Frequent Night Falls: Preventive Measures And Solution
Waterr app kay aksar reply main nay dekhain hain achay hotay hain kia app dr ho.agar ho tu apni id kay saath likh do takay log thora ziada yaqeen karain. or is bhai kee baat sahi hai kay ziada tar log dilasay daitay hain or iss say masla wahin ka wahin rehta hai. main dr nahi hoon. but kuch chezian ju mujhay pata hain ehtelaam kay baray main woo in ku batani chaheien thien agar koi dr hai yahan. 1= raat sonay say 3 ,4 hr pehlay khana kha lain.even milk bhi bilkul sonay say pehlay na piyan 2=halki ghiza (food) khain like haevy or muraghghan food thoray din na khain. 3=din main pani ziada piyan. 4=agar constipation(qabz) reha hai tu us ka ilaj karain woo aik khas wajha hoti hai ziada ehtelaam kee.
5=loose Pajama pehan kar soeyyn.(sleep) 6=tea coffe bhi kam kar dian 7=or bhalay app ku peshaab(urine) na araha hoo magar jab bilkul bed par janay lagain tu zarore aik martaba urine pass karian or direct bed par ajaein sonay. 8=thats true iss main koi medicine lainay ke zarorat nahi specially homeopathy us say aksar or ziada he ho jata hai. 9=roz subha uth kar thanday or sardi hai to neem garam, pani say gusal karain. 10=aik dafa phir yeah iss main key point hai iss liya dohra raha hoon bed par janay say pehlay bhalay peshaab araha hoo ya nahi zaror aik martaba urine pass karkay sonay jaien. hope iss say ik week main app lazmi lazmi faeida dekhain gay yeah is ka mustanad ilaj hai no medicine required. Baqi baqol watarr yeah bemari nahi bus jab stomach disturbe ho ya bhari ho tu yeah hota hai Allah app ki mushkil asan karay ameen.
|