Nigah Aur sharamgah Ki Hifazat Bismilla Al-rehman Niraheem Nigah aur sharamgah ki hifazat
Surrah Al Nur aaya No# 30 "ay Nabi(PBUH) emaan walon say keh do k wo apni aankhon ko neecha rakhay our apni sharmgahon ki hifazat kerain,ye in k liay baisay pakizagi hay,beshak ALLAH TALLAH aagah hay jo wo ker rehay hain" Sahibey emaan log he fallah panay walay hain,iss aayet-e-mubaraka may ALLAH TALLAH nay sahibay emaan ki beshumar sifaat may say 2 ka zikar kia hay. 1; Nigahon ka neecha rekhna. 2; Sharmgahon ki hifazat kerna. Nigahon ko neecha rakhna,in ki hifazat kerna,islam may iss ki bari ahmeyet hay,bcoz dil may tamam tswerat o khayalat,our achay buray jazbat ka muharak ini k tabay hay.gher mehrom ourtoon ki taraf tiktiki band ker dekhna mamnoo hay,agar achanak nazer parh jay tu foran pair laina chahye. Seyadena Jareer bin Abdullah Aljabli (Razi Tallah unho) say rewait hay; main nay Rasool ALLAH(PBUH) say achanak nazer parh janay k mutaliq poocha tu APP(PBUH) nay farmaya "Asrif Basrak"tu apni nazar ko pair lay(MUSLIM 2159). Nigahon ko neechi rakhna,in ki hifazat kerna our in ka saee istamal kerna,iss hukam may ourtain b shamil hain.kisi gunnah-o-masieyet k asbab-o-muqadmat ka b wohi hukam hota hay jo uss gunnah-o-masieyet ka hota hay,exampel ZANA haram hay tu iss ki taraf lay janay walay tamam asbab-o-wasail b haram hon gay. Nazar ki hifazat k bad sahib-e-emaan logon ki 2sry bunyadi sift-o-hoobi apni sharmgahon ki hifazat hay.iss ka zikar may apnay Article "Sharmgahon ki hifazat" may ker chuka hon. Sayedana Sahel bin Saad (RAZI ALLAH UNHO) say rawayet hay; RASOOL ALLAH (PBUH) nay farmaya "jo shakhs muje 2jabrhon k darmiyan (ZUBAN) our 2 tangoon k dermiyan (Sharmgah) ki zamanat day day tu may usay janat ki zamanat deta hon. nigahon ka neecha rakhna,sharmgahon ki hifazat kerna pakizagi our taharat ka bais hay. ALLAH TALLAH tamam bani adem k amaal-o-afaal say bahaber hay,hata k nigahon k khayanat our dilon ki posheeda batoon ko b janta hay.
ALLAH KAREEM |