info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 600 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 6:55am |
|
|
my rizwi.. :) myrizwi bhai aap "almost" ka word use na karain khul kar "mutnaza" baaton ki nishandehi karain... :D
apki baatain bewaja nahi hotin |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 7:41am |
|
|
info bhai jazakAllah . aap ne bilkul darust farmaya k haathi us khnotay se nahi balkay is yakeen se bandha hota hae k zanjeer se rehai mumkin nahi . hum sab bhi aise hi yakeen se bandhay huwe hain .
zawal pazeer qaumon ki yeh nishani hoti hae k woh apni kamiyon kotahiyon ka zimadar doosron ko Theh.ratay hain kabhi khud ka mohasba karnay ki koshish hi nahi kartay aur kabhi koi in kamiyon, kotahiyon ki nishan.dahi karay tou usi pe bigaR jatay hain .
faislay zameen walay nahi asman wala karta hae . tou Allah pak naraz hojaye tou kon hae jo humaray mulk ki halat badal sakay . 6 barr.e.aazamon main pakistan woh wahid mulk hae jahan zameen bhi zarkhez hae, pani ki bhi bohtat hae, afradi quwwat bhi hae, mausam bhi hain sab kuch honay k bawajood yehan se barishain kyun rooth gayen ? faslain kyun khatam honay lagin ? berozgari kyun masla ban gai aur beemariyan gharoN pe dastak kyuN denay lag gayeN?
agar America jo is waqt duniya ki super power bana phirta hae us ki madad se sab kaam hotay tou us k funds main tou kami nahi ayi woh abhi bhi Pakistan k ko funds bhi de raha hae kherat bhi de raha hae lekin jab Allah hi kisi se moun moR le tou phir kon ha jo kisi ki halat behtar kar sakay .
aaj hum log khaliq ko bhool kar makhlooq k peechay bhagtay hain jo khud mohtaaj ho woh kisi ko kiya atta karega.
islam ko hum ne sirf nimaz, roza, hajj, zakat samajh liya jo islam ki base hain ikhlaqiyat jo islam ki chatt hae uska kahin koi zikar hi nahi . islam aik mukamal zabta hayat hae aur hum ne sirf doosron ki dil azari ka zariya bana liya.
islam se apni zindagi.yon k hal talash kanay ki bajaye Quran O hadees ki roshni main apnay hi muslim bhaiyon ko kafir sabit karnay pe tulay baithay hain tou unity,faith aur dicipline aye kahan se ?
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 10:09am |
|
|
Sobhan Allah
hum log khaliq ko bhool kar makhlooq k peechay bhagtay hain jo khud mohtaaj ho woh kisi ko kiya atta karega. etni khobsorat baat apny kahi hy kay dil meah otur gahi hy, sobaan Allah, agree with yur reply,
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 11:03pm |
|
|
Dr qasim jazakAllah |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 4:37pm |
|
|
Unity
bat tu apki 100 feesud theek hy first faith or oss kay bhad Unity or Discipline. abi ap ny Muslim world ki baat ki , tu Unity, faith or discipline ko ap pori Muslim world kay hisaab say bhe daykh sukty hen, sub say phaly ap Pakistan meah Pakistan Muslim League kay Hissy bukhry howy dakhyn, toty toty ho choki , hur kisi ny apni Muslim league bunaa rukhi hey esi turaa ap arab world ko dakhyin ono ny Arab league bunaa sukhi hy tu Muslim league esi ku ni ho sukti jo pori muslim world ko represent kurti ho, jo muslim ki Unity ko doniyaa meah ojaagur kurny ka subbub ho lakin bud-qismati say esaa ni hy or esa hony bhe ni deiyaa jata, faith, or unity jub hongy tu Discipline khod ba khod Qayim ho jay gah,. lakin es wakat omut-a-Muslima en he qualities ki kumi ki waja say na serf Zuwaal puzeer hy bulky doniyaa meah zuleel ho rahi hy, Hokumraan Ayaash ho jaayin tu pher nation ka keya hogah, OIC kay bary meah ek dufa Moshaid Hussin nay kaha ta wo bus or koch ni kur sukty bus ye he keh sukty hen O I C ,,,,, ku kay OIC ki koi awazz ni es leye ky unity ko represent ni kurti,
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 600 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 5:29pm |
|
|
islamic world unity
Dr Qasim aik martaba phir ap nay 100% hakikat bian ki hai, OIC ka wakai yehi kaam hai sirf
hamaray liay aik baat bht hi asan hai... :)
woh baat yeh k Allah Talah nay Quran ma, aur Nabi kareem SAW nay apni ahadis ma musalmano ko aik baat hamesha yaad rakhnay ki talkeen farmayi hai.... k musalman ki soch ko dunia ki koi cheez shikast nahi de sakti..
lehaza agar aik musalman koi kaam karnay ki salahiat na rakhta ho, tau usay us tarhan sochnay se hi uska ajar mil jaey ga........ :)
hamain pata hai k is wakt islamic world ki unity tau door ki baat, sirf yeh noor clinic k musalmano ma bhi unity impossible hai.... lekin ham aesa soch zaroor saktay hain k sari dunia k musalman aik hi lari k moti hain aur yeh hakikat hai.... :)
"agar tum koi buri baat dekho tau zor e bazu se rok dau, iski taufeeq na ho tau zaban se mana karo, iski bhi taufeeq na ho tau dil ma bura jano"
tau bas ham dil ma poori dunia k musalmano ki naittefaqi ko bura jantay hain.... inshAllah bht jald Allah hamain zaban se bolnay ki taufeeq bhi de ga, phir inshAllah zor e bazu se bhi muslim unity ki taufeeq mil jaey gi qk akhirkaar tamam dunia par musalman hakumat qaim ho kar rahay gi yeh Allah ka wada Nabi Kareem SAW se hai |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 600 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 5:35pm |
|
|
maryam sis MashAllah jazakAllah............ kash apkay rukh par sochnay wali bht sari hon tau nannay munnay bachay bachpan ma hi apnay intehai asan deen ko samajh lain, aur apnay deen ka mazak na banain.....
asal ma hmaray misguided musalmano nay woh sawalaat discuss karnay shuru kar diay hain jo bani israel nay Hazrat Musa AS se poochay thay.... asal pattern usi tarhan ka hai, sirf ilfaz ka farq hai..... |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 5:53pm |
|
|
Info1234 agreed with you, abi ek dosra thread bhe open hy Pakistan or Hum, os pay bhe comments ki jiye gah, wessy es wukat humara thread agur socha jay tu sub say Fit jaa raha hy, informative bhe hy or insan ki taleem o turbiyaat or aagy-hee be payda kur raha hy,
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 600 Age:
31
|
|
Posted on:25th Apr 2010, 5:00am |
|
|
Dr Qasim.. ji baat tau apki theek hai, agar koi aik admi bhi ghalat direction se theek direction par a jaey tau hmaray liay bht achi baat hai, revolution hmaesha sab se pehlay soch badalnay se ata hai..
is thread ma agar ham nay apni nation ki khamian point out ki hain tau iska yeh matlab nahi k hamain apnay logon se nafrat hai, balkeh hmaian apnay logon se mohabbat hai isliay ham chahtay hain k woh ghalat kaam kr k apna nuksan na karain
dusray walay thread ma mein nay 2 din pehlay reply kia tha lekin woh open nahi hai close ho gya hai |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:31st Aug 2010, 4:32pm |
|
|
Unity Faith Discipline flood relief , NGOs , political parties or nation meah zura Unity or discipline nuzur nahi aaraha, jis tura 2005 kay earth quick meah Nation or politician or sub ek ho ghay thay es bar nuzur nahi araha jis ki waja say flood relief work motasir ho raha hay, es waqat he keya pakistan ki buqaa kay leyeh Unity faith discipline ki bot zurorat hay,
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|