Aadat |
Group: Members Joined: 18th Dec, 2007 Topic: 3 Post: 4 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Feb 2008, 2:35am |
|
|
Married Life: What Should I Do?
Dear friends I hope all of you will be fine. Mere saath ek problem tha jo mene ap logo se discuss kya tha or ap logo ke replies or samjhany se me bhot had tak relax or mutmaiyn hogya tha. Magar aj mein jis condition mei hun jis ki waja se jeena nahi chahta. Kuch din pehlay mujhy maloom hogya ke wife ka shadi se pehly bhi illegal affair tha or shadi ke bad abi tak hay. mein ne bhot si batein dekhin jo mei discuss nhi karna chahta or aj mujy confirm hogya to jab wife se pocha to wo pehly to larny lagi phir aakhir mei jab mene sari baat tafseel se kahi to woh hansny lagi or kaha ke aakhir tumhe maloom ho hi gya, or kaha ke mei to aesi hi hun rehna hay to raho warna chaho to mujhy chor sakty ho,... Mei yeh batata chalo ke meri wife age mein mujhse 2 years bari hay or arrange marriage hay. mein apny ghar walo ko kya kahun.. Yaar kya insaan sirf isi mein khush hota hay.. Aag, mariam or dosry members.... ap logo ki baton se mere dil ko tassalli mili thi or mein apnay apko Laanat deny laga tha ke mene shak kya, magar mei ab kya karun, ap ne hi kaha tha na ke shak nahi karo trust karo... ab batao me kya karo, kahan jao, yaar mein ne bhot bury din dekhein hein, bachpan se ab tak bhot mehnat ki, apni 10 members ki family ko support kya, metric ke bad hi job ke, offices mein jhaaro, dusting ki bhot mehnat ki or mushkil haalat mei reh kar bhi studies continue ki, subha ghar se nikalta tha or raat ko 11, 12 bajy phonchta, or Allah ne mujhy Nawaza bhi or aaj mein Wateen mein Operation Officer hun. Mei yeh kehna chahta hun ke young age mei boys tafreeh life enjoy karty hein mgr mein ne nahi ki. sab friends mera mazak uraty thy ke yaar tumari koi G.F nai hay magar mein yehi kehta tha ke yaar mere paas in sab baton ke lye time hi nahi hay. meri life ka maqsad sirf or sirf apni family thi, mei sab se bara hun or sab behan bhaiyo ko kisi baat ki pareshani ni hony di... Jis age mein mujh per zimedariyo ka bojh para usme to log enjoy karty hein life ko magr mene nahin kya or mujhy is ka dukh b nahin hay q k kam az kam mein ne apni family ko stable to karlya. Magar aj mein khus unstable hogya hun.. life se thak sa gya hun.... Dosro per kya trust karo mujhy to khud per bi trust nahi raha ab... aap sab logo ne mujhy comments dye thay na kisi ne achy words mein to kisi ne hard words mein.... ab ap log batein.... boleinnnnn TRUST naam ki koi cheez hay ya sirf insaan illegal affairs ka bhoka hota hay... chahy woh mard hun ya aurat......
|
Aag |
Group: Moderators Joined: 21st Nov, 2007 Topic: 22 Post: 1130 Age:
34
|
|
Posted on:23rd Feb 2008, 1:38pm |
|
|
Aadat Yah sab sunkai bohot dukh howa. Aur bohot hi afsos howa kai apkai sath aisa sab howa hai. Magar aik bat yad rakhain kai ALLAH apnai piyarai bando ka emtihan laita hai aur jo shaks usmai kamiyab hojata hai woh sari zindagi successfull rahta hai. Bhai yah mushkil waqt hai ALLAH ki ebadat karo,ALLAH sai hi kaho, ALLAH sai hi mango. ALLAH har insan ko uski himmat kai mutabiq mushkilat dalta hai.
Meri dua hai kai apko ALLAH tamam musebaton sai nikalai aur sahi rah dekhai. Ameen. Bas filhal to mai etna hi kahonga.. |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:23rd Feb 2008, 10:26pm |
|
|
re aadat yar aap ki batien parh kar main b kuch unstable feel kar raha hoon. filhal to muje koi b lafz nahi mil raha aap ka problem solve karne k lie. es waqt to main sirf dua kar sakta hoon. k aap ko aur aap ki family ko ALLAH apne hifzo aman main rakhe.
mere khial se to aap kisi aise molvi se mashwara karien jo aap aur aap ki family ko personally nahi janta ho. |
amir noor |
Group: Members Joined: 21st Jul, 2007 Topic: 8 Post: 17 Age:
33
|
|
Posted on:24th Feb 2008, 7:57am |
|
|
yaqeen rakhahein dear brother app ka masla sun k bohat dukh hoa hay, lakin mera app ko mashora hay k app apna masla kisi relegious person say maloom karain, agar app ki bivi aaitiraf kar chuki hay k woh ghalat kamoon may involve hay aur us ko nahi chor sakti to meray bahi app ki izat issi may hay k app us say jitni jaldi chuthkara pa saktay hoon pa lain kuon k aanay walay din majooda dino say ziada khatarnak hoon gay, us waqat app soratay haal ko nahi handle kar sakain gay, lakin yah kaam apnay uper itamaad rakh k karain kuon k app koi ghalat kaam nahi karnay j rahay is baat ki ijazat islam bhi dayta hay.
allah app ka hami o nasir ho. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:24th Feb 2008, 9:55am |
|
|
Dear Aadat Brother App Ki Story Waki Main Buhut Ghambeer Kisim Ki Hain ,Jisay Sun Kar Har Kisi Ko Afsoos Hoga..................Allah Talah Nay App Ko Un Tamaam Silahiyaatoon Say Nawaza Hai Jo Ek Muslim Main Honi Chahiyai.........Shayad Yehi Wajah Hai K App Par Mushkilaat Zyada Hain .............
Magar Mayoos Mat Hoye , Is say Maamla Suljhey Ga Nahi Balkay Uljhay Ga...........Meray Khayaal Ye Hai K Ab Yehi Tareeka Baki Reh Jata Hai Aur Wo Hai Maaf Karne Ka .........Main Jaanta Hon Ye Khena Asaan Hai Magar Karna Mushkil ,Magar Mujhe Lagta Hai K App Ye Kaam Bhi Karlain Gay...........Is Liyain App Akhiri Baar Apni Wife Ko Ek Moka Dejiyai Aur Ussay Ye Ghalat Rasta Chornay Par Majboor Kijiyai .......Agar Wo Tab Bhi Na manay Tou App Foran UNko Chour Dijiyai
Kyunkay Ye Baat App Ko Pata Hai K jahan Buraye Horahi Ho Wahan Us Ko Rokna Hamara Farz Banta Hai ...........Aur Agar Wo Buraye Na Ruk Paye Tou Usay Us Kay Haal Par Chour Dena Chahiyai ............App Bhi Yehi Kijiyai ,Agar App Ki Wife Na Manay Tou App Foran Unsay Aledgi Ikhtiyaar Karliyai ...........Yehi Is Ka Dosra Hal Hai..............Baaki Allah Behtar Jaantay Hain..Unsay Dua Kijiyai...........
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:26th Feb 2008, 2:08am |
|
|
Aadat very very sad to know abt ur whole story....its very bad...yar zamana bara kharab ho gaya hai...ajkal girls aur boys k kamon mein koi ferk nai raha...aur illegal relations kaiym kerney mein dono hi agey hain...
but yar hum ker bhi kia sktey hai..siwaye Allah se dua kerney k....merey khyal mein to ap bus Allah se dua keryen , namaz perha keryen, Quran perheyn aur kisi achey aalim ya molvi se ye sub bat discuss keryen aur un se pucheyn k ab ap ko kia kerna chahiye...
Main bi ap k liye dua kerun ga...InshaAllah sub thik ho jaye ga |
nadeem AOL |
Group: Members Joined: 26th Nov, 2007 Topic: 8 Post: 265 Age:
30
|
|
Posted on:26th Feb 2008, 12:56pm |
|
|
Aadat !! It's so sad to know about your story but i believe that you have much courage to face this nightmare too. Don't blame or feel bad about yourself. Keep going good deeds and just ignore if you don't have good response in return. Bad response should not make you bad or make you stop doing good to others.
Good or Bad things will happen to you whether you take tension for them or not, so choose not to take tension. Just try to go through from this situation with courage as have been courageous in your past years. In your daily life make vird of "Dua-e-Istekhara" your routine, inshallah Allah will guide you to the right way to go. May Allah bless you bro.
Cheers.
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:26th Feb 2008, 1:29pm |
|
|
Adat Mujhe bhi bohat Dukh hua ye sab parh kar,allah talah apko sabbar de aur is setioation se nikale...
mai Hitman ki baton se total agree karti hun,ap apni wife ko apne pas bitha kar ek bar araam se bat karain( bat ladayi jhagde tak na pohanchne dain) ap unse ek bar araam se unki marzi puchain,unse kahain ke agar apke sath age sensire hokar chalna chahti hain, to ap unhe maaf kar sakte hain.aur iske lye unhe apne sare Rabte khatam karne honge..aur ap unhen sochne ka time bhi dain.
aur akhri Raah yehi hai ke ap unse alehdagi ikhteyar kar lain,aur is se pehle apni family ko etmad me lain.lekin pehle ap koshish karain apni wife ko maaf kar dain aur unhe bhi yaqeen dilayen ke apne unhe maaf kar diya hai,unhe ek aur moka aur dain,lekin age un par shaq na karain lekin unpe Nazar zaroor rakhain.
mujhe to is waqt yehi samajh me a raha hai,allah talah apko iske lye bohat bohat Hossla de,aur ap maaf kar dain khuda talah ko apki ye bat zaroor bohat pasand ayegi aur agar apki wife ne sudharna hua to wo bhi apke maf kar dene se bohat khush hongi allah talah apki wife ko bhi sambhalne ka moka de.
ap duaen bhi zaroor karain.insha allah koi na koi positiv hall nikal ayega. |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:27th Feb 2008, 8:56am |
|
|
Re: Aadat (Sad Story) Aapp ne life ma waqai buhat struggle kiya hai aur ALLAH app ko iss ka ajar zaroor dey (Ameen) ... Aur ALLAH unhe bandoon se imtihaan zayadah leta hai jissey woh zayadah pasand karta hai... App per bhi imtehaan ki gardhe hai ... App sabar se kaam laein. aur apne masley ko kisi Aalim ya Mufti k pass laey kar jaein...
Waisey tou paani sir se uper aachuka hai... aur agar app k ilawah 4 aur gawah hain jo iss baat ki gawahey dey saktey hain... aur app ki Wife sudharne ya compromise karne per tayyar nahi tou phhir Divorce hi solution hai ... lekin iss se pehley app apne ghar waloon or Aalim-e-Deen se mashwarah zaroor lein... Baqi ALLAH behtari karne wala hai.
May ALLAH bless you...! |
paree1 |
Group: Members Joined: 16th Feb, 2008 Topic: 3 Post: 58 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 8:26am |
|
|
ohhhhhhhh bhai yeh bohat afsos ki bat ha app aisay karoo apni wife ko samjaoo balhkay dahkay aus nay itni didadaleeri say app kay moun per kah diya meray khayal who samjnay ki had say ghuzar chki ha app apni family mei batien karien aun kay parents say batien mei hiran hoon koi larhki ais had tak ja sahkti haaa kissi ka dar naheen jub who kissi buzrug ko himmayat na daien Allah kay nazdhik talaq napassinda ha Lahkin ais soart mei jaiz hai app apni life tabha na karien okzzz ALLAH per bhorsha rahkien sub theek ho gaa waisay bhi ALLAH nay mard ko majazi kaudha ka rutbha diya app apna dil barha rahkien app ki nieat achi hai zarorr ais ka sila milya gaa |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 10:30am |
|
|
Aadat - Married Life..... In general, koi bi orat beghairti karay aur phir deeda daleri say kahay k mainay to aisay hi karna hai, to phir aisi awara aur ghatia aurat ko divorce hi dey dena behtar hai... kyonkay sath rahay gi to awargi say to baz nai aye gi aur uski awargi dekh kar mard ka dil hi jalay ga aur gunah bi hoga,, aur ye bi ho sakta hai k wo orat ki aisi harkat dekh kar usay marnay lag jaey...
merey khayal say aisi corrupt bv ko divorce day kar dosri shadi kar lo...
agar divorce nai dena chahtay to phir us say baat karo, husband ban kar nahi balkay aik dost ban kar us say puchho k akhir waja kia hai k shadi k baad bi wo tum mai interested nahi hai aur puranay lover ya lovers say relation hain uskay ??? usay kaho k agar mai tumhe pasand nahi tha to shadi hi na karti,, kyon shadi kar k tumhe zehni aziat di usnay ?? aur usny kyon tume dhoka dia?
agar wo na manay aur rastay par na aye to phir apni mother ko bata dena..
waisay kia tum ab tak apni bv ko samajh nai sakay ?? ya tum uski wo khuahishaat puri nai kar sakay jo uskay dil mai hain ??
aisi bv jo shadi k bad bi kisi aur k baray mai sochay,, uski yehi waja ho sakti hai k uska husband uskay sath sex to karta hai lekin romance nai karta,, jabkay lover romance karta hai,,,,,,, is liye romance karo, mohabbat karo, achi achi batain karo apni bv say, bv ka khayal rakho, care karo,, jisay dekh kar aur jinhain sun kar usay tumsay mohabbat ho jaey... |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:3rd Mar 2008, 2:11am |
|
|
Aadat bohat wise reply hai josh ka....
i think u must act on his advices
what do u think aadat?? |
|