Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Kamzor Zehan

General Health   >>  General Health Problems
 
 
 
fakhirkhan Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 4  Post: 14  Age:  31  
Posted on:28th Jun 2008, 3:45am
 

Kamzor Zehan

Dear Friends AOA

I hope ke aap sab kheriyat se hein. Mera ek problem hay jo mein apse discuss karna chahta hun or advice chahta hun, hope ke ap sab zaror bataein gay.

Problem yeh hay ke mera zehan bhot kamzor hogya hay. Aksar bhot si batein yaad nahin rehtin bhool jata hun. mere sath bht si problems hein jiska mein har waqt sochta hun, specially apni family ke haalat or apna future ke bary mein. Office mein aksar esa hota hay ke bht se kaam bhol jata hun, studies ke lye apply karta hun to aptitute test mein fail hojata hun. Shayd mujhy esa lagta hay ke mein life mein kuch nahin kar sakta or is wajha se har waqt pareshan rehta hun. Mein apnu aap ko ek haara hua insaan samjhta hun.

Mein pehly bht intelligent tha,Studies mein positions laata tha, magar jab se hamari family ke haalat kharab hoi hay last 4 years se, mein zehni or jismani tor pe bht weak hogya hun. Aap log batayn ke mein life mein kuch karsakta hun?? mein kya karun....... mein har waqt depresion mein rehta hun... Achi Job bhi nahn nil rahi ke kuch haalat achay hun...

Kindly guide me and give suggestion.

Thanks & Regards

Note: Dont post same question again and again.




saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:28th Jun 2008, 4:03am
 

hummmm

sab sey pahley app ki sab sey bari galti yea hey key app appney app ko kamzor or hara howa insan samjhtey haien.agar app appney barey maien yeah batien sochien gey to app kuch bhi nahi kar saktey.app ney likha hey key app ki family key halat jab sey khrab howey haien app ki yea halat tab sey hey to Mr family ki halat to khrab hey hi app ney us halat ko acha bananey key liya kiya kiya?App ney to bajiee halat ko acha banaey key khood hi kamzor par gaiee.Insan key pass jo sab sey bari cheez hey wo Allah ney ussey aqal di hey us ko plz istemal karein har maney key bajiee appni family key halat ko theak karney ki koshis karein chaey uss key liya app ko kitni hi mahnat ku na karni parey or mahnat ka phal Allah zaror deta hey app maien cofdence hona cheay appney app ko storn karien or halat par roney key bajiee halat ko muqabla kaien app ko kamyabi zaror miley gi.Or sab sey barh kar namaz parhien Allah sey dua karien App key halat zaror badal jaien gey.
SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  29  
Posted on:28th Jun 2008, 4:28am
 

Fakhir khan sahab

Sab sa pahla ma janab ko mashwara donga ka ap tanhae ma nahe baita kara ap zeyada tanhae ma baita hai is ko tark kara zeyada logoo ma baita kara aur ap zeyada bata apna dil he ma rakhta hai kese sa share nahe karta apna kese kharebe dost sa share kara aur mashwara manga ap apna dil ka haal kese ko nahe sonata hai isleya ap ka zahan ma wahe hota hai isleya ap bohat zeyada sonch ta hai sab sa pahla ap sonch na chodegeya hamare har cheez ka daromadar hamra demakh sa hai zeyada sonchna sa bhe insan bohat bemar hota hai apna bataya ka ap phala bohat zaheen tha iska matlab ya hai ka ap zaheen hai pahla ap har parhae dillagarkar parhta tha ab ap ka zahan montasher hai isleya ap dillagarkar nahe parhraha hai isleya ap nakam horahai koe bhe kam ko dillagakar aur jostajo sa karna sa woh yaad bhe hota hai aur osma kameyab bhe hota hai ham aksar hama jo yaad na rahna ke bemare jo hai woh hai ham osko dillagarkar nahe karta keyo ka hamara zahan ma jo khayalat hota hai os ke wajah sa hamara zahan koch aur sonchraha hota hai aur ham koch aur kar raha hota hai agar ham hamara zahan ko jo kam ham kar raha hai ose ma mael kar ka karanga to hama yaad bhe rahaga aur hamara dil bhe laga ga os kam ma.
Janab har ghar ma koe na koe porablam hai koe ghar ap ko aysa nahe melaga jis ma koe porablam na hoo isleya is par zeyada sonch na ke zarorat nahe hai har cheez ma Allah ke maslahat hote hai aur har kam apna waqt par hota hai ham ojlat karta hai insan ka andar jalde hai har kam ka waqt hai Allah na waqt moqarrar kardeya hai woh ose waqt par hota hai ham ya samjhta hai ka ham nakam ho raha hai baat ya nahe hai woh apna waqt par he hota hai insan ka nadar ojlat hai iswajah sa ham aysa sonchta hai.
Janab ko is nacheez ka mashwara hai ka ap Namazo ke pabande kareya Allah sa mangeya har cheez ko hal karna wala Allah hai aur Quran ke telawat kareya is sa Dil-o-Demag ho sokon melta hai aur daily SALAT-UL-HAJAT Namaz parheya 2 Rakat INSHAALLAH ap ke tamam mushkel dor hoge Allah sa dowa hai ka Allah ap ke aur ham sab ke tamam parashaneyo ko door kara Ameen.

ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 25  Post: 1368  Age:   
Posted on:28th Jun 2008, 5:14am
 

re : fakhirkhan

agreed with SOFI ji.
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012