Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Chest Muscle
Exercises to Build Chest Muscle Fast
Get Rid of Man Boobs
How to Get Rid of Man Boobs - 7 Easy Ways to Lose Man Boobs
Food For Testosterone
Food to Improve Testosterone Levels in Men
Best Food For Libido
A Diet for Increased Sex Drive and Enhanced Libido
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Wome Health
Men Health
 


    Start New Topic  My Profile
 

Poetry For Pakistan and Its People

Urdu   >>  Urdu Poetry
 
 
 
AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  34  
Posted on:17th Mar 2010, 4:01pm
 

Poetry For Pakistan and Its People

Kyun Aangh main behtay huay ashkoon ki lari hai...

Chup reh meray humwatan ye Qyamat ki ghari hai....

Hota hai kuch gumaan sa Maidan e Hashar ka...

Har aik muslman ko apni hi pari hai..........

Mit Jai mera dais ye halat bana ker .........

Atraaf ki har koam tamashype khari hai

Phir surkh surkh hai meray daryaon ka pani.....

Laqta hai phir kabhee khoan ki barsat pari hai.....

In Zalmoon ko jarr se mita de ay meray Rab ......

Sab hath uthao ye duaoon ki ghari hai....................

 

 




Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1829  Age:  28  
Posted on:21st Mar 2010, 12:26am
 

Mot b Zaruri hae

Hakim-e-Sheher bta

Waqt ke shikanjoo ne

Khawahishoon ke phoolun ko

Noch noch torra hae

Kya yeh Zulm thora hae

Dard ke jazeerun ne

Aarzu ke jeevan ko

Maqbaroon main dhala hae

Zulmatoon ke deray hain

Log sab luteray hain

Mot rooth bethi hae

Zaat reza reza hae

Taar taar anchal hae

Dard Dard jeevan hae

Shabnami c palkain hain

Qurb hae na doori hae

Zindagi adhoori hae

Ab yaqeen aaya hae

Mot b Zaruri hae..

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1829  Age:  28  
Posted on:21st Mar 2010, 12:33am
 

Wo hamari dharti jala rahe hain

Wo hamari dharti jala rahe hain

Chalo aao rokain

Wo hum se hi ham ko larra rahe hain

Chalo aao sochain

Yeh bOm dhamakay ye har su lashay

Wo hum se chehra chupa rahe hain

Chalo aao dekhain

Yeh watan na ho ga tou hum na hon ge

Wo hamaray ghar ko gira rahe hain

Chalo aao niklain

Abhi hae waqt-e-inqilab abhi choro fikr-e-shabab

Wo sach ko hum se chupa rahe hain

Chalo aao dhoondain

Quran-o-Hadees asaas apni, Rab se har har aas apni

Wo haq se hum ko bhatka rahe hain

Chalo aao lotain

Wo hamari dharti jala rahe hain

Chalo aao rokain

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1829  Age:  28  
Posted on:23rd Mar 2010, 10:03am
 

23rd March ka azam

Ye daagh daagh ujala, ye shab gaziida sehar

Wo intazar tha jis ka, ye wo sehar to nahin

Ye wo sehar to nahin jis ki aarzu lekar

Chale the yar k mil jaayegi kahin na kahin

Falak ke dasht mein tarun ki aaKhri manzil

Kahin to hogaa shab-e-sust mauj ka sahil

Kahin to jaa ke rukega safina-e-Gham-e-dil

Jawan lahu ki pur-asraar shaharaahon se

Chale jo yar to daaman pe kitne haath parey

Deyar-e-husn ki be-sabr khwaab-gaahon se

Pukarati rahiN be chain, badan bulaatey rahe

Bohut aziz thi lekin rukh-e-sehar ki lagan

Bohut qariin tha hasinaan-e-noor ka daman

Subuk subuk thi tamana, dabi dabi thi thakan

Suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-e-noor

Suna hai ho bhi chuka hai wisaal-e-manzil-o-gaam

Badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastoor

Nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam

Jigar ki aag, nazar ki umang, dil ki jalan

Kisi pe chara-e-hijraan ka kuchh asar hi nahin

Kahan se aai nigaar-e-saba, kidhar ko gai

Abhi chiragh-e-sar-e-rah ko kuchh Khabar hi nahin

Abhi garaani-e-shab mein kami nahin aai

Nijaat-e-dida-o-dil ki ghari nahin aai

Chale chalo k wo manzil abhi nahin aai

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 177  Post: 5823  Age:  33  
Posted on:23rd Mar 2010, 12:49pm
 

dohaa

 Sohni Dhurti

Allah Rukhy

Qudum Qudum Abaad tujyyyy Qudum Qudum Abaaad tujjy 

Aameen som ameen




Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 44  Post: 2659  Age:  34  
Posted on:23rd Mar 2010, 11:28pm
 

Good Dua....!!!

Dr.Qasim ny Buhat achi Dua ki hey ..Ameen

waisy Dr.Bhai aap to pakistan sy bahir hoty hain iss liye iss confusion ko door kar dain please k aap ny dua apny mulik k liye ki hey ya phir uss mulik k liye jo aap ka apna hey ....lol..Dont mind 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 240  Post: 4001  Age:  36  
Posted on:28th Mar 2010, 5:51am
 

Dua For Pakistan

Khuda karay k Meri Arz-e-Pak per utray
Wo fasl-e-gul jissay Andesha-e-zawal na ho

Yahan jo phool khilay wo khila rahay sadiyun
Yahan khizaan ko guzarnay ki bhi majaal na ho

Ghani khattayein yahan itni barishain barsaayein
k Patharon se bhi rooedgi mahaal na ho

Yahan jo sabza uggay wo sabz rahay barson
Aur itna sabz k jiss ki koi misaal na ho

Khuda karay k mere ik bhi ham-watan k liye
Hayaat jurm na ho zindagi wabaal na ho
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 177  Post: 5823  Age:  33  
Posted on:28th Mar 2010, 9:50am
 

bewakoof

Wa wa wa Ahmad Nadeem Qasmi The great ki poetry , thanks for sharing with us here ,
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1829  Age:  28  
Posted on:15th Aug 2010, 12:16am
 

Utho chalo aur watan sanbhalo

Mere Watan ke udas logo

Na khud ko itna haqeer smjho

K koi tum se hisab mangay

Khahishoon ki kitab mangay

Na khud ko itna qaleel smjho

K koi uth kr kahe yeh tum se

Wafayen apni hamain luta do

Watan ko apne hamain thama do

Utho aur uth kr bta do unko

K ham hain ehl-e-eman saray

Na ham main koi sanam kada hae

Hamaray dil main tau ik Khuda hae

Mere watan ke udas logo

Jhukay saroon ko utha ke dekho

Qadam ko agay barrha ke dekho

Hae aik taqat tmhaare sar pr

Karay gi saya jo unn saroon par

Qadam qadam pr jo sath de gi

Agar giray tau sanbhal le gi

Mere Watan ke udas logo

Utho chalo aur watan sanbhalo...

(This poem is dedicated to all people of Pakistan. Plz unite against Taliban, America and flood victim)

Zeemal Group: Members  Joined: 20th Aug, 2010  Topic: 0  Post: 2  Age:  21  
Posted on:22nd Aug 2010, 12:40pm
 

nice poetry

bhimji ji aapki poetry bht nice hy. aap ne khud likhi hy kya?
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 177  Post: 5823  Age:  33  
Posted on:22nd Aug 2010, 12:45pm
 

Reaily nice

Bhimji luteefy sonaty rehty hen first tiem DIl ko chooo jany wali poetry share ke , bhimji khuppy 
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1829  Age:  28  
Posted on:26th Aug 2010, 11:42pm
 

Thanks dears

Pasand ka bht shukriya.

Zeemal: Ji main ne b poetry shuru kr di hae "MEER PAIT DARD" ke takhalus se aur english poetry b kia karunga MEER BELLY PAIN ke name se..

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1829  Age:  28  
Posted on:26th Aug 2010, 11:48pm
 

Re:

Wo jo dar badar khaak basar huve,

Wo jo lutt gye be ghar huve,

Wo na mangain tum se tumhara ghar,

Na tumhara sukh na tumhara darr,

Wo tau chahte hain guzar basar,

Unhi waadiyun main umer bhar,

Ye karra waqt ye talkhiyan,

Ye gardishen ye bijliyan,

Hae hamaray Rab ka yeh imtehan,

Chalo Qafiloon ko karo rawan,

Aao mil ke unka sath do,

Jo madad kare wo hath do,

K yeh apni dharti ke log hain,

Inhain zindagi ki soghat do,

Inhain phr wohi halat do,

Inhain phr wohi halat do...

zubair uk Group: Members  Joined: 22nd Oct, 2010  Topic: 6  Post: 65  Age:  21  
Posted on:5th Nov 2010, 9:43am
 

for all muslims

Sach kahun to khud ko unwan bura lagta hy,

Zulm sehta hua insan bura lagta hy,

Kis Qadar ho gai masrof ye dunya,

Aik din thehry to mehman bura lagta hy,

Khidmat to bhot door,

Bahoo beton ko maan baap ka farman bura lagta hy,

MERY ALLAH meri naslon ko zillat si nikal,

Hath phelaey muslman, ‘’BURA LAGTA HAI’’

Teray amaal say hai tera pareshan hona,

Warna mushkil nahen, mushkil aasan hona,

Donon aalam pay hukumat ho teri aye MUSLIM..

Tu samajh jaye agar apna musalman hona….!

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1829  Age:  28  
Posted on:2nd Apr 2011, 11:48pm
 

Dard ki aanch pe pighlaye huvay log hain Hum

Wada-e-hoor pe behlaye huvay log hain hum,

Khak bolein ge ke dafnaye huvay log hain hum,

Yun har ik zulm pe dam saadhe kharay hain,

Jese Deewar main chunwaye huvay loG hain hum,

Uski har baat pe bhala Labbaik q na kahein,

Zar ki jhankar pe bulwaye huvay log hain hum,

Jis ka ji chaahe wo ungli pe nacha leta hae,

Jese Bazar main mangwaye huvay log hain hum,

Hansi aaye tau b hanstay huvay darr lagta hae,

Zindagi yun tere zakhmaye huvay log hain hum,

Aasman apna, Zameen apni na Saans apni tau phir,

Jaane kis baat pe itraye huvay log hain hum,

Jis tarah chaahe bna le hamein waqt Sahil,

Dard ki aanch pe pighlaye huvay log hain Hum..

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1829  Age:  28  
Posted on:17th Apr 2011, 1:33pm
 

Suna hai jangalon ka bhi koi dastoor hota hai!

Suna hai jangalon ka bhi koi dastoor hota hai!

Suna hai

sher ka jub pait bhar jaey. . .

To vo hamlaa nahee kertaa,

Sunaa hai!

Havaa ke taiz jhonkey jubb darakhtun ko hilaatay hain. . . .

To menaa apne gharr ko bhool kar,

kavvay ke andun ko paron main thaam leti hai. . . .

Sunaa hai. . . .

Ghonslay se jubb koi bachha giray,

To saara jungle jaag jaag jaata hai. . . .

Suna hai. . .

Koi pull toot jaey

aor

sailaab aajaey

To kisi lakri ke takhtay per,

Gulehri saanp aor bakri saath hotay hain. . . .

Sunaa hai jangalon kaa bhi koi dastoor hotaa hai. . . .

KHUDAAE - MUNNSIFFO - AKBARR

Hamaaray mulkk main bhi ubb junngalon ka hi koi dastoor naafizz kar. . . .

1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us