re...vaginal itching in pregnancy..... Vaginal infection during pregnancy….
Main causes ye han
1) bohat se females ko ye sirf iss waja se hoti ha k pregnancy mai hormone level zada ho jatey han aur vagina ke PH bhe change hoti ha ..ye normal he
2) diabetes in pregnancy jis ko gestational diabetes kehtey han….yani sugar level blood mai increase hona bhe itching karta he
3) infections….pregnancy mai zada chance hota he kunke vagina ke PH acidic se basic hoti ha yani barhte ha….zada chances fungal(yeast infection) ke hotey ha pregnancy mai…bacterial bhe ho sakti ha……….agar discharge bohat zada ho ya badbodar ho tu chance infection ka he…..kai dafa sirf gara sa saif rang ka discharge ata he…aur kabhe nai bhe ata
4) obesity…ya tu wazan requirement se bohat zada barha leya ya phley he overweight thein tu itch zada hoti ha
ab karna ye ha
1) safai yani cleanliness ka bohat khayal rakhein
2) dry rakhna he uss jaga ko
3) bath ke foran baad cotton ke cloth se dry karain
4) vagina ko hamesha backward saaf kartey han
5) agar undergarment pheney tu cotton ke loose aur raat ko sotey waqat na pehney balke aisey kaprey honk e air circulation uss jaga ho jaise night gown etc…
6) blood mai sugar check karwain
7) agar doctor ne infection bataya he tu aise tablet han especially yeast infection ko treat karney ke jo lai saktey han pregnancy mai,2nd doc ke opinioin lai lain…
8) perfumed soaps nahe use karna
9) oil ya Vaseline hargiz nahe use karne uss jaga
10) agar ye sirf pregnancy induced ho tu bohat se doctor pani mai baking soda mila kar uss jaga laga kar saaf karney ko kahtei han…
11)most important scratching nahe karni....iss se sirf infection barhti ha...
baby movement 16th week – 20th week mai feel hoti ha…kuch females kam sensitive hoti han dair se feel hota he...ultrasound karwa lain agar pareschani ha... |