|
minhl019 |
Posted on : Tuesday, 10th March 2009, 3:30pm |
Group:
Members
Joined: 07th Mar, 2009
Topic:1
Post:5
|
Meri Body Per Hairs Hain Kya Main Happy Married Life Guzar Sakti Hon? kya main happy married life guzar sakti hoon becoz meri body par abdomen or chest and surrounding nipple par vry thick hairs hai.
2times treament karwa chukki hoon but koi farq nahi hoa medisions say or hairs ki growth hoo rahi hay
kya mera husband mujhay accept kar lay gi ya mujhay apni badkismatii samjhay ga |
|
azzi |
Posted on : Tuesday, 10th March 2009, 4:38pm |
Group:
Members
Joined: 15th Oct, 2008
Topic:6
Post:357
|
Minhl019 sis aap is baat se itna preshan na hon, agar aap ki body par hair hein to is mein aap ka to koee qasoor nahin, is dunya mein bahot se aisay log hein jo soorat se ziada seerat ki qadar karte hein, jis cheez par aap ka bas nahin uski fikar na karen, jo aap ke ikhtiyar mein hai us par tawajjah den, that is character. waise b aap shukar karen k chehre par hairs nahin hein, warna problem ho sakti thi, Allah ne aap ko bahot si cheezen achi b to di hein bas uska shukar ada karen aor Allah aap k liye behtar hi kare ga.
|
|
zeb |
Posted on : Wednesday, 11th March 2009, 5:09am |
Group:
Members
Joined: 18th Aug, 2007
Topic:98
Post:10822
|
agreed to azzi is se koi ferk nahi perta
ladies k bhi kuch parts per hair hotey hain
aur kuch ladies k to bht ziada bhi hotey hain
dont worry
agar husband ko pasand na hon to ap wax kerwa lijiye ga |
|
aliraza008 |
Posted on : Wednesday, 11th March 2009, 5:30am |
Group:
Members
Joined: 28th Jul, 2008
Topic:26
Post:156
|
Agree with ZEB Bahi Bilkul i agree with zeb bahi kisi k kam hotay hein or kisi k zayada.Nice reply zeb bahi
|
|
zeb |
Posted on : Wednesday, 11th March 2009, 5:40am |
Group:
Members
Joined: 18th Aug, 2007
Topic:98
Post:10822
|
aliraza thanks buddy :-) |
|
mna1978 |
Posted on : Wednesday, 11th March 2009, 6:33am |
Group:
Members
Joined: 27th Jan, 2009
Topic:0
Post:59
|
Dear Sister Main Azizi or Zed Sahab ki batoon say agree karta hoon...
Shadi ko jis tarha Unmaried log samajtay hain wo us say bilkul Mukhtalif hai... Kuch Girls Itni zeyada Atractive nhi hoty magar phir bhi un kay husbands un kay bini aik pal bhi nhi reh sakty... par Kuch Girls Bohat zeyada Khoobsorat hoty hain par phir bhi un ki married life bilkul theek nhi hoty... Same is the case of Boys...
Agar Husband Aur Wife main peyar nhi hai to Kuch bhi Kaam nhi ata... Na khobsorty... Na Paysa... Kuch Bhi Nhi...
Mere ya dua hai kay ALLAH aap kay Naseeb Achi kary aur aap ko bahat zeyada peyar karny wala husband mily...
Magar Phir bhi main ya kahoon ga... kay is ka Elag karwany main koyee harg nhi... For Example... aap ka husband aap say bohat zeyada peyar karta hai... aur un ko ya baal pasand nhi... aur woo Peyar ki waja say compromise karta hai... to ya bhi theek nhi...
Aap aik kaam karain... ya problem aap apni ammi say share karin... un say maswara karin... agar un ka sary soorti haal pata hai to kisi achy say doctor kay pass jaeen...
Dekhain... Agar aap ni kisi doc ko Dekhaya Aur aap ko us say aram nhi aya to doctor change kar lain... ho satka hai kay kisi dosry doctor say shifa mill gayee... Ya sirf Hormonal Disturbance hai... Har insnan ko har medicne raas nhi aty.... Doctor change karain... Medicince Change Karain.... Koyee to aap ko raas aye ge INSHALLAH...
Phir bhi agar koyee Faeda nhi hota... too pereshan nhi hona... Shadi kay baad Both Girl aur Boys main bohat see Hormonal Changes Aty hain... Aur ho sakta hai(Aur Mery Duya Hai) Un Changes ki waja say aap ka ya masla khud-ba-Khud hal ho gayee ga...
Wish You Best of Luck... |
|
System |
Posted on : Wednesday, 11th March 2009, 8:04am |
Group:
Members
Joined: 03rd Jun, 2008
Topic:17
Post:973
|
Minhil019 iska ilag mumkin hai... Harmonz main kami ya ziadti ki waja se aisa hota hai.... Ager app ke ammi abu is muamly main serious hian to you should consult a specialist... Mera matlab hai shaid ziada kharcha ai...
Also Agreed to all above posts |
|
minhl019 |
Posted on : Wednesday, 11th March 2009, 9:58am |
Group:
Members
Joined: 07th Mar, 2009
Topic:1
Post:5
|
thnx all i agree with u main 2 times treatment kawa chuki hoon she is nice and expert dr 1st treatment main12months tak medision li but koi improvment nahi hoi 2nd 15months tak medision li 5th months kay baad bhot ziada side effect honay lagay mera colour dark hoo gaya skin bohot dry hoo gai even eyes dryness say burning pain honay lagi
meri mother or sis nay mazeed koi treatment or medision say mana kar dia
now thnx GOD after 2years ab mensis cycle normal hoo gaya hay but dryness khatam nahi hoi.
wax karnay say pores say blood aata hay becz hairs bohot ziada thick hain or aik root main 3 or4 hairs hain or skin bhi sensitive hay
meray ghar walay mera rishta dhoond rahay hain ab to koi bahana bhi nahi raha kay taal sakoon may bohot confuse hoon kay mujhay shaadi say pahlay honay walay husband ko hairs kay baray main batana chahiay ya nahi becoz agar muhay accept nahi kia or chor dia to.....is liay main bata doon ya nahi...... |
|
System |
Posted on : Wednesday, 11th March 2009, 12:26pm |
Group:
Members
Joined: 03rd Jun, 2008
Topic:17
Post:973
|
Minhil019 meri Dua hai ke allah pak apko is problem se Jald nijat de aur sada khush rakhe --Ameen.. Thats all i could do... |
|
azzi |
Posted on : Wednesday, 11th March 2009, 1:12pm |
Group:
Members
Joined: 15th Oct, 2008
Topic:6
Post:357
|
Minhl019 sis mere khiyal mein to aap ko yeh batane ki koee zaroorat nahin, aap mein konsa koee aib hai jo aap chupa kar ghalt karen ge. aap ko mna1978 ne bahot acha mashwara dia hai. Don't worry aap apne piyar se apne husband ka dil jeet sakti hein. |
|
|