kahte hai keh upper class aur lower class ke etne proble nahi hai jetna ke middle class ke logo ko ho. mera tamam membran se sawal hai keh:
1) Middle class se kia murad hai?
2) Middle class ke log generally kaha rahte hai, on ke makan ketne square yeard par hote hai. kia woh rent par rahte hai ya apne makan mai rahte hai? ghareebo ki basti mai jo taleem yafta boys and girls (graduates, masters, doctors, engineers etc) rahte hai onhai aap middle class kahe ge ya lower class?
3) Middle class ke logo ki taleem kia hoti hai? kia middle class ke logo ka taleem yafta hona zaroori hai? jo log taleemyafta nahi hote lekin mali mushkilat ka bhi shikar nahi hai, onhai aap middle class kahe ge ya lower class.
4) Middle class ki larkio ki shaadi mai jo problem hai woh lower class ki family mai kio nahi hai. kio keh generally dekha gia hai keh lower class mai 20 years se qabal hi larki ki shaadi ho jaati hai. jabkeh middle class ki lakho larkia shaadi ke beghair hi boorhi ho gai. is ki kia wajah hai?
"kahte hai keh upper class aur lower class ke etne problem nahi hai jetna ke middle class ke logo ko" ........sir jee bilkul sahi kehtay hain........
1- na bohat ameer na bohat ghareeb lekin thori behtar life guzartay hain or computer bike fridge tv waghaira ye sab hota hai unkay pas or kuch k pas car bi hoti hai....
2- rent par bi or apnay ghar mai bi or chhotay ghar mai bi or baray ghar mai bi paye ja saktay hain or educated bi ho saktay hain or uneducated bhi or highly qualified bi ho saktay hain...
3- sir i am not sure about the taleem of middle class lekin thora bohat parhay likhay hotay hain,, or jo log thori bohat maali mushkilat mai hotay hain wohi middle class hain jaisay k mai, job k liye ghar chhor k baitha hon, (Allah ka shukar hai i am happy), ameer log wo hain jinki apni factories chal rahi hain,, 1 ki bajaey bohat say hajj or umrah kar k haji sahib/sahiba ban chukay hain,, shadion par car as a gift day detay hain, bachay paida honay ka time ata hai to uk usa chalay jatay hain ta k bachay ko paida hotay hi nationality miil jaey phir pakistan or western world ko aksar compare kartay hain or koshish kartay hain k pakistan or pakistani ko ghatia mulk or ghatia log show kia jaey or life bharpoor andaz say enjoy kartay hain or ghareeb or middle class logo ka mazaak uratay hain sometime unko cheap bi kehtay hain or selfish hotay hain or hadh say ziada proud hotay hain or tax chori kartay hain or govt. say lakho croro rupay loan laitay hain or bohat expensive jewlery pehantay hain, or ikhlaki aitbaar say intehaee buray batameez hotay hain or apni ghalti tasleem nai kartay , is kisam k log ameer kehlatay hain.... (agar mera jawab darust na ho to bataiye ga mai phir say attempt karonga)..
4- han jee sir jee lower class walon ko pata hai ham lower class hain or unkay milnay walay bi waisay hi hotay hain ziada tar, to wo chup kar k thoray bohat paisay laga kar jaldi shadi kar daitay hain jabkay middle class walon nay kafi kuch sochna hota hai unky kuch relatives bohat rich bi hotay hain or kuch unkay jaisay hi...
muje lag raha hai mai kisi school mai baitha sabak suna raha hon hahahaaaaaaaaa. bewakoof tum shararti hotay ja rahay ho..
ye mainay sabak sunaya hai agar kisi ko pasand na aye to wo apna tayyar karda sabak suna day ......... shukria ...........
eh teenon classes aap ko her basti , her shahar , her mohally main mill jain gee.
Aap in ko kaisay phechanain gay ? In key wordly possessions say aur in kah behavior say. In teenon keu alag alag pehchan karnay kay leeyah aap ko teenon kay sath interact karnay ka moqa milay to aap khud hi pehchan lain gay.
Lower Clas new Cycle laynay ki khushi mai laddu bant-ta hua milay ga. Middle Class: chota sa gold set ya naya ghar ya car lenay ki khushi mai davat uraeingay. Upper Class: ye log new diamond jewlery or new model car lay kar khush ho jaingay or wo pehan kar ya us mai baith kar kisi party mai jaingay.
ye sab dunyavi classain hain asal mai Allah ki nazar mai koi class system nahi hai or wohi Allah k ziada kareeb hai or Allah usay pasand karta hai jo Allah ki ebadat karta hai namaz quran parhta hai roza rakhta hai zakat deta hai or Allah k bataye huey sahi rastay par chalnay ki koshish karta hai or gunah ho janay par Allah say mafi mangta hai or phir say koshish mai lag jata hai k ab ghalti nai karni phir say ghalti karta hai or phir say Allah say mafi mangta hai , Allah aisay tamam logo ko pasand karta hai jo us say dartay hain or koshish kartay hain acha insan ban-nay ki or sahi rastay par chalnay ki... Allah ham sab ko sahi rastay par chalnay ki taufeek ata farmaey. Aameen.
da way u described high klass ppl iz totally rong,,,u shudnt have said dat dey are batmeez n etc,, ,der r blackships in every klass,,,,tum ko koi haq nahi ke tum ameer logon ko batmeez or bure bolo,,,, it seems like u r jealous or somethin ,,,,and yaa dey dunt kall u cheap da way u act makez u cheap,,,,,jaise abi tum ne bola wo batmeez hain to yeh baat tumko cheap banati hai ,,,,,and den u said dey dunt accept der mistake ,,dey do wen dey make mistake,,,,hope u get ma point,,,,
insaan ki koi class nahi hoti .ager insan in class k chaker main per jaye to zindgi guzaarni mushkil ho jaati hai .
aap yeh samjhoo Allah jis ko jtna nwanata haye utna nwazt a hai .kissi ko ziaada or kissi ko kum .jab Allah ney insan main rang nasal , zaat paat ki tafreeq nahi rakhi to hum kon hain aisa kerny waaly .
kissi bazurg ney kaha hai ....khushnaseeb insaan woh hai jo apny naseeb sy kush hai ...
aap sub log kin chakroon main per gaye ho .Allah ka shuker ada kero.
middle class say mutlab Mutawussut Tubqaa , jo na Ghureeb na ameer , Pakistan meah uksuriyaat Middle class ki he hay, lakin pakistani hukumrano nay es tubky ko bhe rolaa kay rukh deya hay , ku kay pakistan meah ek esaa nizaam chul rha hay jis meah ameer ameer say ameer tur ho rhaa hay or ghureeb ghureeb say ghureeb tur so middle class abi Third class bun kay reh ghiyaa hay, chay oska apna ghur ya rent pay, oska bata bati eng ya doc, oska ghur chota ya bura lakin onkay musaayl yuksaa hoty hen lakin jiska family back ground best hay wo koch bhe ho wo hero he rehta hay,
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.