Bank Job pahlay to aap B.Com mokammal karaiN k bank job k liyeh kam az kam graduate hona zaroori hai. apni tawajjah taleem par daiN takay achay numbarouN say graduation kar sakaiN.
Bank maiN job ka aik tareeqah to yeh hai k aap kissi jannay walay banker say raabitah karaiN woh aap ko aaply karnay ka tareeqah batlaa dengay... agar koi jannay wala nah ho to bank ki websites ko visit karaiN. wahaaN bhi job seekers k liyeh info hoti haiN... teesray yeh k akhbaraat especially jang n dawn regularly (at least on each sundays) dekhaiN. iss maiN bhi vacancy shaya hoti rahti haiN
internship ka matlab hota hai taleem k dauraan mukhtaser tateelaat k dinouN maiN 1-3 months ki training denaa... har acha adarah har saal gintee k chand achay students ko internship ki offer (college /uni ki summer / winter vacation) k dauraan karta hai... iss training k dauraan bahoot mokhtaser saa wazeefah bhi miltaa hai... log final exam day kar results nikalnay tak k 2/3 months k waqfay maiN bhi internship k liyeh apply kartay hain
hope k aap k saray sawalouN ka jawaab mil gaya hogaa... yeed rakhiyeh achay numbarouN say 1st class fraduation k beghair bank maiN job hasil karna bahoot mushkil hota hai illa yeh k koi bahoot baRi source ho... lehaza apni study ki taraf full tawajjah daiN |