Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Mere Saath Imtiaazi Sulook , Aakhir Kyun???

Suggestions   >>   For Moderators
 
 
Stalker Group: Members  Joined: 21st Dec, 2009  Topic: 14  Post: 356  Age:  34  
Posted on:9th Jul 2010, 4:46pm
 

Mere Saath Imtiaazi Sulook , Aakhir Kyun???

Kia ye forum sirf aik sect k liye makhsoos hai ???

Mein jab se yahaN register hua hooN tab se le kar ab tak meri bisiyoN posts delete kar di gaeiN aur kai thread delete kar diye gaye...

meiN ne kam notice lia lekin ab muamla hadd se baRh gya hai , meri aksar fiqhi muamlaat par behes hoti rehti hai ...

Kal mein ne Dr Qasim ki aik post dekhi 

jis mein unhooN ne Mutah k barey mein comments diye thay , unn k tawassut se meri nazar aik aise thread se guzri jis meiN mutah par behes ki gai thi aur acha khaasa mavaad shia sect k khilaaf mojood tha , shaied wo thread 2,3 maah purana tha lekin usey tab delete nahi kia gaya ...
Lekin kal jab mein ne wahaN reply kia , (pehle meri nazar se wo nahi guzra tha) aur references k saath ba qaida tor par mutah ko saabit kia k ye Islaam ka hissa hai , tou iss thread ko hee delete kar dia gaya hai...

Jabkeh uss thread mein baarha kisi shia member se jawab dene ka taqaza kia jaa chuka tha ...

Thread link which is deleted :

Mutah In Islam: Temporary Marriage In Islam- Facts And Truth

Agar mere saath ye imtiaazi sulook barqarar rehna hai tou behtar hai meiN iss forum par mojood nah rahooN.Kisi muqabley mein qayem rehne ka maza tou tab aata hai na k judges(mods) neutral hooN , meiN kabhi bhi solid reference k baghair koi baat nahiN karta tou phir meri posts kyuN delete ki jati heiN ?

Agar ye imtiaazi sulook barqarar raha tou meiN majbooran yeh forum chor dooN ga .....ya tou koi yeh sabit karey k mein ne koi baat without reference ki ho ya phir ye ravayya band kia jaaye.....Warna dil e majboor ko forum chorna hee parey ga

Deleted post restored
Moderator



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:9th Jul 2010, 4:53pm
 

Mutah In Islam: Temporary Marriage In Islam- Facts And Truth

This post should be restore 


Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:9th Jul 2010, 6:09pm
 

misuse of edit/delete permission

re: "Kisi muqabley mein qayem rehne ka maza tou tab aata hai na k judges(mods) neutral hooN"

agree with Stalker
yaha per logo ko edit delete ki permission mojood hai. lekin edit/delete ka yeh matlab nahi keh jo post pasand nahi aaya ya jis ka jawab nahi de sake (la-jawab ho gaye) ose edit/delete ker dia.

tamam members se darkhast hai keh zati pasand/na-pasand per kisi ke post ko edt/delete na karai.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:9th Jul 2010, 6:18pm
 

Thanks admin

for restoring the said topic

laiken adha thread restore kiya geya hey iss main jo dosry replies hain jo k "mutah" k khilaaf hain wo bad'dastoor deleted hain..unhain b restore kiya jaye..thanks
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:9th Jul 2010, 6:38pm
 

misuse of edit/delete permission

Kul  stalker diplpmate or bhimji nay mery khilaaf ilzamat lugy or kerdar kushi ki Senior moderator So ray ray thay jub kay meah nay request bhe ki key enko edit keya jay tu ku ni keya ghiyaa? meah jub duty sy wapis aya dakha still wo ulfaaz still post meah hen , aaya administration Meri kerdaar kushi meah kosh hay? meah nay khod pher wo ulfaaz edit keye, 

wo lufz jo kisi memeber kay khilaaf abusive ,  hoon onko wo ulfaaz member jis say kay jaa ray osy khod bhe edit kurny ki permission honi cha yeh or jo comments osky Nuzriyaa soch or fikur yaa ikhtalafi hoon oski edit or delete ki permission ni honi chayeh izhaar ray ki sub ko azaadi honi chayeh lakin kerdar kushi ki ni 

ap khod kul say mera tumashaa daykh ray hen ku? Meha ny khod pher wo edit keyeh ulfazz agur ap logo ko mera yaha rehnaa acha ni lugtaa tu meah forum chor data hoon agur ap en logo ko lugaam ni lugaa sukty




Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:9th Jul 2010, 6:44pm
 

forum per ghussa

Stalker: "Agar mere saath ye imtiaazi sulook barqarar rehna hai tou behtar hai meiN iss forum par mojood nah rahooN."

Dr. Qasim: "ap logo ko mera yaha rehnaa acha ni lugtaa tu meah forum chor data hoon"

aapas ki larayee ka ghussa forum per kio utara jaata hai?
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:9th Jul 2010, 6:48pm
 

delete restoration

re: "laiken adha thread restore kiya geya hey iss main jo dosry replies hain jo k "mutah" k khilaaf hain wo bad'dastoor deleted hain..unhain b restore kiya jaye..thanks"

yeh thread kab delete hua tha? os mai jo muta ke khilaf post tha woh kab se deleted hai? agar kafi din pehle se deleted hai tu phir mera khayal hai keh ose talash ker ke restore kerna mushkil hoga.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:9th Jul 2010, 7:14pm
 

anti muta replies are missing

Re:- "agar kafi din pehle se deleted hai tu phir mera khayal hai keh ose talash ker ke restore kerna mushkil hoga."

nahi yeh deletion haal main hi hoi hey jab yeh sara thread delete kiya geya to sath hi wo anti muta replies b delete howey they abb jab sara thread restore howa hey to wo anti muta replies iss thread main sy ghayb hain....jis sy iss sary thread main one sided talk hi nazar arehi hey...
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:9th Jul 2010, 7:48pm
 

I agreed with Bwf bhai

"yaha per logo ko edit delete ki permission mojood hai. lekin edit/delete ka yeh matlab nahi keh jo post pasand nahi aaya ya jis ka jawab nahi de sake (la-jawab ho gaye) ose edit/delete ker dia.

tamam members se darkhast hai keh zati pasand/na-pasand per kisi ke post ko edt/delete na karai."

isi bat ko to main cheekh cheekh k keh rahi hon apne thread me magar on logon k sirr per se jon tak nahi reengti aur bas apne hi gunn gaey ja rahe hain.apne lie kitne saare spoons bhi jama ker k le ae hain...magar bat phir wohi k apni ghalati nahi man'ni.

aaj se pehle bhi to ye forum chal raha tha.jab se kuch naey Mods forum pe bnaey gae hain to onhe har aik ki post pe aetraz gone lag gya h.agar phir onhe samjhane k lie kuch kaho to aag lag jati h.isi lie kehte h sach karrwa hota h.
Neha_83 Group: Members  Joined: 17th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 167  Age:  31  
Posted on:10th Jul 2010, 1:09pm
 

aj to

meri bhi post aise zalim moderator ke mad.e.nazar ho gayi ..pata nahi use meri post me kya burai nazar a gayi jo usne delate kardi..Hadd ho gayi yar.

yahan ky akoi asool´s nahi hai moderator ke lye .ke kaunsi post delate karni chahye kaunsi nahi ??
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:10th Jul 2010, 5:31pm
 

rE:Neha aunty

aap ki bhi post kisi ne delete kr di.ab aapko bora lga na?
mojhe bhi isi trha hi lga tha to maine rai ka pahar bnaya tha.
Neha_83 Group: Members  Joined: 17th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 167  Age:  31  
Posted on:10th Jul 2010, 9:57pm
 

s4u sis

 jee muje bura to laga .lekin mera Rad-e-amal apse mukhtalif hai..


For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How To Fill Out A Job Application  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014