Suhaag Raat Aur Mobaashrat ke Aadaab – VI Suhaag Raat Aur Mobaashrat ke Aadaab – VI
Mobasharat Se Pelhay Wazu Aur Jadeed Science
Mobasharat kernay se pelhay aadmi wazu ka ahtamaam keray.maloom hua ke islam ma soonay ke aadaab ma hai ke insaan ke liay bawazu soona bahter hai(Bukhaari shareef).
Doseri hadees ma bawazu rahnay walay ko Nabi(S.A.W.W) ne imaan ki aalamat qaraar diya hai es liay wazu Allah aur bunday ke dermayaan aik raaz hai.jamma aik ishtayaali ammal hai jo khoon ki circulation ko body ma tez ker daita hai.doraan-e-khoon tez ho ga tu es se blood pressure high ho ga jis se phir bachnay ke liay wazu aik munasab aur mozu ammal hai.ager mobasharat se pelhay wazu ker liya jaye tu es se insertion ma ahsaani rahay gi aur kisi qisum ki koi takleef na ho gi.es waqt her teruf maholayhaati aaloodgi hai tu haath moun etc saans lainay se aalooda aur jaraseem zadda ho jatay han.moobasharat ma kuin ke in ka bhi qaam hai tu mobasharat se pelhay wazu zaroor ker laina chahiay.
Mobasharat ki tayaari ma kin amoor ka khayal rakhna chahiay?
· shohar aur bivi dono bataharat aur bawazu hon.
· Ahtelaam wala binna ghusal aur paki kay apni bivi ke pass mat jaye werna bacha diwaana aur bakheel ho ga.
· Khana khanay ke 3 hour bahd waqt bilkul sahi hai.
· Khushbu lagana sunnat se sabit hai so khoshbu ka istaymaal zaroor kerain.
· Ager room ma Islamic books ya Quran Pak ho tu in per kapra daal dain.
· Qibla ki teruf rukh mat kerain kuin ke ye ahteramay qibla ke khilaaf hai layhaaza eski teruf na moun ho aur na pussht.
· Mobasharat se pelhayl es dua ko parhna ahdees se sabbit hai:
"Bismillaah. Allaahumma jannibnash- shaytaana wa jannibish-shaytaana maa razaqtanaa" - Al-Bukhari
"Ae ALLAH hum se shaitaan ko dour rakh aur jo aulaad tu humain aata keray ga uss se bhi shaitaan ko dour rakh" - Al-Bukhari
Ye dua saater kholnay se pelhay parhni chahiay aur dono bivi aur shohar es ko parhain aur ager mobasharat ke bahd ya doraan yaad aye tu dil ma parhain.es ko parhnay se aulaad naik bakht hoti hai aur shaitaan bhi dour hota hai.
·
Mobasharat ke doraan kin Amoor Ka Khayal Rakhna Chahiay?
· Sobbat ke waqt zaroorat ke motabik sattar kholna chahiay aur janwaroon ki tara bilkul nanghaa nahi hoona chahiay.
· Bilkul nangha ho ker sobbat kernay se aulaad behaya paeda hoti hai aur ye bhi hai ke bilkul nangha hoonay se malaika nikal jayain gay aur shaitaan ah jayain gay.
· Aisay waqt ma Nabi(S.A.W.W) khud ko aur bivi ko chadar se sir laitay thay takay dono ke jismoo ki hifazat rahay.
· Aap(S.A.W.W) ne dono ko ghadoon ki tara naangha hoonay se manna fermaya.
· Hazrat Ayesha(R.A) farmati hank e na Aap(S.A.W.W) ne meray saater ke makaam ko dekha aur na mainay un ke kuin ke es se manafarat aur shahwat ma kaami ah jaati hai.
· Sobbat ke doraan zyada baatain na ki jayain es se andaisha hai ke baacha ghonghaa paeda ho ga.
· Mobasharat dim light ya darkness ma hi munasib hai.
· Jab insertion aur discharge ho jaye tu es halat ma hi thori dair rahain takkay auraat ki zaroorat bhi poori ho jaye aur wo satisfy ho jaye.
· Ager dobara mobasharat ka irada ho tu dermayaan ma wazu ker laina chahiay.
|