Waisai Dosri Shadi Ghalat To Nahi..... SALLAM TO ALL FRIENDS
Main manta hoon kai kisi ko dosri shadi ka maswara nahin daina chahiyai.Lakin jab kai ISLAM nai is ki ijazat kuch osoolon kai tahat di hai.Agar wo osool porai ho sakai to is main ghunnah to nahin.Haan kuch loog majbori ki waja sai kartain hain.To wahan to koyee shak nahin.Agar....
1.Bachai na hona.
2.Pehli bivi ka mar jana.
3.Bivi aur Shohar ka aik dosrai sai na lagna.
4.Talaq ki mudad porai honai kai baad.
Agar chai kuch aisai ajohaat hoo to mujai lagta hai shadi kar laina teeq hai.Lakin agar chai bahana banaya jayee.Kai apni pasand nahin ti is liyai dosri ki to aisa karna ghalat samajta hoon main.Q kai aisa karnai sai sara pressure bacho pai ata hai.Un ki zindagiyaan na honai kai barabar ho jati hai.Haan agar pehli bivi sab kuch honai kai baad bi shahor ko shadi karnai ki ijazat dai to is main koyee harj nahin.
Asal baat dono ko aik jaisa raknai ki hai.Rahi mohabat ki baat to wo ISLAM bi ijazat daita hai kai kis sai zyada karoo kisi sai kam.Rehnai,khanai,peenai ki baat hai to phir sab kuch ka equal hona zaroori hai.Khair ajj kal to jo awoohaat hai dosri shadi karnai ki to phir us kai barain main soochna hi nahin chahiyai.Kya main nai ghalat kaha.....?
NOTE:-sorry if my words hurt anyone.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ |