sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:10th Nov 2008, 3:01pm |
|
|
wah bateeji bateeji waqie tum ne kamal kar dia hai
aap ne ooper deka ek larki tumhari fan ban gaie hai, s4u nick hai us ki
Raja ji
nice poetry dear, keep it up |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:10th Nov 2008, 7:03pm |
|
|
Chcha Hazoor ji bilkul dekha hai..main khood itni lift nahi kera rahi k phir mere peeche hi na parr jae is lie..ok
wese thanks
|
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:11th Nov 2008, 1:23pm |
|
|
bateeji acha to esi baat par ek shair mulahiza kijie
shair,
.
.
.
shair.
.
.
.
shair.
.
.
arey aur kitne shair sunaon. ye kaafi nahi hai kia? |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:19th Nov 2008, 9:50pm |
|
|
Chcha Hazoor heheheh...
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:19th Nov 2008, 9:50pm |
|
|
Shair Paas baitho bhi zara baat suno, baat karo,
Do Qadam aur chalo saath sanam, baat karo.
Itne sadiyon se taki hamane teri rah sanam,
Aaye ho aaj to kuchh Lamhe ruko, baat karo.
Mere dukh dard , mere marz ki jaane do ,
Apni khush haal bahaaron ki to baat karo.
Mere hothon pe hain rok kai rasmon ki,
Tum ho aazad jee chahe woh baat karo .
Jinke ho unke raho hamko kahaan shikawaa hai,
Saamane aa hi gaye ho to zara baat karo.
Unke sar Taj rahe , unka hi Taj bane ,
Mere khwaabon ke sartaj hanso, baat karo.
Bhigi Ankhon se nahin saaf dikhai dete
Ho yakeen aap hi ho aap koi baat karo..!!
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:19th Nov 2008, 9:54pm |
|
|
humare nam. Tum Hum Se Yeh Kahtey Hoo, Mohabbat Nahin Rahi,
Tum Hi Badal Gaye Hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi.
Her Baat Pey Taana, Her Andaaz Main Gussa,
Kiyun Saaf Nahin Kahtey, Mohabbat Nahin Rahi.
Gheron Pey Karam, Apnoo Pey Sitam kartey Hoo,
Phir Shaan sey kahtey, Woo Qurbat Nahin Rahi.
Sehra Main Tapish Main, Jab Tum Ney Humain Choora,
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat Nahin Rahi.
Maana Kay Hum sey, Bhee Buhat Galatiaan Howee,
Shayed Ke Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat Nahin Rahi.
Manzar Too Wohee Hai, Halat Hain Badley,
Shayed Ke Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat Nahin Rahi ..!! --
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:19th Nov 2008, 10:01pm |
|
|
Wo Door Hai Na Qareeb... wo na door hai na qareeb hai
ye jo hijr hai ye naseeb hai
jo visaal thaa wo to khwaab tha
ye khayaal kitanaa ajeeb hai
wohi ansuon main duaaon main
wohi dukh sukh main qareeb hai
jo main sochti hoon na keh sakoon
meraa harf harf raqeeb hai
ye falak zameen ko samait le
meraa dil bhee kitana ghareeb hai
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:19th Nov 2008, 10:07pm |
|
|
1 more
MAIN NEY POOCHA PAHLA PHATER KON MUJPE UTHAYE GA
AAI AWAZ KEY TU JISS KA MOOHSIN KAHLAAYE GA
POOCH SAKEY TU POOCHAY KOI ROOTH KEY JANEY WALOUN SEY
ROOSHNIOUN KO MERAY GHER KA RAASTA KON BATLAAYE GA
LOOG MERAY SAATH CHALOO,JO KUCH HAI WO AAGEY HAI
PEECHAY MUUR KEY DEKHNEY WALA PHATER KA HO JAIYE GA
MERAY BAAD WAFA KA DHOOKA AUR KESI SEY MAAT KERNA
GAALI DEY GI DUNYA TUJKO,SER MERA JHOOK JAAYE GA..!!
|
saahilbhai |
Group: Members Joined: 31st Oct, 2007 Topic: 17 Post: 971 Age:
28
|
|
Posted on:20th Nov 2008, 6:44am |
|
|
wow amazing Kiya baat ahi S4u app to bauhat romantic shayar hain
aik meri taraf se bhi
Ek Chota sa Sapna tha Us Sapne mein koi Apna Tha Us apne mein kuch sukoon tha jo Zindagi ka Junoon tha Us junoon mein ek Rahat thi Jo Sirf Teri Chahat thi...
|
saahilbhai |
Group: Members Joined: 31st Oct, 2007 Topic: 17 Post: 971 Age:
28
|
|
Posted on:20th Nov 2008, 6:51am |
|
|
aik aur Kisi se baat karna bolna acha nahi lagta Tujhe dekha hai jab se dosra koi acha nahi lagta
Teri ankhon mein jab se mein ne apna aks dekha hai Mere chehere ko koi aaina acha nahi lagta
Tere bare mein din bhar sochta rehta hoon mein lekin Tere bare mein sab se pochna acha nahi lagta
Yahaan mohabbat karne wale barbaad rehte hain Yeh darya hai isse kacha ghara acha nahi lagta
Mein ab chahat ki us manzil per aa pohcha hoon Teri janib kisi ka dekhna acha nahi lagta.
|
saahilbhai |
Group: Members Joined: 31st Oct, 2007 Topic: 17 Post: 971 Age:
28
|
|
Posted on:20th Nov 2008, 6:59am |
|
|
one more Meri soch ki udhan hai jahan talak, Wahan tum hi tum ho, Meri nazar ki had hai jahan talak, Wahan tum hi tum ho, Mera sehra hai jahan talak, Barsaat tum hi tum ho, Meri barsaat hai jahan talak, Ghata tum hi tum ho, Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak, Har qadam pe tum hi tum ho, Mere dil ki waadi hai jahan talak, Har chehraa tum hi tum ho, Mere chehre pe muskurahat hai jab talak, Muskurahat tum hi tum ho, Meri aankhon ki shararat hai jab talak, Woh sharart tum hi tum ho, Mere pyaar ka sehar hai jahan talak Us sehar mein tum hi tum ho, Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak, Wahan tum hi tum ho, Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak, Woh umeed tum hi tum ho, Mujhe sahara hai jahan talak, Woh saheban tum hi tum ho, Mere dil ki khusiyan hai jahan talak, Woh sapne tum hi tum ho, Meri nazar mein chandni hai jahan talak, Woh roshn i tum hi tum ho, Meri umeed ki kirne hai jahan talak, Sab roshniyan tum hi tum ho |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:20th Nov 2008, 10:46am |
|
|
Sahil bhai thanks..
|
Sami144 |
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
37
|
|
Posted on:20th Nov 2008, 3:26pm |
|
|
chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din
raazo.n kii tarah utaro mere dil me.n kisii shab dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din
perhon kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.N baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din
Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se phuulo.n kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din
phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din
guzare.n jo mere ghar se to ruk jaaye.n sitaare is tarah merii raat ko chamakaao kisii din
mai.n apanii har ik saa.Ns usii raat ko de duu.N sar rakh ke mere siine pe so jaao |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:20th Nov 2008, 7:39pm |
|
|
poetry ki barsaaat waah waaah waah bohat khoob :)
|
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:21st Nov 2008, 2:22am |
|
|
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojaze apnay hunar ke dekhtay hain
Suna hai bole to baton se phool jharatay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhtay hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhtay hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain Chalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhtay hain
Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi Agar woh khwab hai tabir kar ke dekhtay hain
Ab us ke shahar main tharain ki kuch kar jayan Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hain |
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:21st Nov 2008, 2:30am |
|
|
ab teri yaad se wheshat nai hoti muj ko
ab teri yaad se wheshat nai hoti muj ko zakham khulte hain aziyat nai hoti muj ko
Ab koi aiay "chala Jaiay" main khush rehta hon Ab kesi shaksh ki adat nahin hoti muj ko
hay Amanat main Khayanat, so kisi ki khatir koi marta hay to hairat nahin hoti muj ko
aisa badla hon tere sheher ka pani pi kar Jhoot boloon to nadamat nahi hoti muj ko
Itna masroof hon jine ki khawahish main aay dost Sans laine ki bhi fursat nahi hoti muj ko |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:30th Dec 2008, 6:43am |
|
|
zabardast bhimji bohat khoob Amjad Islam Amjad
Jo baat nahi kartay un boltay rangon mein
maine tumhain socha hae
Jo dil se guzarte hain un ajnabi raston mein
maine tumhain dekha hae
Kehnay k liye tum se baatain to bohat si hain
Alfaaz nahi miltay
Jo meri nazar mein hain is shehr k baghon mein
woh phool nahi khiltay
Maine tumhain jana hae izahar k raston se
istarha juda ho k
Jis tarah koi banda dharti pe nazar dalay
Ik baar Khuda ho k |
azzi |
Group: Members Joined: 15th Oct, 2008 Topic: 4 Post: 288 Age:
42
|
|
Posted on:30th Dec 2008, 1:03pm |
|
|
From azzi Haan ye hoga k zara dil ko sanbhalay de ga
warna ye khawab-e-safar aankh ko chhalay de ga
kon raaton ko jalaye ga teri yaadon ko
kon yoon baad mere tujh ko ujaalay de ga
pehly meyaar bana le ga chamaktay malboos
phir wo fehrist se kuch naam nikalay de ga
ab to aa jaa keh thaka haara musaafir
kab talak doobti saanson ko sanbhalay de ga |
|