Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 2:55am |
|
|
Vaginal Enlargement After Delivery: Whether Delivery At Hospital Is Better To Avoid It?
Salam, I want to ask some questions to Waterr Sis, Sis mai ne suna hai k agar birth Vaginal ho aur delivery ghar mein ho tu us k baad vaginal size bohat bara ho jata hai,,phir intercourse ka wo maza pehley wala ni rehta.. lakin agar birth vaginal ho aur hospital mein ho tu Doctor delivery k baad Vagina so stich kr deti hai jis se size phir se theek ho jata hai,,,,Is it right??? 2ndly tell me that wht is the why to maintain the size after vaginal birth, I shall be thankful to you. Jaffar I have come to know that if birth is done as vaginal and
delivery at home, then after that the vaginal size increases too much and the
pleasure is lost from the intercourse. However; if the birth is vaginal and
delivery is done at hospital, then the doctor after delivery apply stitches on
the vagina and the size would then remains normal. Is that right? Secondly tell
me what is the way to maintain the size after of vagina after birth?
|
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 3:16am |
|
|
reply.... daikhey i tell u one thing medically hum aisey define karkey han roughly k aik unmarried girl(islami tour par tu wo virgin he hoge...matlab musalman he tu sex nai keya hoga ) virgin girl ke vagina mai agar finger dalney ke koshish ke jaye tu LITTLE FINGER jo hoti ha wo bhe mushkil se jaye ge ...usko pain bhe bohat hoga iss leye virgin girlz mai vaginal examination medically bhe unallowed he except under severe conditions...
now girl who had sex...or is sexually active usme little finger bohat asani se chali jati he n even index finger bhe some what..
after normal vaginal delivery medically we say k 2finger open ho jata he vagina matlab index finger n middle finger simultaneously can go in...
okey..now i tell u vagina is like a tube n has the potency to come back to near normal shape...
u can enjoy sex afterwards..ok
home delivery vs hospital delivery
1st delivery and in most of second time vaginal delivery vagina open nai hota.itna zada.....baby ka head jab neechey ata he tu bohat chance hota he k jahan se usko least resistence miley gei wahan se nikal aaye ga ok..ab kya hoga keh surroundings tissue to destroy karey ga deep cuts ayen gey hatake anus ke opening ko bhe effect kar sakta he....
hospital mai doctors 1st n 2nd delivery par baby ke head descend kartey he khud instruments se munasib depth ka cut dey daite han aik proper direction mai takey baby ko guzarney ka rasta miley aur surrounding tissues ko destroy na karey..ok
iss ko episotomy kehtey han medically ya aam log chota operation....
baad mein delivery ke issko sew kar daite han...
isske bohat faidey han...baby easily baher ata he usko zada zoor nai lagana parta...mother ka ye ha ke free lacerations ya injury nai atein...
baqe vagina ko rest wohe milta he jab tak delivery ke baad bleeding hoti he..tu sex nai kartey...
kabhe kabar mother ka emergency c-section karna parta he....tu hosp mai delivery ka ye faida he k mother ko bhe koi zada dair honey ke waja se nuqsan nai hota plus baby ko delivery late honey ke waja se oxygen supply decrease ka khatra nai hota...ok....plus baby ko koi emergency ho tu nursery bhe hoti ha...i recommend hosp deliveryy
weight reduction:
breast feeding is the best best thing ... it not only decreases the fat acquired during pregnancy also gives proper curves...how?? cuz ye uss fat ko jo tummy n hips par jama hota he use kar laita he...use of fresh fruits n vegetables....never drink water exact after meal...dont lie down immediately after eatng food... n vaginal delivery k within week mai start half hour slow walk...
dont eat excess fatty n oily things in pregnancy they dont give extra nutrition to baby...whats required n good for baby is fruit juices,iron,calcium,milk...etc...n normal meal...
hope i was helpfull |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 3:19am |
|
|
re: Vaginal Cut and Sex Enjoyment aksar auqat baby ke head ka size bara hota hai, aur woh asanai se bahir nahi aata, Hospital mai lady doctor vagina mai cut laga ker (Episiotomy) vaginal hole ko bara ker deti hai takeh baby ka head asani se nikal jaaye, baad mai os cut ko stich ker dia jaata hai.
stiching sirf cut ki ki jaati hai, matlab yeh keh agar baby ka head asani se aa jaye aur cut lagana na pare tu phir vagina per koi stich nahi lagani parti.
ghar per delivery ki soorat mai bhi agar vagina per cut laga ker stich kia jaa sakta hai, lekin ghar per delivery doctor ki bajaye midwife aur unqualified dai kerti hai, jo keh na tu proper cut laga sakti hai aur na hi stich.
lekin ghar par koi aisi delivery ho jis mai baby ka head vagina se aasani se guzar jaaye tu phir waha per bhi cut aur stich ki zaroorat nahi hoti.
waise delivery hospital mai karani chahiye, kio keh aksar baby delivery ke waqt ganda paani inhale ker leta hai, ji ke liye suction ki zaroorat hoti hai, isi tarah aksar baby late cry kerta hai, jis ki wajah se os ki saans der se start hoti hai, aise baby ke liye oxygen, resusscitation, aur medication ki zaroorat hoti hai jo keh hospital mai hi mumkin hai, ghar per nahi.
re: "phir intercourse ka wo maza pehley wala ni rehta.."
mubashrat ke maze ka taluq vaginal size se nahi hota, lehaza mubashrat ke maze mai koi farq nahi hota. |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 3:23am |
|
|
mr.bewaqoof u dont like my answrzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz????
i am not THAT bad really...start trusting me... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 3:41am |
|
|
re: episiotomy, waterr, trust mai ne aap ke answer ko read kiye beghair jawab likha, haqeeqat yeh hai keh ham dono aik saath jawab likh rahe the, pehle aap ne jawab submit kia (1:16pm) phir 3 minute ke baad mai ne apna jawab submit kia (1:19pm).
aap ka jawab proper hi hoga, zahir hai aap jo kuch likhe gi medical point of view se likhe gi, ghalat kaise ho sakta hai.
re: "i am not THAT bad really...start trusting me..."
mera kirdar yaha per aik police man jaisa hai, mai new member ko watch kerta hoo, ose guide kerta hoo, aur jab woh proper chalne lage tu os ko watch kerna chor deta hoo. aur ab jab keh aap bhi forum policy ke mutabiq proper andaz mai chal rahi hai, tu mai ne aap ko bhi watch kerna chor dia hai. aap ko watch kerna chor dia hai ka matlab yeh hai keh mai ne aap per trust ker lia hai.
aap ne jawab sahi likha hai, lekin jawab ka volume kuch aur kam kare, matlab yeh keh kuch ziadah hi tafseel likh dia hai. jawab mukhtasar to the point aur mukamal hona chahiye, matlab yeh keh mukhtasar ke chakkar mai aisa na ho keh jawab na-mukammal ho aur mukammal jawab ke chakkar mai bila zaroorat tafseel bhi sahi nahi hota.
aap ka mojooda jawab informative hai, lekin thora mukhtasar kare. |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 3:49am |
|
|
acha g kisse ne mujh se poucha ... especially mainey socha zara acha bata don....ab tu g apse darr he lagta he...u have ur mission accomplished...mubarak ho...
plz tell me which semen analysis criteria U follow....maine tu fertility clinic par WHO daikha he...wo 8ph par re semen analysis par bhej daitey han...tell,mai tu j practical he batati hon...Allah maaf karey kabhe kisse ko galat nai guide keya |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 4:14am |
|
|
re: forum policy re: "plz tell me which semen analysis criteria U follow...."
aap ki standard book, aur aap ke professor jo kuch batate hai wahi iss forum ka standard criteria hai.
yaha sirf aur sirf alopathic theory chalti hai, harbal/homeo/hakeem theory strictly allow nahi hai. aap pareshaan na ho aap ki theory yaha acceptable hai, balkeh aap hi jaisi members ki iss forum ko zaroorat hai. aap jaise kuch aur member iss forum per aa jaye tu iss forum per jo non-professional log jawabat dete hai onhai rokna aasan ho jaaye ga.
aap be fikir ho ker woh sab kuch bataye jo keh aap ne apni text book mai read ki hai aur aap ke professor, seniors aap ko batate hai. yah iss forum ki policy hai. agar aap ke seniors aur professor kehte hai keh semen PH 8.00 ka matlab infection hai tu phir infection hai iss per koi etraz nahi.
waise mukhtalif lab ki report same nahi hoti, aur aik hi lab se do baar test kari tu woh bhi same nahi hoti. lehaza sirf lab test per faisla nahi kia jaa sakta, zaroorat perne per mareez ko test repeat ka bhi mashwara dia jaata hai, aur clinical ground per bhi faisla mai tabdeeli hoti rahti hai. |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 4:27am |
|
|
ok ok..thanks |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 4:28am |
|
|
bewaqoof ap ki medical knowledge bhi masha Allah khooooob hai... kia ap nay issi forum say sab kuch seekha hai yaa.... coz ap ki profile to kuch aur batlaati hai. if u dont mind, kia ap ka talluq kabhi kissi tarah say medical field say bhi raha hai like as a nurse, pathologist or some thing else??? |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 4:55am |
|
|
re: computer and medical re: "ap ki medical knowledge bhi masha Allah khooooob hai... kia ap nay issi forum say sab kuch seekha hai yaa...."
mai noor clinic aur beshumar website ka barso se reader ho, aap deeply study kerte jaaye aap ki knowledge khood bakhood barhti jaaye gi, mai ne aap ke reply se bhi bahut kuch seekha hai (kafi informative hoti hai), lekin aqeeda ke etbar se mai bahut se baato se agree nahi kerta aur na hi kisi doosre ka aqeeda change ker sakta hoo.
waise meri khahish hai keh yaha per member computer per discussion kare, takeh mai os mai bhi khul kar hissa le sakoon.
religious topic per bhi mai theek thaak hissa le sakta hoo, lekin faida kuch nahi, kio keh religion aik aqeeda hai, aur koi bhi aik doosre se convince nahi ho ta, aur larai shuru ho jaati hai. religion ki tarah politics per bhi log aik doosre se agree nahi hote iss liye mai politcs per bhi discuss kerna nahi chahta.
computer aur medical feild aisi hai keh ham proper reference se aik doosre ko qail ker sakte hai. isi liye meri zaati khahish hai keh yaha per computer aur medical per discussion ho.
aaj kal mai google-earth per poori dunia ki sair kerta rehta hoo, aaj kal yahi mera favorit hoby hai. |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 5:19am |
|
|
re yeh baat to aap ki theek hai... lekin aap to jaante hain k es forum ko ziada tar muslims use karte hain, aur ziada log islamic context k saath reply k muntazir hote hian........ aur yeh to aap ko maloom hona chahie k jis sawal ka jawab science ne abhi tak nahi dia, us ka jawab Islami taalimaat main zaroor milta hai, es lie agar yahan par Islamic point of view se ziada se ziada discussion ho to shaied kisi ki spiritual soch behtar ho jaie........... main ne note kia hai k kaie disoppointed larkey larkian es forum se mustafaid ho gaie hain, aur es mian ziada hath accurate aur sencere knowledge, islamic taleemat k ru se tasalli bakhsh jawabat ka hai.
agar ham being a muslim islamic knowledge ko ziada se ziada phailaie, to yeh na reply karne waley ko balke forum owner k ile esaal-e-sawab ka ba'es ban jaiega, aur es k elawa laakhon aur karoron visiters ki spiritual soch ki satha bhi improve ho jaiegi.......
Bewaqoof bhai kia aisa karne main koi harj hai???? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 5:30am |
|
|
hmmmmm masha Allah...... goyaa ap computer oriented hain lol... apnay baray maiN jaan.kaari denay ka shokaryaa. computer waqe'ee maloomat ka khazeenah hai... mujhay to jab bhi koi issue /problem face hoti haiN to bus computer ka saharaa letaa houn... har qism k topic pay matloobah info /solution kuch hi dair maiN haath baandhay samanay kharay hotay haiN... yeh aladin k jinn say kam nahi... bus apko sawaal karnaa anaa chaahiyeh.
u r right k kissi ka aqeedah change karna khasa mushkil hai..... lekin iskay bawajood har mazhab k log tableegh kartay haiN aur har saal laakhouN nahi to hazarouN log apna mazhab change kartay haiN... non-muslim muslim bhi hotay haiN aur muslim non-muslim bhi... kia yeh haqeeqat nahi? yeh sab discussion hi k nateejah hai... har aik ko apnay apnay aqeedah /mazhab ki tableegh ka haq hai... within mazhab bhi... mukhtalif masalak par... doosray maslak ko bora bhala kahay beghair / onka naam liyeh beghair sirf aur sirf issues par bhi mokaalmah kia jasakta hai aur kia jataa hai... bus aadaabay bahas ka kheyaal rakhtay howay.... khair yeh aik alag topic hai.
thanx again. sada khush raho lekin agar aap muslim ho to jin issiue par aj.maa.e.ummat hai aur jo quran o sunnat mai tay shudah hai, Allah ap ko aisee batoun ki tardeed /against maiN jaanay say bachaa.ay.. yeh hamari dua hai. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6620 Age:
54
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 5:32am |
|
|
jazak Allah sunny maiN to ap k point of view say 1000% muttafiq houn :)))) albattah bewaqoof ka pata nahi )))): |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 6:33am |
|
|
ok..v.gud to all 3 of u jin ka questn tha original thread par wo tu ans daikh kar behosh ho jain ge... i dnt knw who r moderators..bt it seems that havnt yet notcd that we diverted the topic...so lets talk somewhere else.. :)) |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 7:36am |
|
|
szagham hopefully the reply helped u.!.. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 4:35pm |
|
|
kamzor iman wale apna mazhab tabdeel kerte hai re "lekin iskay bawajood har mazhab k log tableegh kartay haiN aur har saal laakhouN nahi to hazarouN log apna mazhab change kartay haiN... non-muslim muslim bhi hotay haiN aur muslim non-muslim bhi... kia yeh haqeeqat nahi?"
ji ha kamzor aqeeda wale log doosro ki tableegh se apna mazhab tabdeel ker lete hai, lekin jin ka aqeeda mazboot hota hai on per kisi bhi qisim ki tableegh asar nahi kerti. aqeeda ka taluq taleem se nahi hota, kai taleem yafta logo ne apna mazhab sirf iss liye tabdeel kia keh on ka apne original mazhab per aqeeda kamzor tha, isi tarah mazbooth aqeeda wale kabhi bhi apna mazhab nahi tabdeel kerte chahe woh unparh aur jaahil hi kio na ho.
mera zaati aqeeda (Muslim by born: yani ham musalman sirf aur sirf iss liye hai keh ham musalman ghar mai paida huye, agar aaj ham hindu ya eesai ghar mai paida hote tu iss waqt hindu ya eesayee hote) pakka aqeeda hai, yeh kisi bhi tableegh se change nahi ho sakta, chahe mai ksi muqam per la-jawab hi kio na ho jaao. aur jab mai la-jawab hone ke bawajood bhi apna aqeeda tabdeel kerne wala nahi hoo, tu iss ka matlab yeh hua keh koi bhi mazhab wale tableegh ke zaria mera mazhab (Islam) tabdeel nahi ker sakte.
Note: mera khayal hai keh ham log asal topic se hat ker guftagoo ker rahe hai, iss tarah asal topic divert ho jaaye ga. |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:17th Aug 2009, 2:25am |
|
|
thnx waterr sis and Bewaqoof Bhai Dears Salam,
I am really thankful to both of U,Especially to Waterr sis who told me in details about it, Infact i am in Saudi Arabia and wife in Pk, So in coming month the delivery is INSHALLAH expected. I just listened about it that after delivery the vaginal size becomes large and the joy of intercourse does not exist there.
Anyway before the joy i would like to prefer the good health of My wife and coming Child.
Waterr sis i read that after delivery if women sits in the light warm water including a spoon of PATHKARI, the size of vagina come closer as much as it can. Is it right?????
once again thanks to all of U. Yes Waterr sis ur reply was not only helpful but also i am satisfy.
Jaffar |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:17th Aug 2009, 2:37am |
|
|
Re That is yes called as alum water..phatkari wala..ok..wo generally advice keya jata he for vaginal tightness...phley tu ap unke scar jo ho stitch ka usko heal honey dain okey..phir ap daikhe ap waisey bhe enjoy karain ge dnt wory,vagina koi rubber nai he jo stretch he hota jayey,its elastic cum back to near nrmal although loose tu hota he definately,pelvic floor ke muscles ke excercise kehtey han mostly after delivery bt un couple ke leye jo bohat conscious ho rai hon plus 3births etc huwe hon.. Baqe sex pleasur does nt solely depend on vaginal tightness if a person genuinely lover hs wife ok..phir ye kar lejeye ga alum water if u want..relax n enjoy parenthood |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2009, 6:46am |
|
|
Thanks Waterr Sis Salam,
Thanks sis. But this is our firs child. Anyhow thank you very much. |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:18th Aug 2009, 7:14am |
|
|
Congratulations to you Thats great you wont have any lack of pleasure in your relations just trust me |
|