PERIODS hoty q h? first ever period iss baat ki alamat hai k laRki adult / baaligh hogayee hai. ab iski shadi hosakti hai aur woh maaN ban.nay ki ahal hai.
female ovaries maiN jab ova (eggs) mature hojayaiN aur onhaiN male sperm nah milay (ovum+sperm = zygote ... yehi zygote agay chal kar new born baby banta hai) to yeh eggs burst ho kar bleeding k zariyeh bahar kharij hojata hai... issi amal ko periods (haiz in arabic, maah.waari in urdu) kahtay haiN.... yeh har maah hotaa hai ... yaani aik adult lady each month, mother bannay k liyeh 'tayyar' hoti hai.
iss dauran kuch female hormons main changing bhi aati hai. aur yeh sab kuch normal hai yaani female ki 'sehat.mandi' ki alamat hai. go k iss dauran females ko kuch problems bhi hoti hai jaisay pains, chiR.chira pan ... but in sab k bawajood yeh amal females ki health k liyeh zaroori hai. yehi wajah hai k jiss female ko periods normal nah houN ya hotay hi nah houN, woh medically 'unfit' hosakti hai. |