|
sara_07 |
Posted on : Tuesday, 16th December 2008, 11:48pm |
Group:
Members
Joined: 16th Dec, 2008
Topic:1
Post:2
|
cousin marriage slam to all mera sawal yeh hay k mere shadi meray cousin k sath honay wali hay or may nay suna hay k cousin k sath shadi k bad honay walay bachay may koi na koi fault hosakta hay kya yeh sahi hay?ager han to iska koi solution hota hay?
thx
|
|
sunny007 |
Posted on : Tuesday, 16th December 2008, 12:07pm |
Group:
Members
Joined: 22nd Dec, 2007
Topic:30
Post:1515
|
sara_07 Hazrat Muhammad SAW ka irshad hai, k jab aap shadi k lie partner ka intikhab karne wale ho to apne relatives se behter hai k bahir se rishta dhoond lo.
jab 3, se 5 ya 7 pushtoon tak nasal dar nasal ek hi family main shadian hoti hain to usi khandan main mazeed aaney wale bache ziada tar abnormal paida ho jate hain, ye medically b prove ho chuka hai, aur darja bala hadees se b sabit ho sakta hai k aisa mumkin hai, q k Allah aur us ka Rasool SAW jo hukum deta hai us ki zaroor faide hi hote hain, aur jis kaam se mana kar deta hai us main zaroor koi na koi nuqsaan hota hai.
sara
agar aap k parents aur aap k fiance k parents ka ek hi family main shadi nahi hoie hai so dont worry Allah sab khair karega, aap k case main aisi chances 0.01% chances ho sakte hain, lekin Allah par bharosa rakhe.
agar Allah chahe to nasal darnsal normal aulad b ata karta hai
|
|
gudu123 |
Posted on : Tuesday, 16th December 2008, 2:39pm |
Group:
Members
Joined: 16th Dec, 2008
Topic:0
Post:10
|
wrong sara galt information mt do ap aisi koi bat nahi hy.aisi xample mery khandan me mojood hy .so chill aur agr ziada cnfrm krna ho to cntct me on my id
|
|
zeb |
Posted on : Wednesday, 17th December 2008, 2:15am |
Group:
Members
Joined: 17th Aug, 2007
Topic:91
Post:9134
|
gudu yar wo contact ker k kia kerye gi ap se
bus ap ne bata to diya hai usey
sahi hai
aur han sara
mre to bht saray cousins ki shadi hui hain apas mein
un k bachay mein bilkul normal hain
so dont worry
Allah se dua kero aur shadi ker lo
|
|
jtm |
Posted on : Wednesday, 17th December 2008, 2:17am |
Group:
Members
Joined: 02nd Aug, 2008
Topic:16
Post:1229
|
sara
its not true information aapas ki shadi mein koi burai nahie hey meri apni shadi apni cousin sey hoi hey
lekin agar apkey dil mein koi khauf hey tou aap apna aur apney honey waley husbank ka hb test karwalien jis sey yeah pata chal jayega k aap dono thelesemia minor k pateint tou nahie agar nahie tou inshallah sub theek rahey ga |
|
|
|
jtm |
Posted on : Wednesday, 17th December 2008, 2:17am |
Group:
Members
Joined: 02nd Aug, 2008
Topic:16
Post:1229
|
sara
its not true information aapas ki shadi mein koi burai nahie hey meri apni shadi apni cousin sey hoi hey
lekin agar apkey dil mein koi khauf hey tou aap apna aur apney honey waley husbank ka hb test karwalien jis sey yeah pata chal jayega k aap dono thelesemia minor k pateint tou nahie agar nahie tou inshallah sub theek rahey ga |
|
|
|
sara_07 |
Posted on : Wednesday, 17th December 2008, 2:21am |
Group:
Members
Joined: 16th Dec, 2008
Topic:1
Post:2
|
gudu mujhay apsay contact karnay ki zarorat nai hay thx
may nay kafi kuch medical k hawalay say sun rakha tha ise leya thore tension hay ager dr iska rely deyngay to tassali ho jaye ga or ap logo ka thx
|
|
saahilbhai |
Posted on : Wednesday, 17th December 2008, 2:25am |
Group:
Members
Joined: 31st Oct, 2007
Topic:10
Post:263
|
sara Ji sis meri bhi fiancee meri first cozin hai, mein ne bhi kisi se suna to tha k family mein shadi nai karni chahiye magar hamari family mein shuru se hi apas mein hi shadiya hoti hai ajj tak to koi aisa case samne nai aya, Baqi Allah Behtar Janta hai
|
|
sunny007 |
Posted on : Wednesday, 17th December 2008, 9:41am |
Group:
Members
Joined: 22nd Dec, 2007
Topic:30
Post:1515
|
saahilbhai yar Allah kia krta hai, q karta hai, kab karta hai, aulad normal paida karta hai ya abnormal, ye sab Allah ko hi pata hai, wo chahe to kisi b soorat main aulad ko normal paida karta hai, agar chahe to different khaandanon main hone wali shadi k nateeje main b aulad ko abnormal paida kar sakta hai.
lekin sara medical k hawale se question kia hai, so main ne medical k roo se us ko reply kar dia
|
|
zeb |
Posted on : Thursday, 18th December 2008, 12:50am |
Group:
Members
Joined: 17th Aug, 2007
Topic:91
Post:9134
|
sara no need to worry dear
bus Allah se dua kero
aisa kuch nahi ho ga InshaAllah
|
|
|