Lloyds jismani aur dimaaghi balooghat wali aap ki baat sau feesad Theek hai...
but....ladka maashi taur par thoda mustahkam ho...
yeh aik secular /western theory hai, islamic nazarya nahi...
islamic nazaryaa wohi hai jo quran o hadees maiN bayaan howaa hai...
Allah ta'alaa quran maiN saaf saaf farmataa hai k jab tum nikaah ki omar ko pahonch jaa'o to nikaah karlo... agar tum muflis howay to Allah rizq maiN farawaani ataa karegaa.... issi tarah aik hadees ka mafhoom hai k aik shakhs darbaray resaalat maiN apni tang.dasti bayaan ki. maqsad kuch maali imdaad haasil karna thaa... aap saw nay ossay kahaa k jaa'o nikaah karlo ... aisaa oskay saath teen martabah howaa... aur oss nay naadaari hi maiN teen teen nikaah karliaa... phir woh malaa maal hogayaa...
magar hamara chouNkay quran o hadees par imaan zara kamzore hai issi liyeh hum kahtay haiN k pahlay chaar paisay joR louN phir.... :)
|