Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Super Power Sirf Allah ki Zaat Hai!

Politics   >>  War and Terrorism
 
 
* Noor Clinic *
ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  30  
Posted on:19th Apr 2009, 9:05am
 

Super Power Sirf Allah ki Zaat Hai!

Salaam to All Friends!

 

Aaj mujy aik baat ka Ehsaas ho gaya hai ke hum Pakistani kitny behiss ho chuky hain. Yani ye Moolak jis ka ke hasool ka bunyaadi maqsad aur Naara hi ye tha ke.

 

" Pakistan ka Matlab kaya? LAA-E-LAAHA  ILL-LALL LAH "

 

Afsos ke hum nay is Naary ko Aaj haqeeqtann framosh kar diya hai. Hum ye bhool gay hain ke Is Duniya Jahan ka Maalik, Haqeeqi Super Power, Haqeeqi Muhaafiz aur Taqat ka sarr chashma Allah Taalah ki Zaat hai.

 

Keon ki agar Aaj hum mein Waqai Allah Taalah ki Zaat per Kaamil Yaqeen hota aur Hum apni harr Mushkil mein Sirf Ous Maalik se hi Madadd mangty to Yaqeenan Aaj Hum Pakistani Poori Duniya mein Zaleel-o-Khwar na h rahy hoty.

 

Aaj Hamari Haalat ous Bikhhari jaisi hai jo chandd paison ki khater apni Maan Behan ki Izzat ka soda karny se b pechhy nahi hatt ta. Ousy sirf is baat se matlab hai ke ousy bass Note mil jaain Maan Behan jaye Bhaar mein.

 

Aur is ki waazy Misaal hum aaj dekhh sakty hain ke Hamary Moolak ka Saddar, Wazir-e-Aazam, Wazir-e-Kharja aur aisy hi Dosry log Duniya mein Jahaan b jaty hain jis Forum per b kharry hoty hain wahan sirf aik hi faryaad karty hain ke Khuda ke liy Hum Bheek manggon ki jholi mein Khairaat ke chandd Dollar daal do. Keon ki hum bilkull Kangaal hain hamary pass khhany ko roti nahi hai peeny ko pani nahi hai aur pehn nay ko kapra nahi hai.

 

Aub ye Bheek deny waly jabb bheek ke badly mein Hamary Moolak mein Dron hamly karty hain to hum ounhain rok nahi sakty keon ki agar roka to Dollar nahi milain gay aur Dollar na mily to hum bhooky marr jain gy.

 

Dosto bary dukhh aur afsos se ye kehna perta hai ke Hamary Moolak ke Chandd naam nehaad Seyaasat daaon ke pass Baher ke Mookon mein Itna sarmaya hai ke agar ye log haqeeqt mein is Moolak jis ka Naam Pakistan hai ko Mushkilaat se nikaalna chahain to koi bari baat nahi hai but Jahan zaati Mofaad hi sabb se Ziyaada Aziz ho wahan Moolki Mofaad ki kon perwa kary ga. Is liy dosto Khuda ke liy aub to jo ho gaya so ho gaya lekin agar hum nay apny aany waly kall ko nahi saanwara aur is moolak ki bhag dor oun Sachy aur Mukhlis Leadron ko na di jin ke liy Moolki Mofaad Zaati mofaad se kahin baala tarr hai, jin ke liy Taqat ka Haqeeqi sarchashma sirf Allah ki zaat hai to phir is Moolak ko barbaad hony se koi b naho rok sakta keon ke Iqbal nay aisy hi nahi kaha tha

 

"Khuda nay aaj takk ous Qom ki halat nahi badli

Na ho jisy fikar khud apni halat badalny ki.

 

Dosto Khuda ke liy aap se request karta hon ke keon ki Aap log b Masha-Allah se kafi shaoor rakhhty hain aap is Moolak ki bholi bhaali awaam ko is baat ka shaoor dain ke kon sahi hai kon ghalt hai kon Mofaad prast hai aur kon moolki Mofaad ki hifaazat kar sakta hai.

Hamain inhin logon ke hath mazboot karny hon gay jo aagy chall kar hamara saahara bann sakain Allah hamain is kaam ke liy Himatt aur sabat qadmi de (Ameen)

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:19th Apr 2009, 1:21pm
 

ishtiaaq

bhai app ne baree he ache andaz mein loogo ko khanagalaa thnx app ka leken ess tarha ke behes aur baateen to kab se hote arahee hai leken koi amalee qarwaii nahi hote har kaam k leye ap ke pass koi mahool hota hia jo app uss kaam ko uss mahool mein karte hai leken hamaree yaha ketne ess loog hai jo quran ko daily parhte hai wo bhi subah ooth ker fajar ke baad aur parh bhi leya to ketne ess esse loog hai jo sirf arabi parh kar quran band kar dete hai humee yeh nahi kaha gaya k quran ko khatam karoo humee yeh kaha gaya hai k hum apne zindagi ko quran mein khatam karee aur tarjuuma tafseer parh bhi lee to kya hum ne apne zindagi mein uss per amal kee

enn sab kaam k leue hum sab ko esstaqamat ke zaroorat hai aur essteqaamat ke leye gathering bhi esse hone chahe jo humee ess kaam per amada karee agar hum sab sadar se lekar sweper tak quran ke mutabiq zindagi guzaare aur amaal kareen to hume aur hamaree contry ko kese bhiik aur kheeerat ke zaroorat na hotee leken afsos humee jes ko mazboote se thamee rakhna chahe the hum nee esse he chor deeya islam hamare zindagi k har profession mein madad karte hai hume learning karta hai aur amaale namoona bana kar hamare samnee pesh kya. islam uss county mein hain jaha ke door-e- hukumaat ko dekh kar Hazrat UMAR Raze Allaho Taa'la Anhoo ke door yaad ajai leken afsoos sad crore afsoos eddher to madad ke leye UNO ke taraf baghtee hai to phir yeh common sense hai k wo hamaree madad kareenge ya hamaare country ko terrorism bana dengee.

khulasa kalam yehe hai k na sirf mulk ko bachane ke leye balkee zindagi k har kaam mein madad ke leye quran ko parh kar samajhna uss per amal karna bahut zaroore hai taake hum deen-o-duniya mein ache tarha kamyaab ho saktee.

Moderator Note: This member is blocked due to posting of email address on this post: internet earning is legal?




For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani in Italy  How To Fill Out A Job Application  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014