Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 260 Post: 4378 Age:
38
|
|
Posted on:19th Aug 2009, 1:11pm |
|
|
Rules For Ramadhan
jaisa ke aap sab jaante hai keh isi weak mai ramzan ke roze shuru hone wale hai, lehaza member ki help ke liye yaha per Rules of Ramadhan batai. jo bhi rule batai woh informative ho, aur aik member jo rule bata de woh repeat na kare. Rules for Ramadhan mai sab kuch shamil hai, maslan roza kis per farz hai, roza kab break hota hai, roza break ka kuffara kaise hoga, roza kab break kia jaa sakta hai ..... isi tarah ke aur bhi beshumar rules jo aap jaante hai bian kare.
|
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:19th Aug 2009, 1:37pm |
|
|
Re..rules for ramadan Is it necessary to give refrence with it?.. Like... Pregnant and Lactating females can leave the fasting if they feel weakness or difficulty in keeping the fast...either they keep it afterwards or help a poor to keep fast who else would not have been able to fast.. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 260 Post: 4378 Age:
38
|
|
Posted on:19th Aug 2009, 2:51pm |
|
|
reference for ramadhan rules reference ki koi zaroorat nahi, beshtar rule sab ko maloom hai, ham log sirf review ke liye yaha likhna chah rahe hai.
albatta jis rule par aap ko lage ke log ikhtelaf kare ge tu os ka reference aap ko maloom hona chahiye, takeh agar koi challenge kare tu ose woh reference dia jaa sake. lekin filhal aap sab reference ke beghair hi rules batai. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 260 Post: 4378 Age:
38
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 1:11am |
|
|
re: ramadhan rules lagta hai keh forum members ko ramadhan ke rules se koi interest nahi, isi liye koi iss thread mai reply nahi ker raha. |
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 1:37am |
|
|
Mujhe tu bohat zada he Apke dar ke marey nai likh rai.warna aik likha he upper dartey dartey |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4212 Age:
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 1:46pm |
|
|
rules for Ramadan very interesting and informative thread started by Bewaqoof......
wesy yeh to sab ko pata hoga, k roza kis umar main farz ho jata hai, kab rakhna chahie aur kab kholna chahie.
baaz auqat log pareshan ho jaate hain jab woh sehri karte hain niwala moon main hota hai aur us waqt azzan ho jati hai, to woh confuse ho jate hain k es waqt woh kia kare..... to unhe maloom hona chahie k jo niwala woh kha raha hai means chaba raha hai, to us ko nigal sakta hai even k azaan ho rahi hai. us k baad khana band kar de. aur roza rakhne ki niat to umeed hai sab ko aati hogi.
iftar k waqt azaan hoti hi roza iftar karna chahie, azaan k baad jitna jaldi ho sake utna hi jaldi iftar karna chahie.... aur roza kholne se pehle dua zaroor parhni chahie.....
roza kajhoor ya paani se iftaar kia jaie to ziada behtar hai.... |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4212 Age:
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 1:56pm |
|
|
waterr agar aap kuch share karna chahti ho to aap bila jijak share kare..... agar aap ne mukamml information dedi to us se doosre faida utha lenge aur aap ko ajar milega, agar aap se kuch kotaahi ho gaie ho means k kisi baat ka aap ko mukammal ilm na ho aur aap se thori bohot ghalti ho gaie ho, to doosre members us ki correction karenge, jis se aap ki knowledge main izafa hoga....
sirf ek bewaqoof ki replies se kuch nahi hota jis se aap itna darti hai......... es tarha buzdili dikhaogi to apna mission kese poora karogi....... be brave and confident....................... |
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2280 Age:
32
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 2:25pm |
|
|
sunn007 i was gonna say the same thing you said to water... well said sunny |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 260 Post: 4378 Age:
38
|
|
Posted on:28th Jul 2011, 11:19pm |
|
|
Ramadhan start hone wala hai ramadhan ke rules kya hai? aise rules likhain jo members ki knowledge mai izafa ker sakay
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 126 Post: 7474 Age:
54
|
|
Posted on:29th Jul 2011, 1:21am |
|
|
namahram say baat cheet?
Na Mehram females se meri rozana baatchit hoti hein, for various reasons... Try to Avoid that in Ramdhan, completely!
1.sir g ! yeh to bataiyyeh k yeh baat cheet sirf ramadan maiN haraam hai? 2. sirf during fast (daytime) haram hai yaa raat maiN bhi 3. aur yeh kab aur kiss nay kahaa hai k rozah maiN naa.mahram say baat cheet maiN completely avoid karna chaahiye (alirajput k ilawah :) |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 126 Post: 7474 Age:
54
|
|
Posted on:29th Jul 2011, 1:29am |
|
|
dos in ramadan 1. saal bhar to ham quran say door rahtay hi haiN...koshish kijyeh k ramadan maiN daily kam az kam aik parah arabic matan ki tilawat with its translation (if u donno arabic) zaroor paRhaiN
2. hadees ki bhi koi coleection lay kar koshish karaiN k 30 days of ramadan maiN all kutub /chapters ko read kar laiN
3. iss month zeyadah say zeyadah saqah khairaat ki jaa.ay sirf farz zakaat tak mahdood nah raha jaa.ay
4. namaaz panj.gaana, sehri khanay say qabl tahajjud paRhnay ka bhi ihtemaam kia jaa.ay
5.GEO tv alif laam meem with juned jamshed... aik islamic quiz program start kar raha hai. ramadan maiN yeh daily on air hoga. zaroor dekhaiN. agar namaaz o taraweeh k baaes channel par nah dekh sakaiN to youtube par latest program ko down load karkay dekh laiN...bahoot maloomati program hai
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 126 Post: 7474 Age:
54
|
|
Posted on:29th Jul 2011, 2:13am |
|
|
khayal rakhiyega haaaaaa haaaaaaaa yeh to apnay wazah kia hi nahi k khayaal kiss ka rakhna hai...aapka, naa.mahram ka, yaa baat cheet kaa lol
chand mazeed sawalaat... 1. sirf 1-2-1 baat cheet say avoid karna hai yaa iss forum maiN bhi naa.mahram ki threads /reply ko aankh oThaa kar nahi dekhna, yaani yahaaN bhi onhaiN avoid karna hai
2. choukay during fasting sex related batouN /activities say avoid karna hota hai...to kia iss forum maiN aisi thread ko read karna /reply karna sahih hoga yaa ghalat
3. ramzan maiN daftar /bazaar maiN naa.mahram say baat cheet /dealing ki jasakti hai avoid karna hoga... sirf days maiN avoid karna hai yaa night maiN bhi???
omrrd hai ap meray sawaalaat ko mind nahi karengay aur inkay peechay chopay jawaabaat ko read bhi kar lengay |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 126 Post: 7474 Age:
54
|
|
Posted on:29th Jul 2011, 2:21am |
|
|
donts in ramadan 1. fazool qism ki guftagoo say parhaiz karaiN...specially rozay k dauraan... fazool goyee say behtar hai khamosh rahaiN
2. net pay bahoot say anti-islamic sites haiN...inhaiN waisay bhi visit nahi karna chaahiyeh, avoid specially in ramadan
3. jhooT bolnay say bachnay ki practice karnay ka yeh behtareen maheenah hai...koshish karaiN k jhooT nah bolaiN
4. ramazan maiN paan, guTka, cigarette, niswaar, huqqah etc jaisee nishay ki lat say chuTkara pana nehayat asaam hai...din bhar rozay maiN to inhaiN use kar hi nahi sktay...aftaar k baad maghrib ki namaaz, isha ki namaaz, taraaweeh ki namaaz maiN kafi waqt sarf hota hai...iss dauran bhi nahi use kar saktay... baqyah sonay say qabl thoRa say waqt bachta hai... will power ko use karaiN...agar aik maheeenah in say ach gaye to hamesha k liyeh chuTkara mil jayega
5. face book jaisi sites par gup shup maiN waqt k zeyaa say bachaiN |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3417 Age:
36
|
|
Posted on:29th Jul 2011, 3:48am |
|
|
Re : Rules For Ramadhan Roza ka lafzi tarjma hay "ruk jana" ..chunachy roza ki halat main har achy amal ko anjaam daina aur aur har bury kaam sy ruk jana hi asal main roza ka falsfa hay
quran main ishad hay k <mafhoom> "aey momineen tum par rozy farz kiye gaye jis trah tum sy pehly logon par kiye gaye thy ta k tum mutaqi ban jao"
yahan sy sabit hota hay k insan jo already momin hay wo tab tak kaamil nahi hay jab tak ramzaan ka ahyaa na kary aur roza na rakhay , sirf roza rakh laina hi mutaqi hony ki daleel nahi hay balky roza ki halat main har bury kaam sy bachny aur naik kaam sy rajooh rakhny sy insan momin sy mutaqi banta hay
aur dosri baat yeh k ramzan ka ikhteraam karty howy ban jany wala mutaqi sirf ramzan ki hadd tak hi nahi hay balky saara saal , sari life k liye hukam hay q k yeh ramzan to har momin k liye aik qisam ka refresh course hay , ta k sara saal agar bhool chook sy koi ghalti , koi gunah sar zad ho b geya hay to uss ka kufara wa touba ki jaa saky , ramzan to allah ki tarf sy har momin k liye aik aik tuhfa hay
laiken yeh tuhfa aik momin k liye hay kisi ghair momin k liye nahi , iss tuhfa ka fayda sirf momin ko hay kisi ghair momin ko nahi , q k allah wazy tour par irshad farmaa raha hay k ey momino rozy rakho ta k mutaqi ban jaoo , yaani mutaqi ban'ny k liye aur ramzan ka fayda lainy k liye insan ka pehly momin hona zaroori hay
jo log iss aas par saara saal gunah karty rehty hain k jab ramzan aye ga to touba tayeb kar lain gy wo afraad sab kuch to ho sakty hian laiken momin nahi , momin k liye awaleen shart hay k wo har gunah sy khud ko mehfooz rakhy , laiken insan hony k naaty sy phir b agar kisi ghalti kotahi ka murtakab ho jata hay to allah ki rabobyat aur rehmat phir b uss par ramzan ki shakal main saya figan rehti hay ta k wo khud ko refresh kar saky ...yahi rules hain ramzan k liye ..walla ho ilam biswab |
|