makhsoos ayyam 1. iss dauran khawateen namaaz nahi paRh sakteeN... yeh namazaiN maaf haiN yaani inki qazaa bhi nahi hai
2. in ayyam maiN rozay bhi nahi rakhay jaa saktay... albattah ayyam k chootay howay rozouN ki qazaa hogi yaani ramdaan k baad aisay tamaam rozay rakhnay hongay.
3. in ayyam maiN quranic dua'aiN, darood shareef aur deger zikar azkaar kiyeh jasaktay haiN.
4. jin combined gharanoun maiN saray ahlay khanaa namaazi houN... khawateen bhi namaaz ki paband houN... aur woh yeh chaahti houn k onkay makhsoos ayyam ki khabar ghar k degar afraad (bilkhasoos males) ko nah ho... yaa woh working ladies jo kaam k dauraan bhi regular namaaz paRhti houN... aur woh yeh nah chaahti houn k onkay 'makhsoos ayyam' ki khabar onkay daftar k logouN (bilkhasoos mardouN ko) nah ho, woh in makhsoos ayyam main bhi baa.wazoo ho kar otni hi dair namaaz ki jagah baiTh kar zikr azkaar, darood shareef aur dua waghairah paRh liia karaiN.
5. nabi kareem saw k daur main bhi eidain waghairah k moqay pay tamaam khawateen eid gaah jaya karti theeN aur jo khawateen ayyam say hoti theeN, woh sirf namaaz adaa nahi karti theeN... woh khutbah bhi sunti theeN aur dua maiN bhi shareek hoti theeN... |