re: khoon ki kharabi Blood ki kharabi ka pata Blood Test se hota hai, Blood test hazaro qisim ke hote hai, aur har mareez se hazaro test nahi karaye jaate, balkeh marz aur alamat ki buniad per ki jaati hai.
aap ne yeh tu keh dia keh blood ki kharabi, lekin yeh nahi bataya keh blood mai kia kharabi hai. iss sawal ka jawab wahi doctor de sakta hai jis ne aap ka blood test karaya hai.
Blood mai kharabi bhi hazaro wajah se hoti hai, blood garam koi medical term nahi, kisi doctor ya hakeem ne aap ko samjhane ke liye aisa kaha hoga.
behtar mashwarah yahi hai keh aap apne family physician se consult ker ke os se pooche ke ose kia bimari hai (bimari ka naam bataye), agar hamai beemari ka nam pata chal jaaye tu ham log aap ko munasib mashwarah de sake ge. kio keh blood ki hazaro bimari hoti hai, hamai kia maloom keh aap ko blood ki kon si bimari hai? |