What is Becteria?
WHAT IS BECTERIA Becteria Germs aur micro-organism ham mahni ilfaz hen in k mahni hen ajram khord bini ye jarasim baghair khord bini k nazar nahi aty ajram khord bini k ilam ko Bacteriology kahty hen iss mein bacteria k bary mein bahass ki jati he Bacterium aik unani lafaz he jiss ki jama Bacteria he iss k mahni nehayt hi choty choty keerry hen iss tarah Microbes lafaz he jiss se morad bohat choty nibatati aur hiwanati jandar ijsam hen issi tarah lafaz Germ he jiss k laghwi mahni jarsoma he bar hal mazkora tamam ilfaz ham mahni hen aur choty choty ajram khord bini k liye istemal hoty hen EUKAYOTES ( SAHAT MUNDH KHULYAT) Wabaee imraz k phelny ka aik zariya jandaroon k markza ka sahat mand khuliya he jissy Eukayote kahty hein ye ziyada tar barry podhon janwaron funcus aur alchi mein hoty hein ye bohat hi nazak jarasim hoty hein in k ilawa aur bohat se keery hoty hein jo mohlak motahdi bemariyon ko phelany ka zariya banty hen aur admi ko tabah ker dety hen
|