Tips To Avoid MushtZani (Masturbation)! ham koi bi kam daily karnay lag jaein to wo hamari habbit ya routine work ban jata hai, or jab insan kisi din apna routine work nahi karta to usay ajeeb sa feel hota hai. mushzani ziada tar school/college boys kartay hain ya wo log jo farigh (Vaillay) hain, koi kaam nahi hota to chalo mushtzani hi kartay hain..
to merey bhai sab sy pehlay to ap apni mushtZani ki Routine ko khatam karo. jis time ap mushtZani karty ho us time koi aisa kam karo jo apko bohat pasand ho, it can be Music, exercise gym or any Computer Game. music sun-na hai to koi acha music suno or isey enjoy karo,, ya phir koi interesting computer game khelo is say apka time bohat acha guzray ga...
study kartay ho to kuchh time study k liye fix kar lo, i guess k job karnay walay ziada tar logo ko itna time nahi milta k wo mushtZani kar sakain.
apnay tamam buray dosto say milna chhorr do. or apni diet (khuraak) ka khas khayal rakho, Pani ziada ziada piyo. agar paisay zaya kar rahay ho medicines lenay k liye to wohi paiso say natural khuraak khao, dudh piyo, fruit khao.
agar koi kam nahi hai, farigh ho, to koshish karo k akelay na baitho, sex k baray mai ziada na socho. har kam ka aik time fix hai or wo hona hi hona hai, to shadi to ho hi jaegi jab Allah nay likha hai.. to phir jo cheez mil jani hai uskay baray mai itni tension lenay say kia faida..
namaz shuru karo, chahay ghar mai parho lekin parho zaroor, Allah say madad mango, agar shuru shuru mai namaz thori mushkil lagay to sirf FarZ namaz zaroor parho, or ahista ahista jab adat ho jaey to phir baki rakatain yani sunatain or nawafil bi parhnay lag jao... or koshish karo k ziada tar time ba-wazu raho.. yaad rakho "namaz behayaee or buray kaam say rokti hai" or is mai koi shak-o-shubay wali baat nahi.
yaad rakho har bura/galat kaam kaRnay say dil mai KhoF paida ho jata hai, or yehi khof insan ko buzdil bana deta hai, pakray janay ka khof, beemario ka khof.. ye KhoF bohat si beemario ki jarr hai, or agar ye jarr dil o dimagh mai aa gaee to darakht (TREE) bantay dair nahi lagti..
tamam wo log jo mushtZani kartay hain wo in tips ko medicine samajh kar in par amal kar k dekhain,, or batain k kuchh faida hua ya nahi, acha change un mai aya k nahi,i am sure within 1 month u will see a great change in your personality, or agar koi forum member mazeed koi tips batana chahy to zaroor batain... may be apki kahi hui 1 bat say kisi ki zindagi sanvar jaey.. |