Overcoming Fear of Labor
Overcoming Fear of Labor Hoosla der ya khoof ka na hoona nahi hai, laikin ye judgment hai ke khoof se zyada kuch important hai – Ambrose Redmoon Labor aur childbirth dono humari lives se separate han.bahot kam women ne apnay pelhay bachay ki paidaish se pelhay asal ma birth dekhi hotti hai.es ki wajha se aik normal healthy concern ye hai ke itni prepared hon jitna possible ho takkay ye aap ko help day sakay.aik healthy concern productive ho sakta hai, es se aap ko apnay aur baby ke baray ma healthiest decisions lay sakti han. Phir bhi kuch women ke liay ye sub jaana unproductive fear ho jaata hai aur wo decisions lainay aur pregnancy ko enjoy kernay se paralyze ho jatti han.proper prepration na kernay ke saath saath aisay fears un e labor ma problem kertay han.female body es tara design hai ke jab wo unsafe situation ma ho tu labor stop ho jatta hai aur wo mother jis ma bahot fer ho wo uss ke labor ko stop ker daita hai.aisay kuch ikdamaat han jin ko aap labor fear ko khatum ya kam kernay ke liay ker sakti han. Attitude: aap ka attitude zyada important hai ke aaap labor kebaray ma kya soochti han aur childbirth ke baray ma aap ki feelings.aap labor ke baray ma positively soochain ye mat soochain ke aap ke saath kya ho ga balkay aap sirf ye soochain ke labor wo hai jis se aap ne apnay bachay ko birth daini hai.labor ka process completely aap ki body se hota hai-es me aaap ke uterine muscles contract kertay han aur aap ki body ye powerful sensation paeda kerti hai.apni body ke work se fight mat kerain balkay es ke saath apni best ability ke saath work kerain.labor ka process aap ke control ma nahi hai laikin aap ke pass es ko respond kernay ke kitnay ways han aur apnay response se aap apnay processing labor per impact dal sakti han.childbirth ke baray ma apnay attitude kaa andaza lagayain aur ye ke aap es ke baray ma kya soochti han aur ye sooch paeda kaisay hui hai.aap kis tara apnay attitude to bather bunna sakti han. Education: kitni bar fear uncertainity se hotta hai aur kaheen bar misinformation se hotta hai.ye jaana ke normal labor se aap kya expect ker rahi han aap ke fear ko kam ker day ga.normal aur jo normal nahi hai uss ma farq kerain.un options ko siekhain jo aap ke pass han aur un ke kya benefits aur risks han.kuch aisi techniques siekhain jin se aap labor ki stages ko handle ker sakain. Support: aap ko kam fear ho ga jab aap ye soochain gi ke labor ke doraan aap akeli nahi hon gi,caregivers aur attendants choose kerain jo birth process ma aap ke saath hon gay.ye yaqeen ker lain ke jis ko bhi aap labor ma invite kerain wo aap ki choices ka supportive ho.khud ko aisay logon se surround kerain jo aap ko emotional support aur couragement day.aisay her relation se avoid kerain jo aap ko discourage keray ya aap jis se hurt hon. Realistic Expectations: pregnant women aam torr per doseri kitni women se horror labor stories sunti han.ye janna zuroori hai ke aisi kitni women educated nahi hotien ya un ko labor ke baray ma sahi information nahi hoti.tu aap apni inner expectations ko realistic rakhain bajaye ye ke horror stories per believe ker baithain. Take Control: jaisay ke labor aisi cheez nahi hai jo sirf aap ke saath ho raha hai,labor wo nahi hai jis process se sirf aap hi guzerti han.aaj kal women ke pass kitni options han jin se wo labor ko handle ker sakti han.aap un options ko find kerain jo aap ki local community ma han aur caregivers aur birth place ko options ke saath select kerain.aap birth plan discuss kerain apni caregivers se takay aap labor se pelhay best decisions ker sakain.ye aap carefully select kerain aur decision lain ke aap unexpected situation ko kaisay handle ker sakti han.
|