re: epilepsy iss bimari ko Epilepsy (dore ki bimari) kehte hai. slang word mai ise Mirgi ki bimari kehte hai. Epilepsy ke kai aqsam hote hai, aur har aqsam ke alamat mai thora bahut farq bhi hota hai.
generally sab se common type tonic colonic hai. iss mai mareez achanak behosh ho jaata hai, aankhain ooper ko charh jaati hai, haath pao balkeh poora jism akar jaata hai, jism ko jhatke lagne lagte hai, mu se jhaag nikalne lagta hai.
achanak girne ki wajah se jism mai kahi bhi chot lag sakta hai, jabre (jaw) ke darmian zuban aa jaata hai. kamzor daant aur jabre ke darmian zuban aane se mu se khoon bhi nikalne lagta hai. aksar mareez ko peeshaab ya stool bhi paas ho jaata hai.
dora ke baad mareez kuch der ke liye behosh ho jaata hai, hosh per aane ke baad ose kuch bhi yaad nahi rehta, do teen din tak poore jism mai dard rehta hai.
Epilepsy aik qabil-e-ilaj marz hai, waise tu aik achcha family physician bhi is ka ilaj ker sakta hai, lekin iss ka ilaj neurologist kerte hai. psychiatrist bhi is ka ilaj achchi tarah ker sakte hai.
general people mai jahalat ki wajah se ise jinnat ka saya, oopri asar waghaira samjha jaata hai, aur neurologist ke bajaye jaali peer, faqeer aur mazar se ilaj karane ki koshish ki jaati hai. jis ki wajah se marz theek hone ki bajayee aur bigarta hi jaata hai.
Epilepsy ke mareez ki generally death nahi hoti. lekin aap ki wife ki khala ke saath yahi hua hoga keh woh dore mai kuch is tarah giri ho gi keh koi andarooni chot aaye hogi, bimari se tu koi nahi marta, lekin andarooni chot ya shadeed zakhmi hone se death ho sakti hai. mu se khoon aane ki wajah mai pehle hi bata chuka hoo keh iss bimari mai zuban aur andarooni gaal jabra ke darmian aakar kuchal jaata hai jis se bleeding hone lagti hai.
mera zati khial hai keh doctor ne ghalat bataya hai keh ose heart attack hua hai. kio keh aap ne jo alamat batai hai woh heart attack ki nahi balkeh Epilepsy ki hai.
For more detail read: Epilepsy |