Masturbation is HARAAM
And regarding people who say that there is no proof of mushtzani un k leye irshad hai k Quran kareem main har masley ka jawab hai, srif us ko dhoondney or us ka sahi matlab samjhney ki dair hai.or waqai aqal walon k leye rehnumai hai, main ne aqal waley is leye kaha k jab ik ayat ap k samney ho phir bhee us pr amal na karein or bal k us ki mukhalfat karein waqai who loog bay aqal hongay. surah nisa para5,ayat 82 Tarjuma:to kia ghor nahi kartey quran main", nahal para14,ayat 89 Tarjuma:or hum ne tum pr quran utara k har cheez ka roshan bayan hai." tirmizi main hai k Huzur salallaho ailhe wasalam ney paish aney waley fitnon ki khabar di,sahaba ne un se khallas ka tareeqa daryaft kia,farmaya kitab ALLAH tum se pheley waqiyat ki bhee khabar hai tum se bad k waqiyat ki bhee or tumharey mabain ka ilm bhee. gharz yeh k yeh ik Jamey kitab hai. Srif ghor , tafakkur ,pharney,dhondney or samjhney ki dair hai. Quran pak main ALLAH subhan watala irshad farmata hai, Surah mo'menoon,para 18,ayat 5-7 Tarjuma:Or who jo apni sharamgahon ki hifazat kartey hain 5 magar apni bibiyon ya sharaiee bandiyon pr jo in k hath ki milk hain k in pr koi malamat nahi 6 to jo in Do k siwa kuch or chahey wohi had se bharney waley hain 7. Tafseer:Is ayat se yeh masla maloom hua k Hath k sath qaza-e-shawat karna haram hai.(tafseer khazian ul irfan) hazrat jabeer radiallaho tala anha ne ik ummat ko azaab kia to apni sharamgahon se khail kartey thay(tafseer khazain ul irfan) Surah al ma'rij,para 29,ayat 29-30 Tarjuma:Or wo jo apni sharamgahon ki hifazat kartey hain magar apni bibiyon ya apney hath k maal kaneezon se. Tafseer: k halal se haram ki taraf tajawuz kartey hain, masla is ayat se mata,lowatat janwaron k sath qaza-e-shawat or hath se istamna ki hurmat(haram hona) sabit hui.(khazain ul irfan) Surah bani israeel para 15,ayat32 Tarjuma:Or badkari k pas na jao bayshak wo bayhayaee hai or bohat he buri rah. Surah al aaraf para 8,ayat 33 Tarjuma:Tum farmao mere rab ne to bayhayieyan haram farmaee hain jo in main khuli hain or jo chupi or gunah or nahaq ziyadti or ye k allah ka shrik karo jis ki us ne sanad na uteri or ye k allah pr who bat kahoo jis ka ilm nahi rakhtey. Laihaza in tamam ayaton se sabit hota hai k musht zani haram haram or haram hai.Hadis-e-kareema main bhee nabi pak salallaho alihe wasalam farmatey hain "jalq laganey walay (musht zani karney waley)pr ALLAHazawajal ki laanat hai".(fatawa-e-raziviya jild 10,page 80 nisf awal) Jo shakhs bura tareeq jari karey or loog us pr amal karien,to us pr us k jari karney ka bhee gunah hoga or un logon k amal ka bhee or amal karney walon k gunah main koi kami nahi hogi. (ibn-e-majh) Yeh ahadis har us shakhs who are in favour of mastubation, k leye lamha-e-fikarya hai.zara ghor se soocheye ga is barey main. Quran kareem main ALLAH subhanwatala irshad farmata hai, Surah alhadeed, para27, ayat 24. Tarjuma:Or jo ap(khud) bukhul karein or aoron se bukhul ko kahien or jo mou phairey to bayshak ALLAH he bayniyaz hai sab khobiyon saraha. Surah nisa , para 5,ayat 37 Tarjuma:Jo ap(khud) bukhul karein or auron se bukhul k leye kahien or ALLAH ne jo inhen apney fazal se jo dia hai usey chupaien or kafiron k leye humne zilat ka azab tayar kr rakha hai. wasalamu alikum warehmatullah
|