hrst women maximum 45, se 50 saal tak pregnant ho sakti hain..es ki sab se bari nishani periods ka hona he hain..jab tak khawateen ko periods hote rahe tab tak pregnancy ke chance hote hain.
lehaza abhi aap ki age pregnancy ke liye theek hai.aur periods 5,6 din pehle hona koi bimari nehin hai aur na he es ke ilaj ki zaroorat hai.4 din bhi periods hon yeh bhi normal baat hai.aap es hawale se pareshan na ho.
pregnancy na hone ki bhut se waja ho sakti hain.lekin pehle aap yeh bataye ke aap ka 9 hafte ka bacha kyun zaiya ho giya..?os ki kya reason hoi?
aur doctor ne dubara aap ko kitna arsa birth control karne ko kaha?
pehle aap zara tafseel batayein phir hum os k mutabik aap ko munasib mashwara de ge. |