new members se meri request hai ke koi bhi sawal karne se pehle noorclinic ki tamam books read kar liya kare ager on ke sawal ka jawab os mein nehin melta to phir woh forum pe apna sawal kiya kare.
aur jab woh post karne lage to pehle yeh dekh liya kare ke jo woh sawal karna chahte hain os tarha ke sawal aya pehle bhi kisi ne to nehin kiya ager kiya ho to woh apna new post start na kiya kare same sawal se..
Group: Members Joined: 08th May, 2008 Topic: 28 Post: 1432 Age:
26
Posted on:6th Jun 2008, 5:42pm
veer bai
ap ny sahi kaha hai lakin jo new members hoty hai na unhy pata nahi hota or wo search b nahi kerskty kyun ki jis tarha hamy pata hota hai us tarha un ko nahi hota,,
isi liye wo wahi sawal karty hai jo ki phely boht dafa discuss hochuka hota hai,, kher may b request kareoun ga ki ap plz veer bai ki batoun p amal karien,,thanks
han yeh to hai lekin yeh post main page pe he rahe aur koi na koi yahan msg kar diya kare ta ke yeh top par he rahe aur new member jab bhi vist kare to pehle yeh read kar le phir shayed kuch member baat ko samuj sakhe ge
then just close this forum and let the people read books
to phir forum ko band kar do, kyonkay books to hain idhar...
log forum k chakkar mai parnay ki bjaey direct books open karain aur confuse huey bina hi apna answer book say parh lain...
For Detail Click On Page No: 1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.