sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:6th May 2008, 6:15pm |
|
|
to My replay
My replay... mere father ko last 3 weeks ago seene me Dard thi,jiski wajah se unhe saans lene me takleef ho rahi thi.,medicin lene se farak pada,lekin mukamal chek up ke lye unhe Hospital me addmid kiya gaya...kyunke drs ka khayal tha ke lungs me pani bhar gaya hai,chek up ke bad,drs ne dekha ke passliyon me pabi bhara hai lungs me nahi,is tarah 1 liter water pasliyon se nikala gaya,lekin sath bled tha is wajah se unhe mazeed chek up ke lye hospital rakha,..phir pehle dr ka kehna tha ke unhe lungs pe do nishan nazar aye hain..jo ke koi aisi khas problem nahi hai....lekin 2 days bad unko koi aur cheez nahi mili to unhon ne kaha ke mere papa ko lungs ka canser hai... is it possible?ya phir dr sirf andaza laga rahe hain??kyunke agar tumor hota to unhe pehle nazar ajana chahye tha aur wo ise Nishan na samajhte.?? aur lungs canser ki kya Nishaniyan hain??kin baton se pehchana ja sakta hai?? is me Cigarett ka kitna effect hai?? mere papa sari umar smoking karte aye hain...
|
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:6th May 2008, 7:16pm |
|
|
sunehri wese to aap ne doctor se pocha hai lekin main thoda sa aap ko bata don ke lungs canser ager mou mein khansi k sath blood aye to lungs canser ho sakta hai.
aur cigarett ka bhut effect hai kyun ke jab hum saans lete hain to oxygen humhare ander lungs mein jati hai wahan esi aak jaga hoti hai jahan se oxgen humhare blood ko melti hai sigrat peene se woh jaga khatam ho jati hai aur saans lene mein dushwari hoti hai jis se dhamha etc bimariya bhi lag jati hain
baki aap ko my reply bataye ge. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:7th May 2008, 2:54am |
|
|
veer unhe na khansi ati hai,na hi khansi me bled...kabhi dr ka kehna tha tubacolose hai,kabhi kuch..aur ab canser....aur cigarett ka bohat nuksan hota hai,but jo smoking karta hai wo kabhi bhi nahi manta...! |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:7th May 2008, 2:59am |
|
|
recover health of ur father sunehri jee Allah app kay abu koo receover keray.And May Allah live a long life.
Thanks |
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:7th May 2008, 3:11am |
|
|
sunehri to aap esa karo k kisi aur jaga se ilaj karwa ke dekho kisi aur hospital se..umeed hai woh theek ho jaye ge lekin sab se zaroori yeh hai ke woh smooking ko choor de.choorna on k liye mushkil ho ga.ager nehin choor rahe to os ka ilaaj bhi karwaya jaye ke yeh smooking ko trak kar de khud he.Allah aap k father ko sehat aur lambi umer de Ameen.
han yeh baat to sehi hai jo smooking karta hai woh kabhi nehin maanta k es k nuksan hain.lekin medicaly es k bhut nuksan hain |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:7th May 2008, 3:22am |
|
|
Sunehri Allah aap ke abbu ko sehet ataa farmaye , un ko is halit main smoking nagi karni chahye. |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:7th May 2008, 4:12am |
|
|
sunehri Allah app kay abu koo receover keray aur lambi umer de Ameen
aur han im agreed with veer....ap ko second opinion k liye kisi aur Dr se checkup kerwana chahiye....is tarhan confirm bi ho jaye ga k Dr jo keh raha hai wo sahi hai ya kuch aur hai.....ap kisi aur Dr se checkup kerwayen aur tests kerwayen....Allah kerey unhen koi bi khatarnaak bemari na ho aur wo jaldi se thik ho jayen aameennnn |
saima arif |
Group: Members Joined: 26th Mar, 2008 Topic: 10 Post: 401 Age:
35
|
|
Posted on:7th May 2008, 4:37am |
|
|
sunehri app key father ko ALLAH bilkul theak kar dey ameen |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:7th May 2008, 4:56am |
|
|
sunehri Allah talah appkay father ko apni hif o amaan main rakhay aur unhain sehat o tandurusti ata farmaye......ameen
|
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:7th May 2008, 6:17am |
|
|
its MY Reply muhtarma,
go keh khaksaar my reply nahi hai, magar mundarja zail reply mine hai.
all the sign are speaking for cancer. BUT cancer diagnosis is almostly based on histological diagnosis. i am sure, that the doctors in germany dont speak of cancer if they have not made a histological preparation. the sentence "lekin 2 days bad unko koi aur cheez nahi mili to unhon ne kaha ke mere papa ko lungs ka canser hai" is in my opinion not fact based.
this lungs ka pani is in my opinion already laboratory testet. so it might be that they found there some cancer cells. although i cannot speak for german doctors, but the procedure is right. but i am sorry for the diognosis. its a hard diagnosis. some lung cancers are good to deal with, some are not. so please let us know which type of cancer it was. it must be written in the report. |
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2047 Age:
45
|
|
Posted on:7th May 2008, 7:22am |
|
|
re: lung cancer agar doctor ne kaha hai keh lung cancer hai tu phir sahi kaha hoga. kio keh lung cancer kehne se pehle doctor achchi tarah confirm ker lete hai. confirm kerne ke liye lab test kia jaata ho jo keh lungs ke pani aur balgham mai cancer cell ki mojoodgi batata hai. mujhe moqa mila tu mai lung cancer per detail se likhoo ga. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:7th May 2008, 8:10am |
|
|
thanks Thanks to all....ap sab ki Duaon ka shukariya aur hossla dene ka bhi...
My replay & doctor jee..yes you both are right,,..aj meri choti sis ne dr se bat ki hai,aur drs ka kehna hai,this is last stage...and opperation ka koi faida nahi. only chemotherapy ki jayegi...... |
|