loveaf |
Group: Members Joined: 05th Oct, 2009 Topic: 17 Post: 34 Age:
26
|
|
Posted on:11th Nov 2009, 7:36am |
|
|
Karz Ki Dua: Please Pray For Me
Asalamalaikum dear friends mujhe ap sab se yeh guzarish hai ke ,mein bahut loan bakhi hoo,aur mere job ka koi bharosa nai hai,mein yeh chata ho ke ap sab log milkar dua kare aur mujhe koi ek dua de jis se mera karza jald se jald ata karsuku phir mere parents ko Allah ke ghar ko dedar karane ke liya bejo , Remember me in your prayers Apka gunaah ghar dost. Dua zaroor post kare,,,
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:11th Nov 2009, 9:37am |
|
|
du'aa Allah taala tumhy apna qrz jald az jald ada krny ki toofeeq ata frmaye..(ameen)
wasy yaar job kia krty hoo jis ka koi bhroosa b nhi or loog phr b tumhain qrz py qrz diye jatey hain ....or haan qrz ly kr kia kiya tha.....koi makan wahaira ta'meer kiya hey..ya kuch oor kaam kiya hey.....or mery bhai kitna qrz tha... |
made4u |
Group: Members Joined: 12th Aug, 2008 Topic: 11 Post: 439 Age:
|
|
Posted on:13th Nov 2009, 5:24am |
|
|
loveaf May Allah bless you.
 |
loveaf |
Group: Members Joined: 05th Oct, 2009 Topic: 17 Post: 34 Age:
26
|
|
Posted on:14th Nov 2009, 6:55am |
|
|
Made 4 u thanks mere bhai made 4 u,and
diplomate ,mein uae mein job karta hoo,mein nahe liya kharz mere walid na liya hai,aur mere parents chate the ke mere shadi hojaye aur allah ke aur ghar walo ke marzi se hogaye mere parents ke choice, se ,wahe paisa mein apne shadi mein karch kiya bas aur ko fuzul karch nai kiya shukriya ap sab ka aur dua mein yad rakiya ga is gunaah gar bande ko ,saalam alaikum. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4281 Age:
38
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 2:48am |
|
|
Qarz aik laanat hai aap ko qarz utarne ki dua tu bata di gayee hai. umeed hai keh os dua se aap ka qarz utar jaaye ga.
Qarz aik bari laanat hai: ham log yeh jaanna chahte hai keh aap iss laanat mai kab aur kaise mubtala ho gaye, baraye meharbani aap os ki tafseel bataye takeh ham log bhi qarz lene se perhez kare.
Mera zati opinion hai keh: na tu qarz leni chahiye aur na hi qarz deni chahiye. agar qarz leni per jaaye tu sirf aur sirf otna hi qarz leni chahiye jetna ke aap ada ker sake, agar qarz ada kerne ki salahiat na ho tu qarz nahi leni chahiye.
isi tarah se kisi ko qarz nahi deni chahiye, ya phir qarz iss niat se de keh agar woh qarz wapas na kare tu os qarz ko aap maaf mer de ge. iss ka matlab yeh hua keh ya tu qarz hi na de aur agar de tu sirf otna de keh agar woh wapis na mile tu ose bardasht ker le (maaf ker de). |
Neha_83 |
Group: Members Joined: 16th Dec, 2009 Topic: 2 Post: 169 Age:
30
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 10:20am |
|
|
do you have any referens ? kya karz wakai me ek laanat hai?
agar karz lena lanat hai to karz lena hi gunah hota.. i think karz lena buri bat hai,kyoonke ye insaan ko lalach aur mazeed misael me dalta hai..lekin majboori me karz lena padta hai,,
karz lene ki kuch sharet hongi.jaise pani zuban pe kaim rehna aur time pe karz wapis karna. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4281 Age:
38
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 3:15pm |
|
|
Qarz se bachna chahiye Neha: ho sakta hai keh aap sahi ho, mai ne sahi alfaz ka intekhab nahi kia ho, mai yeh kehna chahta hoo keh qarz ki wajah se aksar logo ke taluqat kharab ho jaate hai. kio keh aksar qarz lene wale qarz wapas nahi kerte hai jis ki wajah se qarz dene wala bari pareshani mai mubtala ho jaata hai. aur jab woh qarz ka taqaza kerta hai tu taluqat kharab ho jaate hai.
mera kehna hai keh agar aap ka koi aziz rishtadar ko mali problem ho tu aap ose qarz ki bajaye qarz hasna de, yaani os se tawaqo na rakhe ke woh qarz wapas kare ga. aisi soorat mai aap sirf otna hi rupee de jetna dene ke baad aap kisi mushkilat ka shikar na ho.
loveaf ne yaha per qarz utarne ki dua poochi hai, jab keh loveaf ne jin logo se qarz li hai woh bechare bhi apne paise ki wasooli ke liye logo se dua pooch rahe ho ge. |
Neha_83 |
Group: Members Joined: 16th Dec, 2009 Topic: 2 Post: 169 Age:
30
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 4:20pm |
|
|
thik farmaya apne Bewaqoof.qarz se bachna chahye. aur issi lye qarz se bachne ke lye duaen mojuud hain.
woh bechare bhi apne paise ki wasooli ke liye logo se dua pooch rahe ho ge.
hahahahhahahahahahhahahahahahahhahahaaa bas jee dua karain ke kahin ap us line me na khade ho jayen..
waise ek bat bataen ap? apne ye nick kyun rakha.? first time any forum pe ye nick dekh rahi hun.kuch ajeeb sa lagta hai?
Moderator: No Irrelevant And Off Topic Replies. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4281 Age:
38
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 4:25pm |
|
|
bewaqoof and aqalmand agar mai apna nick Aqalmand rakh doo tu kai log naraz ho jaate hai, iss liye behtar yahi hai keh mai apna nick Bewaqoof hi likhoo. waise ham log iss qisim ki guftagoo ker ke topic divert ker rahe hai. behtar hai keh yaha per asal topic per hi guftagoo ki jaaye. |
|