aamir2020 |
Group: Members Joined: 05th Nov, 2007 Topic: 50 Post: 369 Age:
29
|
|
Posted on:15th Dec 2007, 1:27am |
|
|
Nafal Namaz: At First Wedding Night
SALAM mai nay suna hai k first night dulha dulhan room mai akelay honay k baad 2 raqat nafal namaz shukranay k perhay hain. yeh namaz kis waqt perhi jati hai matlab night soot pehnay say pehlay ya baad mai?
|
Aag |
Group: Moderators Joined: 21st Nov, 2007 Topic: 22 Post: 1130 Age:
34
|
|
Posted on:15th Dec 2007, 2:49pm |
|
|
Aamir Bhai shadi ki pahli rat nafal namaz pharna ka maqsad yah hota hai ka apki shadi khair o afiyat sai hogai aur ALLAH es new zindagi ka aghaz apna raham ka sath karai.
Mera hisab sai ap ko apna kapra change karna sai pahla hi nafal namaz pharni chahiya. |
Bunty78 |
Group: Members Joined: 22nd Jul, 2007 Topic: 26 Post: 255 Age:
27
|
|
Posted on:16th Dec 2007, 2:58am |
|
|
1st change ur dress then pray ur namaz aag tum na namaz ka maksad toa theek batiya taham ya kia baat hoee ka kapre change kerne sai pehle perhwo toa acha hain ... I think so ka pakistan main almost her larki jo dress pehante hain woai asee kabil nahi hota hain ka asee main ziyada chala phira ja sake phir namaz kisia perhe ja sakte hain aur kuch grooms bai shairwane pehnte hain ... so better to change ur dress then pray |
Aag |
Group: Moderators Joined: 21st Nov, 2007 Topic: 22 Post: 1130 Age:
34
|
|
Posted on:16th Dec 2007, 4:37am |
|
|
Bunty Oh sorry sorry . ap bilkul sahi kah rahi hain. Maina actually sirf dulha ka hisab sai jawab diya tha aur second aamir nai kiyu ka night soot ki bat ki thee esliya maina yah kaha tha aur shayad aamir ka zahan mai bhi yah bat nahi aii hogi warna woh y ah bat es tarhan sai puchta hi nahi kiyu ka jo dulhan hoti hai woh offcourse shadi ka dress mai namaz phar hi nahi sakaigi.
Better is that ka ap dono shalwar kameez pahan ka sahi tareqai sai namaz pharai. |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:16th Dec 2007, 9:39am |
|
|
Nafil Namaz on First Wedding Night Naafil Namaz parh kar ALLAH ka shukar adah karna chahiyah or Husband
Biwi k forehead per haath rakh kar koi DUA bhi parhtey hain Dua tou
mujhaey yaad nahi lekin uss k translation ma kuch Shaitaan se bachney
ka khulasa tha kah ALLAH hum donon k andar jo shaitan bhetah hai usey
dour kardey or hamarey darmiyaan muhabbat paida kardey .
Well Bunty ne sahi kaha kah Wedding Clothes ma Dulhan kaisey Namaz
pardhey gee Namaz tou dour woh tou Wuzu tak karney ma mushkil hogee
.......
But I like Aag's opinion .... merey khayal ma bhi Wedding Clothes ma
Husband Wife eak saath eak hi Jae-Namaz per Nafil Namaz pardhein tou
zayadah acha hoga ...... hmmmm...!
|
Aag |
Group: Moderators Joined: 21st Nov, 2007 Topic: 22 Post: 1130 Age:
34
|
|
Posted on:16th Dec 2007, 11:52pm |
|
|
Beautystar well beauty yah posible nahi hai ka dulhan wedding clothes mai namaz pharai. laikin yah zaror possible hai ka dulha shairwani utar ka kurta pajama change na karai aur namaz pharai. Actually maina to yahi kara tha apni first wedding night aur mujhai kuch sukoon mila tha. |
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:16th Dec 2007, 11:13pm |
|
|
re waisay maira hayal hay kay itnay hangammay main kapray koi itnay pak saaf nahi rah gay hotay kay un ko pahnay hoauy hi ham namaz per lain. Kayounkay patta nahi kahan say kapray tayar ho ker attay hain aur kaisi kasi pak/napak jagha per rakhay jatay hain. Iss liay ager dhulay houay pakeeza kapray pahen liay jain tu phir hi safai ka asal maqsad poora hota hay. Aur waisay bhi kam walay kaproun main dil poori tara ibadat main nahi jay ga balkay kaproun main hi atka rahay ga. |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:17th Dec 2007, 4:42am |
|
|
me too agreed to aag
main ne bi first night ko aise hi kia tha
just sherwani utar di thi
aur pajama aur shirt pehni hui thi, usi mein wuzu ker k namaz perhi thi |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:17th Dec 2007, 1:35pm |
|
|
Its Possible Yaar Its possible yaar but very difficult .......... Dulha agar wuzu k liyah
Dulhan ko kisi bartan ma pani la kar daey dey or wahein Wuzu arwadey
tou ??? Wuzu agar ho jaey tou Namaz bhi ho hi jaey gee yaar ........
Its difficult but Possible yaar ..... !
Waisey maine suna hai kah Dulhan k Fore-Head per Dulha koi Dua pard kar
ponkhta hai or phir Dulhan k paoon ko pani se dhoo kar ghar se kafee
dour pehenkta hai jiss se ghar per se or New rishtey per se 70,000
musibatein or balaein chaley jaein ....... Yah maine kisi web-site per
read kiya tha kah yah eak Islamic Rasum hai (But I am not sure ok)
....... Is it true ???
|
Aag |
Group: Moderators Joined: 21st Nov, 2007 Topic: 22 Post: 1130 Age:
34
|
|
Posted on:17th Dec 2007, 1:52pm |
|
|
Beauty star and Pinky Beauty star: nahi maina aisa nahi suna hai. yah to apna full time hindu drama wali bat kardi hai. waisa maina aj taq aisi bat nahi suni aur na hi dekhi hai. Advice apki achi hai laikin yah to logo ki apni bat hoti hai ka woh kaisa sochtai hain.
Pinky: Pinky jee jo bat apna kari hai napaki wali kaproo ki to aik bat batain zara. kiya eid ki namaz ka liya jo shalwar kamez ham log silwatai hai yah banai banai laitain hai koi kiya usko pahla wash karwata hai. koi bhi nahi karwata hai.Mostly yah kapra pak saf hi hotai hain...........
Han yah zaror ho sakta hai ka shadi ka doran koi napak chez kapro sai lag jai yah zaror posible ho sakta hai. Khair apna apna concept hai yah kahlaitain hain. |
|