Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Bone TB: What Should Be The Treatment?

General Health   >>  Infectious Disease
 
 
 
ysg7362 Group: Members  Joined: 21st May, 2008  Topic: 4  Post: 18  Age:  25  
Posted on:27th May 2008, 9:01am
 

Bone TB: What Should Be The Treatment?

    Aslam O Alikum!

Bone TB konsi bemari Hai?
Is ka kay kaya nuqsaan hain?
Kya Bone TB ka ilaj hai?

mujey in sawalaat key jawab zara tafseel se chahiyey plz help me!!!!

(Jazaa K Allah Ho Khair)
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4259  Age:  38  
Posted on:29th May 2008, 2:03pm
 

re: Bone TB

Tb aik jaraseem se hota hai, generally Tb ke jo mareez hote hai on ko lungs Tb hota hai. lekin yeh TB jism ke kisi bhi hissa mai ho sakta hai. agar haddi mai ho tu ose bone TB kehte hai.

Bone mai TB ho ga tu zahir hai keh bone kamzor ho jaaye ga. bone ki kamzori se insaan kamzor ho jaata hai.

Tb ka ilaj daryaft ho chuka hai, lehaza lungs Tb ki tarah Bone Tb ka bhi ilaj mumkin hai.

ziadah tafseel se jawab chahiye tu aap ko yeh batana ho ga keh aap yeh sawal kio pooch rhe hai, kis ke liye pooch rahe hai?
doctorji Group: Experts  Joined: 21st Apr, 2008  Topic: 3  Post: 540  Age:  38  
Posted on:29th May 2008, 2:58pm
 

ji mumkin hai

janab

ilaj normally to mumkin hai. konsi bone me hai yeh TB aur kya siraf bone tb hai ya ke lungs se transfer hua hai?

aur janab 20 saal me hi agar bone tb ho jaaye to phir kuch socha parrega. bewaqoof saheb ke sawal ka jawab deejiye aur yehbhi bataye ke yeh baat kaisay maloom hui ya ki gayi ke yeh TB hai? konse test hue hain? umar mareez ki, weight and maheene ki tankhwah. (well tankhwa ka waisay hi adatan pooch liya hai, doctor kabhi kabhi waisay hi mazaq me pooch lete hain, serious na len)
;-)
Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1792  Age:  28  
Posted on:1st Jun 2008, 1:04pm
 

aik hi sawal per bar bar new topic shuru na kare

aap ne iss topic per aaj phir aik new sawal post kia hai. aap ke os sawal ka jawab pehle hi iss post per dia ja chuka hai, lekin aap phir se new sawal bana kar post ker rahe hai. aap ka new sawal delete ker dia gia hai. ab aap ko jo kuch bhi poochna hai yaha pooche.
ysg7362 Group: Members  Joined: 21st May, 2008  Topic: 4  Post: 18  Age:  25  
Posted on:3rd Jun 2008, 5:15am
 

ok pehli post

   Asalam To all!

aaj se 12 saal purani baat hai main us waqt bhi chota tha. aur ab bhi meri height 3 feet 4 inch hai. usi k ilaaj k silsaley main doctors ne bataya tha k mujey bone tb hai.
test ka muje pata nahi howa tha k nahi yaad nahi hai.

ab mene agar test karwana ho to kesey hoga.

or lungs se transfer nahi howa.

meri umar 3 june ko 20 saal ho gai 21 shurao ho ga (Happy birth dy to me)

aur aap andaza laga lain k 3 feet 4 inch k Bachey ki kitni tankha hoti hai.
umar bhi 20 saal ho.  (joke)



or kaki baat nahi nahi  kali zuban bhai me ne pehley jo sawal kiya tha us post ko to main ne dekha bhi nahi buhat find kiya magar mili nahi. phir 1 week baad ye wali post ki. ab pata nahi kis ka fault tha (thanks)
My Reply Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 2  Post: 2047  Age:  45  
Posted on:3rd Jun 2008, 7:00am
 

re: bone tb

aap ka qad waqai kam hai. qad mai izafa ke liye kisi Endocrinologist se consult kare. agar aap ko abhi bhi bone tb ka shak hai tu kisi achche se physician se apna medical check up karai. khood se kisi qisim ka test karane ki zaroorat nahi.

re: "ab pata nahi kis ka fault tha (thanks)"

fault aap ka hai. aap ko apni post talash kerne hai tu aap apna profile dekhe. apna profile dekhne ka tareeqa yeh hai keh login hone ke baad Home Page ke top per dekhe, waha aap ko likha nazar aaye ga My Profile. aap ose Click kare aap ko aap ki tamam post aur reply mil jaaye ga. aap apna purana sawal dekhne ki bajay Bone Tb per aik hi sawal kai baar kerte jaa rahe hai.



1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012