Hazrat Nomaan bin basheer RA Rawi haiN k Nabi kareem saw nay farmayaa:
1.halaal bhi zaahir hai aur haraam bhi zaahir hai aur inkay darmayaan shubah ki cheezain haiN
2. Jiss shakhs nay oss cheez ko choR dia, jiss maiN gonaah ka shubah ho to woh oss ko bhi choR dega jo saaf, sareeh aur kholaa howaa gunaah ho.
3. aur jo shakhs iss baat ki jurrat karegaa jiskay gonaah honay maiN shak ho to woh anqareeb sareeh gonaah maiN bhi mobtalaa hojayega.
4. gunaah, Allah ki charaa gaahaiN haiN. jo iss charaa gaah k ird gird charegaa, to woh anqareeb is charaa gaah (gonaah) maiN bhi pahonch jayega
(Sahih Bukhari, Kitab Al-ba.you)
iss forum maiN jaiz aur naa.jaiz sex k hawalay say aksar o beshtar bay.bunyaad bahsaiN hoti haiN. yeh hadees hamaiN teen categories ki sex activities batlaati haiN.
A. halaal sex: sirf biwi (aur launDi) say ki jasakti hai aur sirf vagina maiN ki jasakti hai (quran o hadees say saabit hai)
B. Haram sex: ghair mankooha say har qism ka sex haraam hai. mankooha say bhi anal sex haraam hai aur oss waqt bhi vaginal penetration haraam hai jab woh mahaanah ayaam (periods) say guzar rahi houn
C: Mushtabah sex: 1) self sex (musht zani) by male or fermale 2) male / female private parts ki sucking 3) use of sex toys by male or female 4) sexual satisfaction by watching porn movies, pics etc 5) telephonic /web cam sex with wife (k iss tarah doosra sun aur dekh bhi sakta hai)
it is confirmed k quran o hadees maiN c-categories ki mushtabah sex ko kaheeN bhi HALAL qarar nahi dia gaya hai (dont refer fatwa etc)... wazah taur par quran o hadees main halaal qarar nahi dia gaya hai. aur mosalmaanoun ki bhari aksariyat in af'aal ko mayoob aur kharaab samjahti hai
ab yeh ham sab ki zimmah daari hai k woh above mostanad hadees ki raushni maiN apnay baray main faisla karlaiN k hum mushtabah say bachna chaahtay hain yaa iska irtikaab karkay Allah ki mamnoo'a charaa gaah (gonaah) maiN enter hona chahtay haiN.
Allah hum sab ko deen par chalnay ki taufeeq day. aur qabl azeen jo gonaah sarzad hogaye houN, onn par taubah karnay ki taufeeq day aameen. khaas kar gunaahoun /mushtabahaat par israar karnay say mahfooz rakhay. aameen
topic buhat hi acha hai, insaan k pass jina illam ho agye zaroor deyna chye kia aap mujhy is hdees ka refrence book bta saky hi ?dosara loundi or bivi main kia faraq hai .?thora ca define kery gaye plz
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
Posted on:17th Apr 2009, 9:41am
happy ji
laundi aur biwi mein aik tau social status ka farq hai, aur doosray rights ka, biwi ke husband ke saath rehnay mein kuchh protective rights hain jo legal hain, ta ke husband authourity ko misuse na ker sakay.
jab ke laundiyon ka rewaj hota tha oos waqt tau, laundi khareedi aur baichy jaati thi,islam ne is tareeqay ko gradually khatam aur kum kiya aur laundi ke bhi kuchh rights rakhay ,laikin oos waqt ke mutabiq laundi zaati Malkiyaat hi hoti thee jisay baicha bhi ja sakta tha.
jab ke biwi Quran aur hadees ke mutabiq husband ki Malikiyaat tau hai laikin wo oosay baich nahin sakta, biwi ka Malkiyaat hona darasal aik tarah ka symbolic expression hai,husband ki authourity ko wazaih kernay ke liye.
Albata, islamic framework ke andar rehtay huay, biwi aur laundi ka role husband/lord kee farmanbardari aur khidmat kernay ka aik hee jaisa role hai.
Jazak Allah Bhai aap nay bahoot wazah jawaab day dia hai ... maiN iss topic maiN kuch mazeed add karna chaahouNga...
soorat Alnissa ayat-24 (5th para k start) maiN Allah taa'la farmata hai k ... aur woh aurtaiN bhi tum par haraam haiN jo kissi doosray k nikaah maiN houN (mohsenaat)... albattah aisee aurtaiN iss say mustasnaa (excepted) jo (jang etc maiN) tumhaaray haath aayaiN (i.e. called lauNdi)
1.Islam start say hi azaad mard aur aurat ko zabardasti pakaR kar ghulaam aur baandee /launDi bananay k khilaaf hai... yeh kaam non-muslim kartay haiN aur usa nay to african kaalouN ko baras haa baras tak pakaR kar ghulaam banaakar bechta raha hai
2. Al.battah society maiN maujood Ghulaam aur launDiyoun ki status ko islam "tasleem" karta hai. aisaa nah karay to society maiN afraa tafree mach jaye. issi liyeh muslims ghulaam aur launDi khareedtay bhi rahay haiN aur bechtay bhi
3. Islam dunyaa ka woh wahid mazhab /deen hai, jiss nay ghulaam aur launDiyouN k bhi (as insaan) basic rights moqarrar kiyeh... aik hadees ka mafhoom hai k jaisaa tum khaa'o, wohi apnay ghulaam ko khelaa'o. jo tum pahno wohi ossay pahnaa'o... oss par aisaa kaam nah Daalo, jo oski taqat say zeyadah ho yaa ossay naa.gawaar guzray... aur agar aisa kaam do to khud bhi oski madad karo..... yeh rights to aaj ki dunyaa nay apnay paid molaazmeen /naukar /employees tak ko nahi diyeh
4. Islam sirf jehaad k ander pakray gaye mard aur aurat ko ghulaam aur launDi bananay ko allow karta hai... iska tareeqah bhi yeh hai k jang main pakray gaye jumlah qaidee ko ameerul momeneen khud mojaahedeen maiN taqseem karengay. har mojaahid ko indivisually yeh haq nahi k jissya chahay pakaR kar apna ghulaam / baandi banaa lay.
5. jangi qaidiyouN k jo haqooq internationally banaye gaye gaye haiN onpar bhi amal dar aamad ka haal sab k saamnay hai... iraq mai ittehadi faujaiN wahaaN ki females k saath jo salook karti haiN woh koi Dhaki chupi baat nahi. woh (so called) apnay qawaneen ki khelaaf warzi karti haiN magar actually onkay momaalik onki inn af'aal ki hemayat kartay haiN. kal hi us cia ka bayaan aayaa hai k cia k jo ahal kaar terrorism ki jang maiN pakray gayee qaidiyouN k khelaaf tashaddud karnay maiN molawwas haiN onkay khelaaf koi kaarwaayee nahi ki jayegi.
6. Islam iss tarah ki "monaafeqat" ka qaail nahi. yeh saaf saaf kahta hai k jang maiN pakRay gayee qaidiyouN ko ghulaam aur launDi bana kar mojaahedeen maiN taqseem kardia jayega. aur onkay aaqaa insay kaam lenay k elawah inkay haqooq denay k bhi zimah daar hongay. aurta qaidee /launDi say sexual istefaadh bhi jaiz hai aur iss say honay wali aulaad bhi jaiz aulaad hogi aur baap k maal maiN waaris bhi... aisa non muslim muslim qaidee khawateen k saath nahi kartay... aaj ka recprd bhi dekh laiN aur history bhi.
7. Islam jahaaN ghulaam /lauNdi k bunyaadi haqooq ka zaamin hai waheeN inhaiN azaad karnay ki bhi talqeen /encourage karta hai... balkay bahoot say deeni gonaahouN ka "kaffarah" hi yeh rakha gaya hai k aik ghulaam yaa lauNdi ko azaad karo.
8. ghulaam aur launDi ka aaj ki jadeed dunyaa maiN bhi wajood hai. laakhouN nahi kaRoRouN mard saramaya darouN k qanooni "ghulaam" ki see zindagi basar kar rahay haiN. aur sari zindagi mehnat karkay sarmaya daarouN ki jaibaiN bhar rahay haiN.
9. issi tarah aaj bhi aurat khareedi aur bechi jati hai... legally bhi aur illegally bhi. aik report k motabiq iss waqt dunyaa ka sab say zeyadah amdan wala business .. aurtouN ki khareed o farokht ka hai.... yeh aurtaiN aghwa karkay... job k naam par export karkay haasil ki jati haiN aur dunyaa bhar k bazaaray husn ko farokht ki jati haiN jahaaN yeh "launDiyaaN" apnay sarmaya sdaarouN k liyeh apna jism bech kar maal kamaati haiN
10. pakistan maiN bhi bazaray husn "legal" haiN tawaifaiN hakoomat ko tax pay karti haiN aur baqya aamdan apnay maalik ko ada karti haiN. pak maiN BD aur khud pak say aurtouN ko aghwaa /bahla phuslaa kar bech dia jata hai... kashmir k zalzaly k baad wahaaN say hazarouN khubsoorat laRkiyaan aghwaa karkay pakistan k bazaaray husn ko supply ki gayeeN.
11. Islam launDiyouN say haraam kaari ka sakht mokhalif hai. insay aap asmat faroshi nahi karwasaktay. yeh aap k ghar maiN sirf aap k liyeh as sex worker kaam karti haiN... inka darjah aap ki qanooni biwi say zaraa hi kam hota hai.
omeed hai k aap ko bahoot say sawaaloun ka jawaab mil gayaa hogaa.
post k aghaaz maiN jo hadees pesh ki gayee hai woh quran k baad sab say sahih islami book... sahih Bukhari ki kitab ul bayou (khareed o farokht) maiN maujood hai .. aap net par bhi bukhari ki book khol kar check karsakti haiN aur sahih bukhari ki jild maiN bhi
what about rubbing penis between the wife breast, even though i personally don\'t like the act, a lot of people i think ejaculate in this way when their wife is in menses or heavily pregnant? is that also prohibited in Islam?
maryam aap ko agar mazeed koi related info chahiyeh to zaroor likhyiyeh. baaz maamlaat maIn ghalat gumaan rakhnaa bhi gonaah hota hai. lehaza behtar yehi k agar koi deen say related isuue wazah nah ho to pooch lia jaye, discuss karlai jaye.
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
Posted on:18th Apr 2009, 7:51am
laundi aur wife mein aik aur farq
Thanks all for the apperciation.
jaisay ke mein ne pehlay kaha ke islamically laundi aur wife ke statuse mein farq hai tau kuchh similarities bhi hain. biwi aur laindi daunon husband/master ki malkiyaat haun,laikin laundi ko baicha ja sakta hai wife ko nahin.
aur launndi aur biwi daunon ke liye husband/master ki sexual obedience zaroori,yeni husband jab chahay biwi se sex ker sakta hai.aur family mattere ke andar(jab tak ke islam ke dairay mein hon) biwi husband kee oosy tara hukam mannay aur khidmat kernay kee paband hai jaisay aik kaneez apne aaqa ki hoti hai.
aik ahem farq
laundi aik contract kee waja se laundi hoti hai, laikin biwi aur husband aik rishta hai, aik laundi sirf hukam mannay kee aur khidmat kee paband hai laikin zaroori nahin ke wo dil se master kee khidmat karay ya oos ka hukam mantay huay khushi mehsoos karay,sirf aik office style kee obedience kaafi hai jo ke boss kee jaati hai.
laikin biwi ke zaroori hai ke wo humble ho ke aur adab aur mohabbat ke saath husband ki khidmat karay aur oos ka hukam mantay huay koi dil mein ooskay liye bura khayal na laye,aur Allah kee taraf se diye gaye Husband ke majazi khuda honay ke rutbay ko na sirf practically bulkay bulkay dil se bhi se bhi oos ki haakmiyat ko pasand karay.laundi ke liye ye zaroori nahin.
iseeliye aik khidmat guzaar aur farmanbardar biwi ko jannat ki basharat hai laikin laundi ke baaray mein aisa kuchh nahin kaha gaya.
1. ur language was not gud 2.yehi sawaal beesyouN martabah poocha jachuka hai. aap pahlay post paRhna seekhaiN phir sawaal karaiN. 3. aap nay jaan boojh kar diccussion ka rukh change karnay ki koshish ki. be carefull next time n don't repeat the same mistake again. thanx
well explained dom_man bro... wazah rahay k mosalmaan ka Ghulaam / launDi aik mosalamn bhi hosakta /sakti hai aur kaafir bhi.... isasi tarah aik kaafir ka mosalman /launDi bhi muslim /muslima hosakti hai.
har 2 soortouN maiN jahaaN muslim aqaa ko Allah aur Allah k Rasool saw nay yeh hidayat dee hai k woh apnay launDi Ghulaamoun k saath acha salook karay.... waheeN (muslim) launDi ghulaamouN per bhi yeh pabandi hai k woh apnay aqaa ki farmaa.N bar.daari karaiN. aik hadees ka mafhoom hai k apnay aqaa k pass say bhagaa howaa ghulaam (yaa launDi) jab tak wapis apnay aqaa k pass aa nah jaye, Allah oss say raazi nahi hoga. muslim launDi ghulaam par bhi jumlah islamic ahkamaat ayad hotay haiN.
yahaaN yeh wazah rahay k:
A) islam launDi ghulaamouN kaa pioneer nahi... yeh society maiN non-muslims nay start ki (jaisay hazrat yousuf AS ko pakaR kar kuch logouN nay as Ghulaam bazaaray misir maiN bech dia tha)
b) Islam nay sirf yeh kia k dunyaa maiN already raaij ghulaam /launDi k concept ko legally accept kartay howay iss system maiN islaahaat naafiz ki like
1.inhaiN azaad karnay ko encourage kia
2. inkay saath behatr salook karnay ko aazim qarar dia.
3. inki agay khareed o farokht yaa hadiyaa karnay k rewaaj ko barqarar rakha
4. lekin apni launDi say asmat faroshi ka business (jo non-muslim kartay haiN) ko haraam qarar dia. nah hi apni launDi say kissi ghair ko sexual relationship ki ijazat dee aur agar koi launDi chup kar aisaa karay to ossay qaabilay sazaa qarar dia
5. iss baat ko bhi encourage kia apni launDi ko azaad karkay onsay shadi karlo (agar pahlay hi 4 wives nah houN to)... waisay launDi ki koi tadaad ki limit naheeN
6. sab say aham baat yeh k above saray nokaat taa qayamat valid haiN. inmaiN say koi qanoon mansookh nahi howa hai..... ab agar kissi society maiN launDi ghulaam ka culture maujood nahi hai to muslims bhi aisaa nahi karsaktay yaa local qanoon onhaiN aisaa karnay par sazaa degaa. samaji pareeshaaniyouN say bachnay aur mulki yaa bainul aqwaami qawaaneen say bachnay k liyeh behtar yehi hai k inferadi taur par laundi ghulaamouN ki tijarat say avoid kia jaye........ coz islam maiN aisaa karnaa laazmi yaa farz hargiz nahi hai... lekin agar koi karay to yeh gonaah bhi nahi hai... bay shak dunyaawi qanoon k tehat mujrim hi kiyouN nah gardana jaye.
jab zikr chira hai to hamaray ahad maiN aurtouN ki khareed o farokht k baray maiN bhi kuch baat hojaye aur misconceptions khatam houN.
1. ajkal 3 tareeqoun say laRkiyouN /aurtouN ko farokht kia jata hai.aik aghwa karkay aur doosray mohabbat k naam par bahla phuslaa kar ghar say bhagaa lejaanaa aur teesray behtar molaazmat ka jhaansaa day kar doosra mulk lay janaa... in teenouN soortouN maiN yeh laRkiyaaN inhaiN lay jaanay waloun k mokammal qabzah maiN hoti haiN... pahlay woh khud phir onkay dost ahbaab 'zeyafat' oratay haiN... phir yeh onhaiN aagay (contract molaazmat k naam par) arab k shekhouN ko ... moqaami o ghair moqaami show biz /porn movie makers ko 'farokht kardetay haiN ... zeyadah tar 'supply' koThouN /baazaaray husn ko ki jati haiN aur paisay kharay kiyeh jatay hain. teenoun soortouN maiN aisee laRkiyouN /aurtouN ki zindagiyaaN launDiyouN say bhi bad tar halat maiN guzarti haiN.
2. Islam nah to modelling ko allow karta hai nah females ki adakaari ko. lehaza show biz k liyeh koi muslim launDiyouN ko legally khareed kar bhi use nahi karsakta. issi tarah in khareedi howi aurtoun ko bazaray husn /call girls k taur par bhi use nahi karsakta... yaani inhaiN kissi bhi tijaarti masraf (excet to sale) k liyeh use nahi karsakta. albattah inhaiN khareed kar apnay zaati ghar /haram maiN rakh sakta hai.
3. hamaray daulat.mand arab shaikh aisaa hi kartay haiN. onkay pass daulat hai.. lehaza mardanah sehat bhi achi hai... aik say zeyadah biwiyouN ka samaji culture bhi hai... aur log onkay pass "maal" farokh karnay k liyeh bhi lay kar aatay haiN...... chunaanchah woh ain islamic ruling k ander rahtay howay inhaiN khareed kar apni zaati molaazimah /baandi bana letay hain. it's not anti islamic... jaisaa k ham indo pak k muslim aam taur say khayaal kartay haiN. maujoodah saudi hukmraan guzashtah dinouN uk maiN elaaj ki gharz say admit thay. onki halaat kharaab honay ki aik wajah western media nay yeh bh batlaaye thee k woh 70 biwiyaaN (launDiyaaN) karchukay haiN.... lekin yeh baat zeyadah scandle nahi bani k west arab ko fil.haal naraaz nahi karsakta.
jannatiyoun ko 70 /70 hooraiN ... baRi baRi aankhouN wali milengeen.... to Allah ta'aala muslims ko dunyaa maiN iss say kaisay mahroom rakh sakta hai jabkay woh maal.daar bhi hou aur wasaail bhi... biwi to chaar say zeyadah nahi karsaktaa naa lol
I am a senior member and active
participant of 100 other non-Pakistani forums and work as a Junior Moderator at
Amazon.co.uk forum, in my entire life I have never witnessed such derogatory,
accusing and unprofessional behaviour from a Moderator that I have just
witnessed here from the first Pakistan based forum that I ever joined and
participated in.I will deal with your
accusation one by one-
Accusation number 1- ur language was not gud – I never used a single slang
word in my entire post, the terms that I used were common and technical terms
used in medical science.If you provide
an example proof of bad language used instead of accusing someone, I will be
happy to look into it and admit that what I said was wrong and indecent.But if you continue to persist that the
language was wrong and what I wrote was of perverse or satanic nature and
against the spirit of islam then I will give you reference to similar parts in
“Book for Married Men” that is also worthy of censorship using your gifted
logic.
Accusation number 2- yehi sawaal
beesyouN martabah poocha jachuka hai.- aap pahlay
post paRhna seekhaiN phir sawaal karaiNOk I agree I may have been careless I
should have double checked whether this question was previously asked or not
but what Crime have I committed by double posting, also I didn’t create one
entire separate, standalone topic thread to discuss this issue, I only asked
where discussion between forum members was already taking place about the Halal
ways of achieving sexual satisfaction with one’s wife and I asked a question
which was directly related to that topic. (see last paragraph for background).
post paRhna seekhaiN phir sawaal karaiN – Is this how a moderator or a senior member of a
forum suppose to treat its forum members? You are now a senior member; you
should behave in professional manner and as s role model instead of belittling
others by questioning other people’s intellect and incompetence in learning to
write and ask questions.
Accusation number3. aap nay jaan boojh kar diccussion ka rukh
change karnay ki koshish ki.-this
is easily the most ridiculous and unjustified accusation out of all 3 made so
such so that even a blind man can notice it, Sir, you have no right to judge
other peoples mentalintent when they are asking questions, you are a
moderator not a psychologist, I am requesting all members to read the
text in last paragraph and tell me whether I was deliberately trying to deviate
from the topic or not, the question was about an alternative way of
achieving sexual satisfaction during wife’s menses or pregnancy and whether
there was anything in Islam that prohibits it just like sex inside anus, I
cannot see how my question is not related to the topic discussed- does it not
come under either “Sub category A-halaal sex ”or “Subcategory
B- Haram Sex” if it is considered
to be Haram?
Background to what was asked-
Brother rizvi wrote that “mubasharat sirf vagina me ki
jasakti” in Subcategory A- Halal sex, so in return I asked a simple question
(not to argue with brother rizvi) but to gain some knowledge about it “Is it
also islamicaly write to satisfy one’s sexual needs using wife’s chest when
wife is in her menses or pregnant to a baby? I asked this question in a pure
spirit because from Sub category A I learnt that sex can only take place in
vagina, every other alternative act is illegal and haram?
This was a perfectly valid question at that time but since
then I have found it is also been talked about in “Book for Married” men which
I read again in detail yesterday so my question remains
to moderator what did I say that was so offensive and disgusting that it
deserved censorship but please this time show some proof to backup your claim
intstead of resorting to tactics of deleting the post in an unjustified manner
and accusing someone.
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
Posted on:19th Apr 2009, 10:17am
thanx for more info
kiya laundi ko bagher nikkah k rakha jata hae? us main se aolad ko wirasat ka hissa nahi milta to un bachon ka status kiya hota hae muashre mein? kiya woh bhi ghulaam hi hote hain aur unhain bhibecha jasakta hae?
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
Posted on:19th Apr 2009, 11:00pm
laundi aur nikah
maryam behen, sab se pehlay tau ye samjhna zaroori hai ke nikah kiya hota hai, Nikah khud koi cheez nahin bulkay ye sirf Allah aur Rasool ke hukum ke mutabiq aik rishtay koi jaiz banana hai.
ab agar Allah aur Rasool(pbuh) khud hee is nikah kee rasmi shart ke baghair oosay jaiz qaraar dai dain tau nikah kee kiya ahmiyaat hai.aakhir nikah bhee tau Allah ka bataya hua tareeqa hai.yes laundi ke saath baaqayda nikah kee zaroorat nahin.maslan agar mard kee chaar biwiyan hain tau baaqi laundi lai ker rakh sakta tha, baghair nikah ke.
Albata mujhe is baat ka nahin ilam ke laundi kee aulaad ko warassat mein hissa milta hai ke nahin, mera khayal hai ke oon ka hissa hai.laikin is baat ka ilam hai ke oonay baicha nahin ja sakta,kiyon ke wo oos ki jaiz aulaad hain.
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.