|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 31
Post: 1697
Age: 33
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 6:55am |
|
|
Hitman bro waisy ikhlaqan aap k reply par mujy comment karny ka to haq nahi hay q k aap ny mujy mukhatib nahi kiya bulky s4u ko address kiya hay laiken bol iss liye raha hon k maazi main kaheen na kaheen main b bilwasta iss mu'aamly main shreek raha hon jis ka hawala aap ny apny reply ki akhri line main diya hay
hitman g waisy aap ki mehar bani hay k maazi main aap ny kisi k kehny par s4u sy mazeed uljhny sy guraiz kiya tha laiken iss mu'aamly main aap ny uss kehny waly ki b achi khaasi thukaaiee kar di thi uss ki baat ko mashroot tareeqa ay man'ny ki waja sy ...aap ny tab sy ly kar abb tak uss mana karny waly k raweye par b ghore kiya hoga k uss ny aap sy direct ya indirect koi rabta nahi kiya uss ki waja yehi thi k agar kisi ko kisi dosry par maan (bhrosa) ban jaye to ussy kabi torrna nahi chahiye aur bharosa b kisi achi baat k manwany main ho...baqi aap samjdaar hain main aap ko samjha nahi raha bas apny dil ki bat kar raha hon agar buri lagy to mazrat... |
~~HITMAN~~ |
Group: Members
Joined: 21st Sep, 2010
Topic: 1
Post: 153
Age:
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 7:20am |
|
|
rE: Main kon hota hon kisi ki thukae karne wala ? haan jo baat yahan pe ghalat lagti hai usay boldeta hon ismain kya buraye hai ? personal nahi lena chahiyai kisi ko.
Albatta appne ulti seedhi batain kar k meri thukae karne ki koshish ki thi forum pe, us wakt main bhi tafreehan jawab deta raha apko bajaye serious honay k, ......likin phir bhi app mujhse baray hain is liyain main nay appse sorry kar k apko yahan bulaya wapis forum pe.
baaki main aese lougon par bharosa nahi karta jo forum pe kuch aur forum se bahar kuch aur nazar atay hain,.....aur diplomate main bhi mujhe kuch aesa hi dikha hai...
|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 31
Post: 1697
Age: 33
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 8:14am |
|
|
aur diplomate main bhi mujhe kuch aesa hi dikha hai... achy khaasy topic ko hum dono hi divert kar rahy hain behtar hay jo howa ussy waheen rehny dain aur jo agy hona hay uss par nazar rakhain...:)
waisy mera khiyaal hay k baaz cheezain hum jis nazar sy daikhty hain waisi hi hoti hain agar hum buri nazar sy daikhain to aik achi bhali cheez b humain buri hi nazar aye gi aur agar hum kisi cheez par zara dil sy nigah dalain to wohi cheez humain duniya bhar ki cheezon sy behtar nazar aye gi ....matlab yeh k farq hamary daikhny main hota hay cheez main nahi .. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members
Joined: 21st Sep, 2010
Topic: 1
Post: 153
Age:
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 9:08am |
|
|
rE|~
waisy mera khiyaal hay k baaz cheezain hum jis nazar
sy daikhty hain waisi hi hoti hain agar hum buri nazar sy daikhain to
aik achi bhali cheez b humain buri hi nazar aye gi aur agar hum kisi
cheez par zara dil sy nigah dalain to wohi cheez humain duniya bhar ki
cheezon sy behtar nazar aye gi ....matlab yeh k farq hamary daikhny main
hota hay cheez main nahi ..
100 percent agree, kaash app achi nazar se dekhne ki koshish kartay hitman ko tou apko hitman se larne ki zarorat na parti us time :)
chalain topic divert honay se bachatay hain. take care
|
Guide |
Group: Members
Joined: 19th Sep, 2010
Topic: 1
Post: 111
Age: 37
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 11:15pm |
|
|
re: change of id pehle yaha per jo bhi member id change kerne ka kehta tha os ka id change ho jaata tha. lekin baad mai pata chala keh id change kerne se kafi problem ho gaya. matlab yeh keh jis jis thread mai purani id se post kia gaya os thread mai jin logo ne bhi jawab mai reply kia tu os purani id likh ker mukhatib kia. lehaza new members ki samajh mai nahi aata tha keh jis ko jawab dia jaa raha hai os ka post kaha hai. aisa lagta tha keh ose delete ker dia gaya hai, jab keh woh delete nahi hota tha balkeh id change ho chuka tha.
Example: maslan mai ne agar Guide ban ker post kia tu logo ne re: Guide ker ke jawab dia aur post ke andar bhi jagag jagah lafz Guide ka istemal kia. ab agar mai apna id Guide se change ker ke Leader ker loo tu phir pichle tamam post irrelevant ho jaaye ge. yaani post ke saath Leader likha ho ga aur logo ke reply ke saath re: Guide. iss tarah se kafi confusion hoga.
yahi confusion maazi mai hua jis ki wajah se baad mai kai members ke request per on ki id change nahi huyee. mera khayal hai keh id change kerne ka silsila band ho gaya hai. albatta mera mashwara hai keh agar new id pichlay id se milti ho tu change kerdena chahiye. maslan agar mera id **Guide** ho aur mai ose Guide kerna chahta hoo tu ose ker dia jaaye iss tarah ziadah confusion nahi hoga.
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members
Joined: 21st Sep, 2010
Topic: 1
Post: 153
Age:
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 2:16pm |
|
|
rE: Guide lehaza new members ki samajh mai nahi aata tha keh jis ko jawab dia jaa raha hai os ka post kaha hai
meri participation jawab dene main zyada hai bajaye pochnay main, chatting waghera regular members se hojati hai, chatting new members k liyain ehem nahi hogi., khair apka point ehem hai wese, isliyain mein agar mazeed feel karonga tou new id se ajaoonga isay wese hi rehne donga.
id change karne ki buhut si wojohaat hain, jinmain se ke ehem ye hai k
id ka meaning agar acha hota hai tou us id k reply ka impression pehli nazar main hi adha ban jata hai (agar reply acha ho), aur agar id k meaning 2 nikaltay hain ya ek nikalta hai (jo k negative ho) tou loag uskay reply pe apna believe dosre replies ki ta'eed main kartay hain zyada tar.
phir hota ye hai k id ka jo matlab nikalta hai usay wesa hi samjha janay lagta hai, maslan bewakoof ki id ki misaal apko pata hai, dosri meri id ki misaal hai jis k 2 meaning nikaltay hain, jisko jawab pasand ajae uski nazar main hit, jisko na pasand aye uski nazar main usko hit kia jaraha hai
isliyain net ki duniya main mai ney feel kia hai k nick buhut ehmiyat ka hamil hai, ya tou apne ya kisi naam se ajaoo ya phir kisi achay matlab walay nick se.
|
m0on |
Group: Members
Joined: 22nd Sep, 2010
Topic: 7
Post: 14
Age: 22
|
|
Posted on:19th Nov 2010, 4:52pm |
|
|
Question for any user agar hum kisi user se question kerna chahte hain to kese keren ge
aur apni porani question history delate kerni ho to kese kerene ge
|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 31
Post: 1697
Age: 33
|
|
Posted on:20th Nov 2010, 6:56am |
|
|
Question for any user re "agar hum kisi user se question kerna chahte hain to kese keren ge"
aap ko left top par "start new topic" nazar araha hay uss ko click krain aur apna sawal post karain agar jawab dainy laiq howa to zaroor jawab mily ga ...waisy swal post karny sy pehly .."site map" ko click kar k daikh lain ho sakta hay aap k sawal ka jawab pehly sy hi majood ho..:)
re "aur apni porani question history delate kerni ho to kese kerene ge"
agar aap new member hain to aap fill hal yahan sy kuch b delete nahi kar sakty ...deletion power milny tak aap intzaar karain ...amoman active member ko 3 mah tak permissions mil jati hain ..:) |
|