Suhaag Raat Aur Mobaashrat ke Aadaab – V Mubasharat Kis Niyaat Se Kerni Chahiay?
Hazrat Ali (R.A) ke farmaan ke motabik jab kabhi mobasharat ka irada ho tu es niyat se kerni jaye ke zinna se baaz rahoon ga aur dil ko idhar udhar bhataknay se faraghat ho gi aur aulaad naik bakht ho gi, es niyat se mobasharat kernay ma sawaab hai.
Hazrat Junaid Baghdaadi farmaya kertay thay ke mujhe ko tu jamaah ki hajat aisi hai ke jaisay ghizza ki…maqsaad ye ke asal ma bivi ghizza aur dil ki taharat ka zariya hai.es wajha se jis mard ki nazer ajnaabi aurat per parhay aur es ka nafs e ski teruf mahil ho es ko Nabi( S.A.W.W) ne farmaya ke wo apni bivi se sobbhat keray, ke sobbhat kerna dil ke waswasay ko dour ker daita ga.aur farmaya ke aurat jab saamnay aati hai tu shaitaan ki soorat ma aati hai pus jab tum ma se koi kisi aurat ko dekhay aur wo uss ko achi maloom ho tu ussay chahiay ke apni bivi se sobbhat keray ke es ke pass bhi wohi baat hai jo doseri ke pass hai.
Mobasharat Se Qabal Kin Baatoon Ka Khayal Rakhna Chahiay.
· Mobashayrat uss waqt kerni chahiay jab khaana hazum ho chukka ho laikin pait bikul khaali bhi nahi honna chahiay kuin ke es se hararat-e-azizi aur rooh zyada tahleel ho jaati hai aur jinsi aahza kamzoor ho jatay han.
· Paishaab ki hajat ho tu es se farigh ho laina chahiay kuin ke shaded paishaab ki halat ma masaana aur paishaab ki naali ke amraaz paeda hotay han.
· Pakhana ki hajat ke waqt sobbat kernay se bawaseer ke amraaz ho saktay han.
· Nazla,zukaan aur bukhaar ki halat ma jamma kernay se hararat jisum ma bus jaati hai aur dick ki halat ikhtayar ker laiti hai.
· Aankhain dukhnay ki halat ma mobasharat se aankhoon ma zakham aur safaidi paeda ho jaati hai.
· Bharay pait ki halat ma sobbat kernay se pelhay tu unzaal jald ho jaata hai phir mahdaty ki kamzouri aur worm jighar paeda ho jata hai.
· Khoof aur parayshaani ki halat ma mobashayrat namardi ko janum daiti hai.haqiqat tu ye hai ke khoof penis ma full erection nahi paeda honay daita aur tabiyat mobashayrat ki teruf rojju nahi kerti.
· Naashay ki halat ma mobasharat kernay se jisum ma bahot zyada qowat aur hararat kharij hoti hai,jis se bahd ma bahot zyada kamzouri ho jati hai es ke ilawa joints ki bimariyoon ka bhi khatera hota hai.
· Sakht gharmi aur sakht sardi ma mobashayrat se parhaiz kerni chahiay kuin ke dono halation ma insaan kisi na kisi aarzay ma mobtalah ho jaata hai.jis room ma mobasharat ki jaye uss ka temperature khush gawaar hoona chahiay.sardiyoon ma room ko gharum rakhnay aur gharmiyoon ma room ko thanda rakhnay ka khoob intezaam hoona chahiay.
· Jis din mobasharat kernay ka khayal ho uss din mard ko hahiay ke wo taqatwar diet lay jaisa ke ghoosh,aanda aur dhoodh etc.es din ghusal ker ke khushbu ka bhi istaymaal keray aur pait bhar ker khaana na khaye aur khana khanay ke 3 hours bahd mobasharat keray.
· Sakht mahnat aur thakawat ke bahd mobasharat ma kamzouri se jaati hai layhaza in sooratoon ma mobasharat nahi karni chahiay. |