josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 11:24pm |
|
|
Joru Ka Ghulam: Should Husband Take Part In Domestic Chores?
bv k sath thora bohat kaam mai uski madad karna ye sunnat tareeka hai aur sunnat par amal karnay say sawab milta hai... lekin ajkal agar koi apni bv k sath koi bi kaam karay to usay JORU KA GHULAM kaha jata hai.
saray members is baray mai apni apni opinion batain aur ye bi batain k bv k sath ghar k kisi kaam mai uski help karni chahiye ya nahi ? agar karna chahiye to kis had tak karna chahiye ? aur ye help kin kamo mai ki ja sakti hai ??
agar is tara kaam karnay ki waja say maa baap bhen bhai gusa karain ya mazak uranay lag jaein to phir kia karna chahiye ?
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 2:14pm |
|
|
Karni Chahiyai jo loag aesa kehtay hai (joro ka ghulaam) .......... wo ya tou jealousy ka shikaar hojatay hai ya phir mazaak main keh rahay hotay hain ....................
agar shohar kay paas apni kaam ki masrofiyaat ko nikaalnay kay baad itna wakt ho kay tou usay apni wife ka haath zaroor batana chahiyai..........main samajhta hoon is main ki buri baat nahi .........balkay is say rishta aur mazboot hoga.........
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:4th Feb 2008, 5:00am |
|
|
i think agreed to hitman
zarur kerni chahiye madad
zaruri nahi k jub biwi bemar ho tub hi ap uski help kereyn
ap daily routine mein bi us ki help ker sktey hain
like, in cooking, bachay sambhalna, ghar ki safaai, bartan dhona, table lagana, etc etc....ye sub ap k interest pr depend kerta hai
and i think k ye sub kaam itna mushkil bi nahi hotey...jub insan kerna chahy to sub kuch asaaan lagnay lagta hai
lekin jub sirf 1 insan means sirf biwi hi wohi kaam karey to wo bi fedup ho jati hai akeley...lekin jub 2 log mil k kaam kertey hain to maza bhi ata hai aur dono mein relationship strong hota hai,.....biwi ki nazar mein husband ki respect, care aur love bhi bht barh jata hai |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 8:42am |
|
|
kabi kabar to theek hai par... manay dekha hai kuch mard shadion par bachay uthaey rakhtay hain aur unki bivain mazay say shadion par khush gapian maar rahi hoti hain, unko dekh kar yehi khayal ata hai k ye kis kisam ka mard hai.... aur aisay mard jo apni routine hi bana laitay hain, bv k sath safaee karanay ki aur bachay sambhalnay ki, unko jealousy say nahi balkay dekhnay walay unko orat type mard kehtay hain aur samajhtay hain....
mere khayal say thora bohat kaam to theek hai lekin had say ziada bi achi bat nai hai k bv aram say bed par lait jaey aur husband ghar ki safaiyan kar rha hon aur khana bana raha ho. |
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 2:32pm |
|
|
Jooooooosh Bhai josh kiya shadi ki fikar lahaq hogain hain. Lagta to yahi hai ajkal ap aisi hi post kar rahai hain jismai shadi sai related koi na koi bat ho.
Well wife ka hath batana koi ghalat bat nahi hai. Agar kisi kai ghar walai naraz hotai hain to uski bhi aik wajha hai. let me give an example.
let suppose shadi sai pahlai apki mother apkai dress wash karti thee aur shadi kai baad ap apnai dress khud dhonai lagai yah apnai massi rakhli. Yah aik natural chez hai jo sab kai dil mai ati hai kai shadi sai pahla to aisa tha ab shadi hogai to kaisa badal gaya hai.
Main wajha yahi hoti hai ka jo kam ham shadi sai pahlai nahi kartai hai wohi kam ham shadi kai baad kartai hai. jabhi log kahtai hai ka joru ka ghulam.
Waisa mera hisab sai agar ap apni wife ki help kar rahai hai kamon mai to esmai koi harj nahi hai aur yah to bohot hi achi bat hai. Josh bhai shadi kai baad ap apni wife ki bar char kai help kariyaga koi kuch nahi kahaiga apkoi inshallah. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 2:48pm |
|
|
REply ::::::::: Joru Ka Ghulam: Should Husband Take Part In Domestic Chores? mujhe bhi is type kay mard pasand nahi hain jo full time duty anjaam denay lagtay hain ................ theek hai agar mard ye tamaam kam apni khushi say karey tou koi baat nahi ..........likin biwi ka ghulaam ban jaana bhi wohi case hai jis main biwi shohar ki ghulam ban jaati hai ...............dono ka na ek dosray k upper bartari ka rishta ho aur na kamtari ka. ..........bas equal ho...........
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 3:01pm |
|
|
hitman Bhai lagta hai kai ap es topic ko phar kai ghussai mai agai ho. Dost basically joru ka ghullam aik mahawara hai. Aur jab bhi husband wife ka bohot ziyada khayal rakhnai lagta hai to aksar log yah mahawara estimal kartai hai.
Aik dusrai ki help karnai sai koi kisi ka ghullam nahi hojata hai. aur mera hissab sai hamai aik dusrai ki help karni chahiya kiyu kai jab ap apni aulad ki shadiyan kardogai to sirf again phir ap aur apki wife akaili hi rahjaingai aur ap dono aik dusrai ki help karogai. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 3:04pm |
|
|
REply ::::::::: Hungama Paji main nay bhi tou wohi kaha hai .................
dono ka na ek dosray k upper bartari ka rishta ho aur na kamtari ka. ..........bas equal ho...........
equal means friend ship .................
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 3:16pm |
|
|
josh and hitman hitman: Bilkul sahi. aisa hi hona chahiya.
Josh: Dost apki ejazat chahiya kiyu kai apka topic thora sa divert hojaiga jo sawal mai puchna chata hon. agar ap ejazat dain to mai question karon magar question husband wife relation sai related hi hai.
so waiting |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:6th Feb 2008, 3:05am |
|
|
:-) agreed to hungama...
thora boht kertey rehna chahiye ek dusrey ki help.....aur jo hungama ne example batayi hai, wo bi bilkul sahi hai....it shows pure reality....
but un logon ko koi masla nahi hota jo shadi se pehle bi aise kam kertey rehtey hain.....means k jo shadi se pehle bi apni mother ki help kertey rehtey hain.....to un logon ko chahiye k wo shadi k bad bi ye sub jari rakheyn aur sirf biwi k na bun jayen balke biwi aur mother, dono ki kamon mein help kertey raha kereyn....is se maan bi khush aur biwi bi khush :-)
just like meeeeeeee....hehehe....bcoz main to shuru se hi aia hun aur meri maan ne meri her kaam mein aadat dali hain...unhon ne meri tarbiat hi shuru se aise ki hai.....main shadi se pehle bi apni mother ki help kerta tha aur ab bhi kerta hun.....bus ye bat hai pehle sirf maan ki kerta th aur ab biwi ki bhi kerta hun :-) |
Alveena20 |
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
28
|
|
Posted on:6th Feb 2008, 3:38am |
|
|
Joru Ka Ghulam nahi chahye mujhay
Is topic ka title change kya gaya
hai jiss ki wajay se yahan comments denay ko mera dil nahi kar raha hai lekin
phir bhi main kuch likh daiti hoon.
Josh
bhai aab mera yeh matlab bhi nahi tha kay husband ko ghar kay saray kaam karnay chahye
Lekin thori bahot to madad karni chahye
na.agar husband kay pass time ho to.is
tarah jo kaam bivi 2 hours mein karti hai . wo 1 hour mein khatam jo jata hai.
:)
Cooking: mujhe siraf
onion katana mushkil lagta hai.agar koi nahi kaat kay de ga to main khud kaat
liya karon gi.its ok :(
Ghar ki safai:aab main itni bhi zalim bivi nahi banu gi kay
husband se puray ghar mein jhaarhu
lagwaoun gi.lekin thori bahot ghar ki safai mein help karni chahye .warnaa its
ok :(
Bartan dhona: bartan saaf na karay lekin unhay table se
utha to sakay ga na .warnaa its ok :(
Table lagana: kon saa 100 logon kay liye lagana hai. agar
nahi lagaye ga to its ok :(
Bachay sambhalna: agar
husband ghar mein hai .wo thaaka hua nahi hai ussay zaroori
kaam se kahein baher nahi jana hai to ussay bachon kay saath time guzarna chaye. Agar wo bachon ko
sambalay gaa to koi bura kaam nahi hai us kay apnay bachay hon ge. parosion kay
to nahi na.
Bivi ghar ka kaam karay gi yaa bachon ko
sambalay gi. aisay to bivi na ghar kay kaam theek kar sakay gi na bachay
sambhal sakay gi na husband ko time de sakay gi .
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:6th Feb 2008, 9:52am |
|
|
bv ka hath batana chahiye lekin apni marzi say! i also agree with hangama's comments (6th February 2008, 12:32am) hangama jo marzi likho, muje koi aitraz nahi.
Zeb & Hangama: phir shadi ka faida kia hua ? agar koi insan pehlay koi kaam nai karta tha, na safaee na bartan na kapray dhonay, to shadi k baad to wo phas gaya , ab bv k sath bartan bi manjta ha kapray bi dhota hai aur khana bi banata hai... suppose agar koi mard kisi waja say shadi say pehlay apni job k sath sath ye saray kaam karta tha, to shadi k baad to usay kuch thora araaam milna chahiye. maa to maa hai uski khidmat karna aur baat hai lekin bv k sath usi tara kaam karna ..(i mean k had say ziada kaam karna)..??
To All Members: Husband ki thori si bartari to Allah nay bi rakhi hui hai, mard apni bv ko hukam day sakta hai lekin bv apnay mard ko hukam nahi day sakti... so in my opinion there is no 100% equality in husband & wife relationship.
Alveena apnay achi batain ki hain, aisi hi soch har larki ki honi chahiye... husband say kaam na hi karaya jaey to acha hota hai,, wo khud kuch help karna chahay to aur bat hai, lekin bv ko ye nahi kehna chahiye k mai sonay lagi hon to ap kapray dho lo aur khana bana lo aur safae kar do etc.. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:6th Feb 2008, 10:51am |
|
|
i think mera khayal hai ke husband ko ghar me help karni chahye...
lekin mai ye bhi nahi kehti ke wo kam se thakka aye aur a kar Ghar me kam kare,balke tab araam karna uska Haq banta hai...
but i think agar husband ke pas job nahi hai aur wo job ki talash ki wajah se ghar se bahir bhi nahi hai,to use apni wife ki help karni chahye,ek dusre ko thodi bohat sopport dene se bhi pyar bharta hai,
chahe husband kam na kare,par itna to kar sakta hai ke jo cheez uthaye wo wapis jaga pe rakh de..?
ye mere husband ki bohat buri adat thi,jiski wajah se humara aksar ikhtalaf bhi hota tha,but shukar hai ab unki ye adat ahista khatam ho gayi hai,
unhon ne jahan smoking karni ashtry wahi chod deni,Koi letter aya,to mez pe saja dena,aur is tarah dher ikhatta ho jata tha,and i hate it.mai unse is bat pe hamesha larrti thi,ke jab maine letters ke lye jaga banayi hai to kya tukk banti hai ke har cheez mez pe la kar saja deni..? meri is laddayi ka ye faida hua ke ab wo kafi hadd tak sudhar gaye hain is mamle me,
and secondly ab, mere 2 chote kids hain jo takreeban ek hi age ke hain,aur is wajah se din kafi tention me guzarta hai,aur agar mere husband help na karte to mai shahid pagal ho gayi hoti...
zaroori nahi hai,ke wife ki help karna sirf bartan majhna hi hai,ya jaroo lagana etc..aur agar aisa kar bhi denge to kya hai??
apna hi Ghar hai,aur apne Ghar ko sawarne ke lye agar Aurat sara din lagi rehti hai to husband kyun nahi din me ek do chote mote kam kar sakta...?
mai is generation se kam se kam ye expext karti hun ke wo thoda bohat apni wife ki help karte honge...
like zeb,Hitma,Hungama... and agar koi help karta hai to iska ye matlab nahi ke wo joru ka ghulam ban gaya,balke ye ilzam wo lagate hain jo jelous hote hain, |
Alveena20 |
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
28
|
|
Posted on:6th Feb 2008, 12:15pm |
|
|
Sunehri sis aap ne bahot achi baatein likhi hain. Zeb bhai Hangama bhai ki to sari baatein achi hain. in dono ne meray dil ki baatein likhi hain.hahhahahah
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:6th Feb 2008, 3:02pm |
|
|
Josh Dost baishak mard ko biwi per bartari hasil hai laikin aisa nahi hota jo bat ap samajh rahai hai. Koi bhi biwi apnai husband ko hukum nahi daiti hai aur jaha pai aisa hota hai waha pai joru ka ghulam hi hota hai husband nahi.
Agar mai apni wife ka hath batata hon aur uskai sath kam share karlaita hon to eska matlab yah nahi hai kai mai joru ka ghulam hon eski wajha yah hai ka jab insan kisi kai sath mohobbat karta hai to usko aram pohchana chata hai. Kuch chezain jo woh shuru mai nahi karta shayad uswaqt un chezon ka dehan nahi hota insan ko. Agar apkai ghar mai koi apkai kaprai dhonai wala nahi ho to ap apnai kaprai khud hi dholaingai naa bhai. Shadi kai bad ap kaprai khud uswaqt dhoaingai jab yah to apki wife ki tabiyat kharab ho yah apko pata ho kai apki wife bohot hi ziyada thaki howi hai.
Koi wife yah pasand nahi karti kai balkai yah kahta hon kai meri wife yah pasand nahi karti kai mai ghar kai kam karon unkai hotai howai woh kam jo auraton kai hai jabkai woh khud bhi job karti hain but mai unka kam share karnai k i khud sai bohot koshish karta hon kiyu kai mujhai pata hai kai jab mai job karta hon aur sara din thaka howa ata ho to meri wife bhi job karti hai aur woh bhi sara din ki thak howi hoti hai to mera bhi yah farz banta hai kai mai uski help karon. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:6th Feb 2008, 3:42pm |
|
|
Hungama ye jan kar bohat khushi hui,ke ap bhi zeb ki tarah bohat caring hain...
apki wife bohat Khushkismat hain,jo unko ap jaisa husband milaa :)
keep it up,good replay... |
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:7th Feb 2008, 12:49am |
|
|
thanks Har insan ko aisa hi hona chahiya yah nahi sochna chahiya kai duniya kiya kahaigi. Asal bat yah hai ka insan ko woh karna chahiya jo sahi hai. Mujhai yah sahi lagta hai to mujhai ko parwa nahi kai koi kiya kahta hai. Any way thanks for understanding me. |
Alveena20 |
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
28
|
|
Posted on:7th Feb 2008, 1:16am |
|
|
Josh bhai joru kay ghulam aisay nahi hotay jaisa aap samajhtay hain Joru ka ghulam wo hota hai. jo har waqt bivi kay ghutnay se
lag kay bhaitha rehta hai. bivi ki har jahez na jahez baat mantaa hai jo har
kaam bivi ki marzi ka karta hai, bivi kay kehnay pe ghar walon se jagra karta
hai, jo apna dimaagh use nahi karta. har cheez bivi ki nazar se dekhta hai . jo
ye samajhta hai kay meri bivi jo kehti hai bas wo he sahi hai, baqee sab ghalat
hai. bivi kay kehnay pe kisi se seedhay muh baat nahi karta. Aur jis ki bv ye
kehti hai , mai sonay lagi hon to ap kapray dho lo aur khana bana lo aur safae
kar do etc. aisay hotay hain joru kay ghulam ))lekin mujhay aisa
husband nahi chahye jo khana kha kay kahe dear khana acha tha, ja kay
tv kay samnay bhaith jaye etc etc aisay matalbi husband mujhay achay nahi
lagtay , (bivi ka haath batana chahye lekin apni marzi se ) aap bivi se ghar kay kaam karwanay kay liye
shadi kar rehein hain. Apnay aaraam kay liye aap ki bv aap kay saray kaam
karay gi , aap kay araam ka kheyal rakhay gi. Lekin us ka kheyal kon rakhein
ga??? Jo Bivian sara din kaam karti hain. Un kay matalbi husband ghar aaye
ge. Aur raat ko kuch hardardi jaata
daitay hain teen chaar mohabbat bahray bol bol daitay hain oh dear tum sara din
kaam karti rehi ho thaak gayi ho gi ye wo etc etc.. Apna matlab pura honay kay
baat bv jaye bahar mein…agar aap bv ki help karay ge is se aap ki izzat mein
kami nahi aaye gi. Aap dono mein pyar baray gaa.
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:7th Feb 2008, 2:08am |
|
|
hmm.. hangama u are a caring man. i like your attitude with your wife. isi tara karna chahiye, khud khayal rakhna chahiye... zeb is also a v.caring man... ye to theek hai , lekin mai un logo ka keh raha tha jo shadi ho janay par sab kuch bhool jatay hain aur bas bv k peechay lagay rehtay hain.. lekin tum dono miyana ravi say kaam laitay ho, jo k bohat achi bat hai... |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:7th Feb 2008, 2:13am |
|
|
Alveena... Alveena apnay to bohat acha explain kar dia. very nice.
mai bi yehi kehna chah raha tha jo apnay baray achay tareekay say likha. Thanks. |
|