Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics
Recent Reply
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Things We dont Like

Chatting   >>  Gup Shup
Bili_miau Group: Members  Joined: 20th Oct, 2007  Topic: 17  Post: 871  Age:  27  
Posted on:13th Jan 2008, 11:05pm
 

Things We dont Like

welll im going to start a new topic on things we dnt like in everydays life...i know its a strange topic...

but i was all alone and on my own at home from last 2 weeks..and i had to do all things myself as noone else was there to help me out!! i realised that specially i hate ironing the clothes and cleaning the toilet on weekly bases...

it would be interesting to hear things from other ppl:D:D

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:13th Jan 2008, 11:25pm
 

toilet ki safai

oho tu aap ke yaha toilet ki safai aap ko khood hi kerni perti hai. very sad ...... hamare yaha toilet ki safai bhangi kerte hai.

Bili_miau Group: Members  Joined: 20th Oct, 2007  Topic: 17  Post: 871  Age:  27  
Posted on:13th Jan 2008, 11:41pm
 

good

sorry but we dont have any servant system here in uk..which is good because it dnt create any lower class or upper class .... and this is something which makes always trouble in pak..wese aapko koi haq nai hena kisi ko bhangi chorda etc kehne ka.....per phir bhi aap barde bante hain yeh keh kar keh apne ghar ki safai aap kudh nai ksii aur se karwate hain

wahh..phir najane kyon pak keh log rote hain keh wahan per class system kyon he

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:14th Jan 2008, 12:20am
 

ghareebo ko rozgar faraham kerna hamari zimmadari hai

ham log apna sara kaam doosro se karate hai. khaana pakane aur ghar ke andar ka kam kerne ke liye aik khatoon hai, zamin ki safai ke liyei alag khatoon hai, driving ke liye driver hai aur outside work ke liye male mulazim hai.

hamare ghar mai yeh saare mulazim is liye hai keh ham log afford ker sakte hai. aur doosro ko bhi mashwara dete hai keh agar woh afford ker sakte ho tu is qisim ke mulazim zaroor rakhe.

in mulazmeen ki wajah se hamari zindagi bahut aasan ho gayee hai, aur in logo ki dua bhi milti hai. kio keh hamare ghar se in logo ki rozgar wabista hai. yeh log hamare rozgar mai barkat ki dua kerte hai takeh hamare saath saath in logo ki bhi rozi chalti rahe.

agar ham log sara kaam khood hi kerne lage tu bechare ghareeb logo ka kia bane ga. yeh sare log be-rozgar ho jaye ge. kuch log berozgari se tang aakar chori aur daka dalne lage ge, jo log aisa nahi kare ge woh log bhooke mar jaye ge. lehaza mera mashwara hai keh ham logo ko chahiye ke jaha tak ho sake in ghareeb logo ko rozgar faraham kia jaaye.

sab log aik jaise nahi ho sakte, Allah taala ne kisi ko amir aur kisi ko ghareeb paida kia hai. amir logo ki zimmadari hai keh ghareeb logo ko rozgar faraham kare. isi liye hamare ghar mai etne sare mulazmin hai.

hamare yaha toilet ki safai karne wale ko jamadar aur bhangi kaha jaata hai. agar bhangi ka lafz slang word hai tu mai alfaz wapis leta hoo. lekin yaha per ham jamadar ko os ke name se pukarte hai, lekin aapas mai jab guftagoo kerte hai tu lafz bhangi aur jamadar istemal kerte hai. 

Bili_miau Group: Members  Joined: 20th Oct, 2007  Topic: 17  Post: 871  Age:  27  
Posted on:14th Jan 2008, 1:00am
 

well

agar apki yeh soch hena to bht ghtia soch he.ise thek karlen.coz aap koi nai hote kisi ko rozgar dene wale..aur apne koi kam karna he to koi ach karlena naa..ghar ka kam karte hue kudh hath dukhte hain kai?gharebon ka sath dene ka itna shok he to unhe charity den take woh apne bachon ko pardha saken na keh unke bachon se kam lekar unke sunehri umar zaya karden..woh to bechare majburi keh aenge apke pass..

aisi soch he phir aap kehte hain pakistanio ko log ahcha nai samjhte wah..afford karne ka yeh matlab nai aise kam lene lag jao...ya jo puri society karahi he wohi karne lag jao...agar log zeher khana shuru kardenge to apbhi kardenge nahi na?? to phir yeh nokar kyon??

apni zindagi asan karli per un becharon ki muskil ko nazarandaz kardia wah..

pinky7861 Group: Members  Joined: 06th Oct, 2007  Topic: 44  Post: 1348  Age:   
Posted on:14th Jan 2008, 3:44am
 

There are

     .............some things I do not like to do, like washing feeders, spoons etc.  But the thing I just can't love to do is cooking.  I will be happier if there is someone cooking for me. (yea right)  hahahaha,  however, it does not mean that I am a bad cook, I just have no interest in it. 

   Bewaqoof ji:

   Main bhi yahan apnay TOILET hood hi saaf kerti hoon aur haftay main kam az kam 2 baar kerti hoon.  Aur mujay iss say koi takleef nahi hay. 

Balkay main billi ki baat say agree kerti hoon kay iss tara say in countries main kisi ki SELF ESTEEM hust nahi hoti, jaisay kay pak main hoti hay.  wahan baycharay aam middle class kay gheroun main kaam kernay walay mulazim 300 say lay ker 2000 rupay average kay chaker main subah say shaam tak kaam bhi kertay hain aur sath jhirkiaan aur galian bhi khatay hain. 

     Aur yah NAIK SHAREEF MUSLIMS, jo apnay gheroun main sara din baith ker TV per Indian aur Western Movies daikhtay hain, aur nokeroun per hukam chalatay rahtay hain,  phir  west ko galiaan daitay hain kay wo ghatya aur zaleel loag hain, nangay ghoomtay hain aur khulay aam sex kertay hain. 

    Jab kay west kay loag HAM jaisay NAIK PERWEEN kisam kay MUSLIMS say ziada HAQOOQUL-IBAAD ka hayal rakhtay hain aur kisi ki self esteem ko hurt nahi kertay. 

 

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:14th Jan 2008, 4:12am
 

Re:

Bewaqoof bro: Yahan aap nai apni first  post main sirf billi  ko chernay kai liye aisa kaha hai I know, warna I know aap aisa nahin kehtay. :) second post main aap nai apnay point ko defend karnay kai liye us ka rukh mor dia. intelligent :) dont mind okk..i know u wont.

Billi: sis its very unique topic indeed. Yep I also dont like cooking and cleaning toilet. Balkay ghar ka har kaam majboori sai karna parta hai, dil nahin chahta karnay ko kush bhi, including ironing, washing clothes everything.:) waisay pak main bhi kuch log apna kam khud hi kartay hain, har koi bewaqoof bro ki tarah afford nahin kar sakta sab aur na karna chahta hai :)

pinky sis: I agree to all whatever you say about western people. Un ki sari buryan un ki personal hain, they dont cause harm to other people. Actually if we look on them, basically they are following all  the teachings of islam. thats what i say briefly. thanks
Hangama Group: Members  Joined: 02nd Dec, 2007  Topic: 39  Post: 1284  Age:  38  
Posted on:14th Jan 2008, 4:29am
 

Bili

Yah kis na kahdiya ka UK mai servents nahi hotai hain, Han yah zaror hai ka servant paisa etna laitain hai ka har koi afford nahi kar sakta hai. Koi bhi aisi country nahi hai jaha pa servants nahi hotai hain.

Faisee: Apna bohot haad taq sahi kaha hai ka western people bohot haad taq ISLAMIC law follow kar rahai hai laikin mera bhai jo insan jis culture mai rahta hai wahi ka barai ma sahi sai batata hai. Aik shaks jo UK yah US mai rahta hai woh yah nahi bata sakta ka pakistan ka log kaisa hain, Suni sunai baton ko batadena to koi bat na howi.

pinky7861 Group: Members  Joined: 06th Oct, 2007  Topic: 44  Post: 1348  Age:   
Posted on:14th Jan 2008, 4:54am
 

hangamma jee

Maira hayal hay kay aap thora sa misunderstand ker rahay hain.  Main aap ko apni misal daiti hoon.  Main 23 saal ki thi jab pak say aai thi.  Tu aap ka kia hayal hay kay main paki nahi hoon? yah apnay mulk kay logoun ki mentality nahi samajti?  ab yahan main 8 sall say hoon, tu kia inn saloun main main yahan kay logoun ki mentality nahi samaj saki?  aisa nahi hota.  ager aik insaan 2 different cultures main rahta hay tu wo un donoun ko bohat achi tara samajta ha.
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:14th Jan 2008, 7:25am
 

strange topic

billi aap ne acha topic select kia hai.

main waqti tawar par keh sakta hoon k muje koi cheez napasand hai. lekin aksar aisa hota hai k jis cheez ko ham pasand nahi karte usee hi cheez se hamen ziada faida pohonchta hai.

so aisi koi specipic cheez nahi jo muje napasand ho.

anotherOne Group:   Joined: 01st Jan, 1970  Topic: 10  Post: 205  Age:   
Posted on:14th Jan 2008, 11:21pm
 

re

I do't like to go to my office par kia karooooon, I do't want to clean my room but it does't means that it is in a  terrible mess.  I do't like to iron my cloths thats why I do't have even IRON in my room. :)
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:14th Jan 2008, 11:56pm
 

i agree to bewakoof

mujhe bhi har 2 din Bathroom ki safai karni padti hai,and i also hate it,but i also dont like payas katna,ata ghundna....in kamon se mujhe sakht chirr hai..

and pinky,mujhe bhi khana pakane ka itttttnnnnnnnnaaaa zyada shok nahi hai,lekin jab sochti hun ke abhi kuch cooking karni hai to dil nahi karta,lekin jab start karlun to phir bohat kuch ek sath cooking kar leti hun aur phir sochti hun..akhir mujhe massla kya hai?itni asani se cooking ho to gayi hai...

mujhe sare ghar ki safai me sab se buri kitchen ki safai lagti hai,wo mai hamesha sab se akhir me karti hun aur dil karta hai ke koi a kar kar jaye.

so....to bewakoof

arre ap to ache khase ameer hain,is lye itne maghroor hain shahid..) and ab mujhe aur yaqeen ho gaya hai ke ap wahi hain.........

khuda ne hi sab ko rozi deni hoti hai,par hum insan uska zarya bante hain.Ghareebon ki rozi roti khuda ke hath me hi hai,par khuda ne hi ameeron ko un ghareebon ki rozi roti ka zarya banaya hua hai.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:14th Jan 2008, 12:25pm
 

Bili_miau: Uk ke lower class se taluq rakhti hai

mere mulazmin ki salary driver: Rs. 7000, zamin ki safai kerne wali maasi: Rs 1200, Indore mulazma (cook): Rs. 4000, Outdoor mulazim: Rs. 5000. iss tarah total Rs. 17200/month huye. yeh taqreeban $300 ya 200 ponds ke barabar hua.

meri zati aamdani bhi USA aur UK mai mulazmat kerne wale logo se kam hai. lekin mai on se kam kamane ke bawajood aish o aram se rahta hoo, aur kai ghareeb family ko bhi rozgar faraham kerta hoo.

mujhe yaqeen hai keh Bili_miau, pinkey, sunehry ki monthly income mujh se kahi ziadah ho gi. lekin woh log apne piaray watan Pakistan ko chor ker western country ki khidmat ker rahe hai, jis ki wajah se wo Pakistan, os ki mitti, waha basne wale log, friends aur rishtadaro ko miss ker rahe hai. aur Pakistan ke middle class aur upper class ke maze lene ki bajai usa aur europe mai lower class life guzar rahe hai.

Bili_miau dar asal Pakistan ke middle class se taluq rakhti hai, Pakistan mai middle class ke log apna toilet saaf nahi kerte. lekin uk mai woh lower class ho gayee hai. aur Pakistani lower class ki tarah uk ke lower class ke log bhi apna toilet khood hi saaf kerte hai. warna uk aur usa ke middle aur upper class ke log apna toilet saaf kerne aur deegar kaam karane ke liye maid aur servant rakhte hai. jo ke Bili_miau jaise (uk ke lower class) log afford nahi ker sakte.

Bili_miau ko khood bhi ehsas hai keh woh toilet ki safai aur deegar kamo ke liye mulazmeen afford nahi ker sakti. lekin woh apne aap ko lower class bhi kehlana nahi chahti, isi liye woh class ko nahi manti, kio keh os ke liye yeh baat accept kerna kafi takleef deh hai keh woh log jo ke pakistan ke middle class se taluq rakhte hai, ab uk mai lower class mai tabdeel ho gaye hai.

meri id Bewaqoof hai, lekin mujhe bhi etni aqal hai keh jetne maze se mai pakistan mai rahta hoo, otne maze se mai uk aur usa mai nahi rah sakta. khah kuch bhi ho jaye mai toilet saaf nahi ker sakta.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:14th Jan 2008, 12:58pm
 

mai child labour ka sakht mukhalif hoo

Bili_miau: aik baat aur batani rah gayee keh mere mulazmin ki age 25 and above hai, aur ittefaq se sab hi shaadi shuda hai. jaha tak bachcho ki batai hai tu on ke bachche bhi school mai study kerte hai.

mai zati tor se street begger ko bheek aur zakat nahi deta. ho sakta hai keh aap ko meri yeh harkat achchi na lage lekin mai aisa hi kerta hoo. albatta yeh zakat aur sadqa ki raqam (sorry for tafseelat) inhi ghareeb logo ke bachcho ki taleem aur deegar masle masail like (health) waghaira mai kharch hota hai.

Note: mujhe yeh tafseel is liye batani per rahi hai keh aap ne likha hai keh mai bacho se kaam leta hoo. is liye is ki clarification zaroori thi. mai child labour ka sakht mukhalif hoo. aap ne apne post mai likha tha:

" gharebon ka sath dene ka itna shok he to unhe charity den take woh apne bachon ko pardha saken na keh unke bachon se kam lekar unke sunehri umar zaya karden..woh to bechare majburi keh aenge apke pass.. "
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:14th Jan 2008, 1:27pm
 

bewakoof

pakistan me log aksar yehi sochte hain jo log bahir hain wo bohat maze me hain aur bohat zabardast jobs pe lage hue hain..

lekin Haqeeqat ye nahi hai,jo ladke pakistan me clurk/salesman/teacher ka kam bhi karna nahi pasand karte wo yahan par a kar 50 cent aur 1 euro ke lye kaisi kaisi jobs karte hain.yahan a kar wo sadkon se kurra ikhatta karne par bhi majboor ho jate hain.

aur bahir ki kuch countrys ka yehi faida hai,yahan koi bhooka nahi rehta,job ho ya na ho,kuch na kuch ho hi jata hai unka,.....

and u are right,hum yahan pakistan ki uppar aur middle class ko enjoy nahi kar sakte,kyunke yahan jo ameer se ameer tar bhi hain wo bhi ek safaiyi karne wale ko afford nahi kar sakte,bas yahan jo ameer hain wo college ki girls jo sath me thodi bohat job dhundti hain unko rakha jata hai,jo a kar clother istri kar sakti hain gharon ke sheeshe and househelp..par ye har koi afford nahi kar pata..

yahan jo log bahir a jate hain unko (aksariyat) yehi hota hai ke paisa ikatha kar ke piche apni familymembers ko bejhen.

and to the toilett..ab toiletts itni bhi gandi nahi hoti ke dekh kar ultiyan shuru ho jayen,balke yahan par ( shahid pk me bhi ho)ek asool hai,jo bathroom jata hai use bathroom saf kar ke chodna chahye.so thats why toilets itni gandi nahi hotin ke use saf karne me itni uktahat ho....

waise ap kya soch kar street begger ko bheek nahi dete??mai shuru me bohat deti thi,,,par phir maine apni ankhon se ek ko dekha jo sirf paisa ikatha karne ke lye mazloom, bana baitha tha,,tab se meri ray kuch change ho gayi hai...ab mai sirf unko deti hun jo mujhe waqee me majboor lage aur pk me pata bhi nahi chalta ke kaun peshawar bheek mang raha hai aur kaun majbooran.

 

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:14th Jan 2008, 2:22pm
 

things we don't like!

very interesting discussion going on ...

bili wakaee different topic hai ye.. aap ghar mai akeli ho , apna khayal rakhna , aisay time mai shetan bohat baray baray attack karta hai or insan ko behkanay ki koshish karta hai , so be careful...

muje ap logo k sath kafi hamdardi hai , sab kuch honay k bawajood bi apko kafi kuch karna parta hai and u are not happy in uk usa etc .
nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  35  
Posted on:14th Jan 2008, 2:24pm
 

hmmm

This was good topic though..but seems the same pb of diversion of things & questions per questions..

Hmmm I tell u about mine ,I like ever thing exept working,washing,cooking,cleaning & thats all going on.

Bili_miau Group: Members  Joined: 20th Oct, 2007  Topic: 17  Post: 871  Age:  27  
Posted on:14th Jan 2008, 4:03pm
 

well

true maloom nai log kyon itni lardai karahe hain..bewakooq mujhe to nai pata keh me pak keh konse class se taluk rakhti hun coz i have never lived there..so u can put it on one side..now back to the class system..thre is noo class system whtsoever here...and also noone bleives in it..yes some ppl have servants.but they r not really specified for toilet cleaning etc...more or less servants r called for child or baby sitting..

and besides that u have no right to call me any sort of class person..nor lower or higher..as u dnt have any idea about my personal life..but now u have started a personal attack on me..than let me tell u first that its really ridicouls from u that u have pointed me out because im a student and ur a practical working man..our incomes cant be compared! right?

no coming to my family let me tell u my dad is a doctor and a lawyer currently working in his own established firm in birmingham! so have u any idea how much ppl r can earn if they have their own firm??? no islie  u have made a blunder attack on me without knowing anything...

Bili_miau Group: Members  Joined: 20th Oct, 2007  Topic: 17  Post: 871  Age:  27  
Posted on:14th Jan 2008, 4:04pm
 

and...

u dnt know anything about my livingstyle so u better keep ur nose out of it!! got it???

and yes ther is no class system in uk..or outside pak in other words..if u got any problem than go and solve it out urself!! and dnt divert this topic..if u divert it again i will make a complain about u

nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  35  
Posted on:14th Jan 2008, 4:08pm
 

hmmm

Chupkay chupkay raat din ansooo bahana yaad hai.....

listen this song all of you............

For Detail Click On Page No: 1 2 3  >>
 
 
Pakistani Singer In UK  How to apply for an australian visa  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014