mehwish
|
Group: Members Joined: 09th Jul, 2008 Topic: 22 Post: 46 Age:
32
|
|
Posted on:13th Jan 2010, 5:32am |
|
|
How To Make Room Warm?
hum apnai room ko garam kerna chatai hein, koi tareeka batain. gas wala heater nahi laga saktai, merai susar mana kertai hein keh gas ka bill bohut ziada ai ga. electric wala to sochein bhi na. so plz batain kis tarhan room ko garam kia jai.
|
mehwish
|
Group: Members Joined: 09th Jul, 2008 Topic: 22 Post: 46 Age:
32
|
|
Posted on:13th Jan 2010, 12:04pm |
|
|
222 anybody plz reply |
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1334 Age:
34
|
|
Posted on:13th Jan 2010, 7:40pm |
|
|
sex sex is the best to way to keep your room and bed warm.so go and set ur bed on fire by having sex. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6864 Age:
54
|
|
Posted on:14th Jan 2010, 12:42am |
|
|
haaa haaa dom_man, apki advice ka bhi jawaab nahi :)
mehwish:
karachi maiN waisay bhi etni sardi nahi hoti k room garam karnaa naaguzeer hojaa.ay...phir ap bijli /gas heaters afford nahi karsakteeN to phir ap aisaa karaiN k...
1) jiss room ko garam karna maqsood ho, oskay darwazay khiRkiyaaN band rakhaiN (room cleaning k baad)... jab room zeyadah dair tak band rahegaa to khud bah khud "garam ho jayega"
2) miTTi ka woh paraat /bartan jiss maiN dahi jamaayee jati hai... aik yaa do baRee paraat lay kar oss maiN aslo koyela, pathar wala jo kaanouN say nikalta hai (lakRee ko jalaakar banaayaa janay walaa aam koyelah nahi).... iss jalaa lain... agar asli koyelah nah milay to aam koyela hi use karlain... but issay sirf sulgayaiN, wid shola jalayaiN nahi.... yeh slow slow jalta hai balkay sulagta rahta hai... bus issay room maiN kaheeN mahfooz jagah pay rakh daiN... jahaaN say yeh kamray ki kissi cheez ko jalaa nah sakay aur bachouN ki pahonch say door rakhaiN.... yeh qadeem tareeqah hai, jab bijli /gas walay heaters dasyaab nah thay |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:14th Jan 2010, 12:51am |
|
|
mehwish nicr reply by rizvi bhai lekin is main care bhi tou zaroori hae na ? sotay waqt aisi koi cheez room main nahi honi chahiye . i think precaution k sath yeh method acha hae . |
hasna
|
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1909 Age:
26
|
|
Posted on:14th Jan 2010, 3:38am |
|
|
method room me carpet dlwaye issr b bht frag perta hai km se km bed se uthne k baad ppau ek dm dhanday farsh per nhi perty he...............
my rizvi ne bht acha seggestion dia hai.............but be care full |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6864 Age:
54
|
|
Posted on:14th Jan 2010, 3:55am |
|
|
be carefull g haan ehteyaat bahoot zaroori hai... agar above nuskha qaabilay amal ho aur iss par amal karnay ka iradah ho to aik aur ehteyaat yeh ki jasakti hai k...
jiss miTTi k bartan maiN koyelah jalaya jaa.ay oss k ooper oss say baRa bartan ondha kar rakh dia jaa.ay aur iss oper walay bartan maiN 2 inch dia k chand holes karwa liye jayaiN... ab yeh "desi heater mokammal taur per safe hoga wid above mentioned precautions.
jab electrical yaa gas room heater nahi use karsaktay aur room maiN ki aatish.daan bhi nah ho (karachi k gharouN maiN amooman nahi hota) jiss main lakriyaan jalaa kar room ko garam kia jaasakay to gaa'ouN dehaat walaa yehi wahid nuskha bach jata hai jo ejteyaat k saath use kia jasakta hai.......... agar room garam karnaa laazmi ho aur dom_man ka nuskha.... :) |
noor123
|
Group: Members Joined: 16th Apr, 2007 Topic: 83 Post: 804 Age:
28
|
|
Posted on:14th Jan 2010, 4:23am |
|
|
myrizvi myrizvi aik bar baba na room mai koyla jaliya toa humara carpet jal gia tha |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6864 Age:
54
|
|
Posted on:15th Jan 2010, 12:57am |
|
|
noor123 mera khayaal hai k sawaal kunandah k room maiN carpet nahi hoga.... jin gharouN maiN room carpetted hotay haiN wahaaN log electical heaters ko bhi afford karsaktay haiN.... maiN nay to saailah k sawaal ki hadood maiN rahtay howay aik sastah saa nuskhah batlaya thaa warnah maiN yeh bhi kah sakta thaa k...
- ap apnay room ko insulation karwalaiN yaani chat k neechay false insulated roof, deewarouN par wooden yaa kissi aur material ki insulation covering aur door /windows ko bhi issi tarah 'insulation karwalaiN aur floor pay wall to wall carpet lagwalaiN.... yeh lijyeh apka room insulate hogaya hai. ab iss room maiN bairooni "sardi" enter nahi hosakegi... ajkal commerciallly bhi aisay adaray, karachi maiN bhi maujood haiN jo ap kay rooms ko insulation provide kartay haiN...... iss tarah energy ki bahoot bacaht hoti hai... yani aik estimation k motabiq jis baRay room ko 4 ton k A/C say 24 hrs cool kia jata ho, ossay agar proper insulation faraham ki ajaye to issii room k liyeh half ton A/C kafi hoga. |
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:15th Jan 2010, 1:08am |
|
|
Burning coal in a closed Area. Koielah pehley zamaney mai open sahan ya dalan type jago peh jalaya jata tha probablykoieley aik bund kamarey ya area mai nai jalana chaheye kunke bohat sari poisonous gases like C0 , SO2 , NO and small particle jo inhale keye Ja saktey hain ismey sey nikalti han, koielah itself bhe lung k leye harmful ha.. iskey alawa children mai allergy induced asthma b kar sakta ha aur isko barha b sakta ha. merey khayal mai inko carpet and insulation sey kam chalana chaheye. |
mehwish
|
Group: Members Joined: 09th Jul, 2008 Topic: 22 Post: 46 Age:
32
|
|
Posted on:15th Jan 2010, 5:56am |
|
|
Thanks Thanks to all for their suggestions, i am really gratefull |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6864 Age:
54
|
|
Posted on:16th Jan 2010, 4:26am |
|
|
gud point by waterr iss taraf to mera dhayaan gayaa hi nahi... u r right closed room maiN to gas heaters bhi nahi jalanay chahiyeh...room ki oxygen kam hojati hai aur suffocations k sabab halaktaiN bhi hoti haiN.... asal maiN sawal kunandah nay etnay narrow space diyeh thay k sab say sastah nuskhah yehi nazar ayaa... Jazak Allah
waisay ab mehwish ko bahoot saray options mil gaye haiN...ab woh apni limitations k hisaab say koi sitable raastah khud bhi nikaal sakti haiN...aisee discussions ka aik faidah yehi hota hai k issue k har angle wazah hojata hai... |
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:16th Jan 2010, 4:54am |
|
|
Thanks myrizvi:you are always very encouraging and your appreciation does count a lot to me. Thanks .. Hmm,actually innke pas tou option nai ha gas heater kei, i really feel for her waisey i dunno about karachi bt lahore mai tou 3days back backbone chilling type weather thagas heater ap agar kamarey ke windows partial open kar dain tou bund kamrey mai use kar sakte hain,isme sirf CO hey health hazard ha aur wo slight air mov sey bhe exchange hokar chali jati ha aur kamra b garam hojata ha koielah ap agar kamrey mai cross ventilation yani amney samaney 2 window with air exchange houn tou b bund mai na use karain kunke aisey ye heat b nai karta itna plus iske aur gases b hain plus respirable particles iska subse bara health hazard ha jo gas heater mai nai coal worker disease (pneumonoconiosis) b in particle ke waja se hoti ha n ye children k leye hazardous ha fan heater b optn ha magar inko agar electrc heater nai allowd tou wo tou kabe nai hoga. |
|