reply: Menstrual Cycle
Dear... i think u asked 3 questions: 1. abi tak menses nahi aye hain to kiya is ka matlab mai yeh samjhoon k mai pregnant ho chuki hon Dear zaruri nahi k married women ko agar menses nahi aye to wo pregnant ho gae hai...menses na aney ki aur bhi bohat causes ho skti hain....jo Dr ko personally dikhaney k bad hi pata chalti hain.... 2. mai nay suna hai k pregnant honay k baad b ek bar menses atay hain matlab 1st month atay hain is k baad band ho jatay kiya yeh sahi baat hai Ap ne bilkul ghalat suna hai....jub ek aurat pregnant ho jati hai...to aney wali menses date mein usey menses nahi atey....aur ye menses phir poorey 9 months k liye stop ho jatey hain....delivery k bad 40 din tak phr bleeding hoti hai....so in short pregnancy k poorey period mein kabhi menses nahi atey...agar pregnancy mein zara si bhi bleeding ho to foren Dr ko dikhana chahiye...bcoz it is an alarming and dangerous sign and may be the cause of miscarriage 3. pregnancy check karnay k lye jab urine test karvai jati hai to kis waqt check karvani chahiye subah niharmo ya raat ko ya kisi aur time per Pregnancy check kerwaney k liye sub se pehle to menses days uper honey ka wait keryen...us k 8-10 days bad urine ka pregnancy test kerwayen....ye test nihaar moon 10th day ka subha ka pehla urine ho to ziada better result ata hai....aur ye result mostly confirmed hi hota hai....
|