koi naa koi issue khaRaa kar detee hyN aur muamlaa laTak jataa hY.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:29th Jul 2010, 5:55pm
 

E Fly

very good reply agreed with you
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:31st Jul 2010, 12:30pm
 

Pakistan Government nay kushkol nikaal leya

pakistan hukomat humashaa ki tura es baat ka intazaar kurti rahi kay zura khoob jani or mali noksaan ho jay pher osky bahd hum en lasho pay siyasat kurin gay or apna kushkol jo hum apny friends meah lay kay ghomty hen osy juldi say bhur layngy,  aj humara yeh hal hay hum meah khod daari naam ki koi cheez hay he nahi jub hokumraan bay ghayraat ho jayin wo amli misaal khod na bunyin awaam kay samny tu nation meah bhe khod daari ni aa sukti , meah nuwaaz shureef kay Quraz otaro molk sunwaaro program ko acha sumajta hon kum uz kum nation meah ek ehsaas tu payda keya giyaa or khod ko bhe tiyaar tu keya ghiyaa or wo thori see khod daari thi jiski binaa pay pakistan nay atmi dhumaky bhe kur daly.

abi pakistan hukomat nay doniyaan meah waa waalaa muchana hay aao humari muddad kuro humyin dollars do, hum apni pokets bhur layiin , humayin pessy du hum apny account bhur layin, 

es wakat 1000 tuk pakistani apni jano say hath dhoo bahty hen sankro laputa hen, or bot sari information roads bund hony ki waja say hum tuk ponch he nahi rahi hen es wkaat humko apni nation kay sath gum meah burabar ka shureek hona cha yeh, or humari hukomto ko cha yeh kay en ba asraa logo ki mudad kurin,
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:31st Jul 2010, 4:25pm
 

flood in pakistan

Es wakat Hazaro ki tadaad meah log homeless ho choky hen jin kay sur pay koi chut nahi , nughy asmaan kay nechy apni families kay sath hukomat ki imdaad ky montazir hen, yeh koi chota ulmiyaa nahi hay logo nay apny uzeezo ko khoyaa hy , logo nay apny ghuro ko khoyaa hay logo nay apni zumeeno ko khoya hay , kam karo bar khutam ho ghiya hay ghur baar khutam ho ghiya hay hukomat a wukat or pakistani nation ko apny moseebat zuda baiyoon ki dil khol kay help kurni chayeh
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:4th Aug 2010, 2:17pm
 

flood in pakistan

Tubah shoda elaqo meah agur yeh surkaari edaary road, or Ghureeb logo ko Ghur bar bunany kay leyeh koch pessy b day dayin tu bot buri baat hay , jo log flood meah apni jaan say hath dho bathy hen abi tuk hukomat nay shayd onky warseen kay leyeh b imdad ka ehlaan ni keya,

abi jitni b aid aani hay oska 50% bhe Nation ko ni milna, corruption ka bazzar pher Ghuram hona hay, 




H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:8th Aug 2010, 3:58pm
 

Flood in pakistan

Salaab nay Ghilghit say lay kay Sindh karachi tuk Tubahi muchai hoi hay , Siyaasi parties ka flood or esy motasira elaaqo meah keya kerdaar hay,? julsy julooso mah tv channels pay bury bury Daawy kurny waly aaj nation ki help kay leyeh pechy ku? leaders tu aagy aagy hoty hen , 
EF Doosra Group:   Joined: 01st Jan, 1970  Topic: 6  Post: 366  Age:   
Posted on:17th Aug 2010, 1:42pm
 

Saudi Arabia launched a nationwide fundraising campaign on Monday for Pakistan's flood victims

Saudi Arabia nY sailaab zadgaan ki imdaad k liaY campaign start kardee hY.

King Abdullah nY 20 million Saudi Riyal ka elaan kia hY. Crown Prince Sultan, deputy premier and minister of defense and aviation nY 10 million SR ka elaan kia hY aur Second Deputy Premier and Minister of Interior Prince Naif 5 million SR ka elaan kia hY.

Saudi Arab imdaadi samaan sY laddaY 16 tayaraaY pehlaaY hee bhaij chukaa hY.

Saudi government nY Donation collection k liaY commitees banaa dee hyN Regional governors k under.

Dr.Qasim Group: Members  Joined: 15th Aug, 2010  Topic: 0  Post: 61  Age:  36  
Posted on:17th Aug 2010, 2:00pm
 

Allah kury kay

Yeh Riyals and Dollars ka use Proper tureeqy say keya jay, Jesaa ka Prime Minister Of Pakistan or Jinab Nuwaas shureef nay Ek kumati bunany ka ehlaal keya hay kay es imdad ka use Shufaaf ho, 

Es imdad kay elawaa pakistan meah nay dams bunay jayin, Raver Indus kay kay erd gherd jaha jaha Bund kay tootny ka imkaan ho waha sement kay poshty bunay jayin, shujurkaari ki jay, jahaa Molk meah etny Holidays hen waha koi ek Ghyr zuroori Holiday khutam kur kay oski jugaha yom-a-Shujar kari rukhaa jay jis meah sari nation nay trees apny apny arias meah lugay, 

Birth days pay Trees , plan Gift keyeh jayin, yaa jiski bhe Birth day ho wo ek tree os din lugay or oski niqhybaani kury, esky sath sath Hukomat essi policy-yaan bunay jis meah essi planning kee jayin jisy es tura kay disaster meah kum say kum noksaan  ho, 

Humary pas rescue 1122 kay pas or National desaster Managment kay pas Boats es tura ki hay he nahi  agur boats or life jakets ziyada hoti or phly say plannings hoti tu kum say kum noksaan ho sukta taha,  esky sath asth pakistan mah helicopters Tiyaar keyeh jayin jo Susty bhe hoon or rescue kamo meah use keyeh jain, 


♥..s4u..♥ Group: Members  Joined: 15th Aug, 2010  Topic: 2  Post: 185  Age:  25  
Posted on:18th Aug 2010, 3:47am
 

Sailab zadgan k lie imadad

Saudi Arab kafi ziyad imdad kr raha h.aur pora Ramdan kare ga.

jitni bhi imdad ho rahi h otna kisi ko faida n mila:(
pta nahi aakhir itna paisa ja kahan raha h.in logon ki help nahi ki ja rahi theik se:(

bas dua hi ab ki ja sakti h in logon k lie.kal raat Haram me bhi Pakistan k lie dua ki gai.Allah tala kisi ki to dua sun le.aur Pakista per ab koi mushkil na ae....(ameen)
Mr.Mk Group: Members  Joined: 28th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 128  Age:  34  
Posted on:18th Aug 2010, 7:01am
 

Dear All

Darassal log imdaad ka elaan ker rahey hain abhi tak day nahi rahey, phir bhee Govt. kay paas itna pessa to hai hee keh woh logon ko khana hee day day.

Humain dekhna hai keh hum nay kia kia hai or kia kerna hai. Mai nay pehlay bhee apeal ki thee keh plz hum loag aagay berhain or logon ki help kerain laikin afssos ki baat keh aap log to kia meray qareebee log jin ki salary 2-4 lakh tak hai woh pesa nikalnay ko nahi chahtay. Mujhay just aik person nay mail ker key kaha hai keh us nay mujhay 10000 Rupe bhejay hain or baqi logon say mai sirf taqreeban 400000 lakh hee eikatha ker chuka hoon laikin bohat say sahib-e-hessiat logon nay imdaad nahi kee.

Humain dil khol ker imdaad deni chahiay or her month bhee fix ker deni chahiay...................Plzzzzzzzzzzzz socha keh ager app un logon mai say hotay jo imdaad key muntazir hainnnnnnnnnnnnnnn

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:19th Aug 2010, 2:11pm
 

Independint relife commession for flood relife

Agur yeh commission bun jataa tu international community jo pakistan hukomat ko direct imdaad dany say kutraa rahi  agur ye commission bun jata tu doniyaa ko yeh yukeen ho jata kay pakistan meah humari dee ghi imdad proper tureeky say use hogi or wo apna pessy private organizations ko dany kay bujay seda hukomat kay hato meah daty , abi internatioal aid ka adaa hisa NGO ko day ray hen ku kay wo janty hen kay essy onka pessa kisi hud tuk sahi hato meah jay gah, abi agur commission bun jata tu yeh pakistan hukomat kay leyeh bot acha hota or international leadership ko ehtamad bhe hota bulky muzeed bur jata,
Malla Group: Members  Joined: 12th Jul, 2010  Topic: 4  Post: 78  Age:  30  
Posted on:20th Aug 2010, 4:32pm
 

salab ki tubah kariyaan

flood nay ghilghit buldistaan say lay kur sind tuk tubahi mucha dee hay Allah sub logo pay apna kuram kury bot tubahi ho rahi hay
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:26th Aug 2010, 10:32pm
 

aaj

mai yahan tv pe ek show dekh rahi thi ,jisme kuch dr´s ka interview tha jo wahan Pakistan me help ke lye mojud tha..
usne sab pe wahze karne ki koshish ki thi ,ke Pakistan ke halat bohat serious hain ..logon ke pas khana peena nahi hai ,,,bemariyan phail rahi hain ..aur ye ke sab ko chahye ke Pakistan ki help karain ..


sath me kuch logon ke interview (aam public) se lye gaye ke wo kuch donate karenge ? aur nahi to kyoon.. us me aksariyat ka khayal tha ke wo islye kuch nahi dena chahte kyoonke --- unhe ye khauf hai ke wo paisa un logon tak nahi pohanchega

ek ka kehna tha ke courruprion ka khauf hai ..jiski waja se wo help karne ko tayar nahi ..kuch ka kehna hai .ke ye paise taliban ko jayenge ...
kuch se pucha gaya ke pakistan ka naam zehan me ate hi ap kya sochte hain ..to logon ka kehna tha ke pehla khayal yehi ata hai ..cuurruption,terroris,Taliban..milatair problems ...
kuch logon ne ye bhi kaha ke insaniyat pehle hai ..isme political,religion ko samne nahi lana chahye...

chand sal pehle Pakistan ka ye Image nahi tha ..is image ka kaun zimedar hai ?


sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:26th Aug 2010, 10:40pm
 

us me

america ke hawale se bhi ye kaha gaya hai ..ke america ne jo samaan bejha hai help ke lye ,unke dabbo pe specialy likha gaya hai ke from Usa ...
aur sath me ye kaha hai ...ke hum Pakistan ki qaum ko ye batana chahte hain ke jab kabhi Pakistan Musibat me aya hai to na chinise,,iran aur europe help ko ata hai ..balke america..

kya ye america ki siyasat hai ?? mera khayal hai ke America right pe hain ..kyoonke humare log america ke khilaf bohat hain lekin jab bhi pk pe musibat ayi hai to america ne sath diya hai ...
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:26th Aug 2010, 10:57pm
 

USA aid aur uss k muqasid

Re :- "kyoonke humare log america ke khilaf bohat hain lekin jab bhi pk pe musibat ayi hai to america ne sath diya hai ..."

log generally amrica k khilaf nahi hain bulky uss ki policies k khilaaf hain q k amrica ki policy hamaisha sy doghli rehi hey especially pakistan k liye to USA ka double miyaar raha hey aik tarf USA pakistani public ko yeh yaqeen dilata hey k wo pakistan main any wali har afat main pakistaniyoon ki madad k liye tayar rehta hey aur doosri traf khud USA yeh nahi chahta k pakistan k dakhli halaat drusat hoon

iss bat ka andaza aap iss bat sy kar sakty hain k USA ny jo war against terror shuro kar rakhi hey uss ka aghaaz hi pakistan sy kiya yani hamary ghar main aker pehly humain terrorist banaya phir humain marny k liye hamari hi force ka istemaal kiya .....yeh iss liye kiya geya k pakistan apny dakhli inteshaar main ghirra rehy aur pakistani awam bjaye asooda haal hony k poori duniya k dast-e-nagar bany rahain ...aur hum yeh bakhoobi daikh sakty hain k jub jub b pakistan main koi quderti afat ati hey to hum poori duniya sy amdaad ki appeal karty nazar aty hain

iss k muqably main aap duniya k kisi b ghareeb sy ghareeb tar mulik ka jaiyza ly lain wahan unhoon ny apna tasha'khus banaya howa hey aur kbi b koi b ghareeb mulik kisi doosry mulik sy amdad mangta howa nazar nahi ata ...bulky apny ooper any wali har museebat ka muqabila khud k wasayel sy karta hey

iss ki sab sy barri waja yeh k yeh duniya globlized hey aaj jo country b kisi dosry mulik ki madad karta hey to sab sy pehly apny zati mufaad ko madd-e-nazar rakhta hey agar apny mufadaat poory hoty nazar arehy hoon to madad ki jati hey basoorat-e-deegar khamoosh tamashaiee ka karadar ada kiya jata hey
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How to get Canadian Work Permit  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us