Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
a
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Hyderabad Pakistan Ki Taqseem Ka Faisla 2005

Politics   >>   Political Party
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:9th May 2010, 9:50am
 

Hyderabad Pakistan Ki Taqseem Ka Faisla 2005

2005 tak Hyderabad sirf aik Ziila tha. 2005 mai ose 4 zila mai taqseem ker dia gaya.

8 Aug 2010 ko Pakistani prime minister Janab Yousuf Raza Gilani ne kaha keh 2005 ke Hyderabad ki taqseem ka faisla ghalat tha, aur Hyderabad ke 4 zila ko zam ker dia jaaye ga.

Wazirazam Yousuf Raza Gilani ke bayan ka Dr. Qadir Magsi aur Rasool Bakhsh Palechoo ne khair maqdam kia aur kaha keh aisa kerna sahi hoga.

Lekin MQM ne iss per shadeed rad-de-amal ka muzahira kia. Altaf Hussain aur MQM ke doosre leaders ne Wazir azam ke bian ki shadeed muzammat ki aur kaha keh woh aisa kerne nahi de ge.

sawal yeh hai keh:

  1. kia Hyderabad ki 2005 ki taqseem ka faisla ghalat tha?



Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:9th May 2010, 11:58pm
 

Re:

Re: 8 Aug 2010 ko Pakistani prime minister Janab Yousuf Raza Gilani ne kaha

Janab, abhi 8 Aug 2010 anay mein pooray 3 mahenay paray hien.

Re: Altaf Hussain aur MQM ke doosre leaders ne Wazir azam ke bian ki shadeed muzammat ki

Altaf Hussain ko to waisay hi har baat mein tang arranay ka shouq hai. 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7727  Age:  55  
Posted on:9th May 2010, 2:03pm
 

seemi

agar mausoof aisee hamaqtaiN nah karaiN to onhaiN Bewaqoof kaun kahay:)

btw yeh typo error hai, onka matlab hoga 8 May 2010........... london maiN baiTh kar pakistan k har issue maiN Taang aRana bahoot asaan hota hai, sirf aik press release jari karo aur chain ki neend so ja'o... nah awami radday amal ka khatrah nah load shedding ki takleef
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:9th May 2010, 2:33pm
 

Hyderabad Pakistan Ki Taqseem Ka Faisla 2005

re: "Janab, abhi 8 Aug 2010 anay mein pooray 3 mahenay paray hien."

yeh ghalti se likha chala gaya hai asal date 8 May 2010 hai.

re: "Altaf Hussain ko to waisay hi har baat mein tang arranay ka shouq hai."

iss thread mai Altaf Hussain ke ilawah bhi kai name liye gaye hai, maslan janab yousuf Raza Gilani, Dr. Qadir Magsi, Rasool Bakhs Paleechoo. aap ko iss thread mai sirf Altaf Hussain hi kio nazar aa rahe hai?

aap ko iss thread mai 8 May ki jaga 8 August aur Altaf Hussain nazar aa gaya. lekin asal sawal nazar nahi aaya keh: kia Hyderabad ki 2005 ki taqseem ka faisla ghalat tha? kia aap iss ki tashreeh ker sakti hai.

re: "london maiN baiTh kar pakistan k har issue maiN Taang aRana bahoot asaan hota hai, sirf aik press release jari karo aur chain ki neend so ja'o... nah awami radday amal ka khatrah nah load shedding ki takleef"

aap ne asal sawal ka jawab nahi likha keh: kia Hyderabad ki 2005 ki taqseem ka faisla ghalat tha?

umeed hai keh aap log asal sawal ka jawab zaroor de ge. agar sawal ka jawab na aata ho tu phir barai meharbani aain baain shaain ker ke topic divert na kare.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:9th May 2010, 5:52pm
 

afsoos ka muqaam

 Koi pukhtoon khuwa bunaa rahaa, koi Huzara or koi keya or ye nam or muqaam ki tubdeeliyaan arooj pay hen lakin es gureeb awaam kay mussyil ka kisi ko khiyaal nahi en sub ko ek line meah khura kur k shoot kur dena chay-ye jo pakistan meah intashaar or phoot or pakistan ko zobaan , nusssul or tura turaa ky ikhtalaaf payda kur kay nation ky bonyaadi musaayl ko nuzur andaaz kur ray , yeh bus apny vote bank ki jungh hay , or ek say ek bur kay mukaaar leader pakistani awaam kaa nuseeb bunaa howa hy jis kay hath meah pakistan ki ghuyoor awaam ki Qismut say khalny ka right hay, ek buri tubdeeli yaa tu en sub ko shoot kur dena cha-ye yaa es bewakoof pakistani nation ka mind budaal jay jo onko vote na day or ye parlamnent ky door say bhee doour rayin



Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:12th May 2010, 11:33pm
 

re:

re : kia Hyderabad ki 2005 ki taqseem ka faisla ghalat tha?

Haan jee, Hyderabad ko taqseem karnay ka faisla bilkul ghalat tha. Is ka maqsad sirf or sirf qaaf league or mqm ko faida pohanchana tha or PPP ka zour tourna tha. agar Hyderabad ko taqseem na kiya jata to Hyderabad mein kabhi bhi mqm ka nazim elect nahi ho sakta tha. 

mqm walay hyderabad ki taseem k faislay ki wapsi per to shour macha rahay hien, lekin Karachi ko taqseem karnay ki baat nahin kartay. Mera sawal yeh hia k agar Hyderabad ki taqseem ka faisla sahih tha to phir mqm ne Karachi ko bhi taqseem kyon nahin karwaya? Balkey Karachi k 4 districts ko aik district bana diya takeh pooray karachi ka aik hi nazim ho jo k mqm ka ho. waah, kya baat hia. mqm kab tak doghli politics kar k awam ko bewaqoof banaye gi. Kya sirf apnay mafaad ki siyasat durust hai?
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:12th May 2010, 6:55pm
 

Hyerabad and Rahman Malik

Wazir dakhla Rahman Malik president Asif Ali Zardari aur prime minister Yousuf Raza Gilani ke behalf yaqeen dahani karayee hai keh Hyderabad ki position intact rahe gi ose change nahi kia jaaye ga.
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:12th May 2010, 7:14pm
 

Re

Government ne jo faisla karna hai woh karay gi

Mera bewaqoof bhai se yeh sawal hai k Musharaf regime mein Karachi k tamam districts ko mila kar aik district bana dena ka faisla sahih tha ya ghalat?
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to find job in Dubai  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us