reply: Vagina Tightness
Yah phatkari wala mashwera intihaai namaqool hay aur aap plz aisa koi kaam na kerain, kayounkay Vagina sirf jism ka bairooni hisa nahi hay, balkay yah aik aisa senstive hisa hay jo kay aurat kay jism kay ander tak janay ka aik raasta bhi hay. Ab iss jagga per aisi koi chees istimaal kerain gay tu uss ka aser sirf baher tak hi nahi ho ga balkay ander bhi jay ga aur bohat mumkin hay kay iss tara say UTEROUS kay ander infection ho jay ya koi aur masla ho jay, iss liay bahter hay kay ya kaam na kerain. 2-Aurat ki vagina ka baher wala hisa bachhay ki paidaish kay waqat ya tu apnay aap phat jata hay, yani kay skin phat jati hay, ya phir doctor hood iss waqt main uss hisay ko cut lagga daiti hay. Ab ager doctor nay cut lagaya hay tu wo delivery kay baad iss hisay ko taankay lagga ker si daiti hay jis say yah phir say apni pahlay wali shape main wapis aa jata hay. Jabkay gher main delivery honay say choonkay iss hisay ko wapis nahi jora jata tu yah naturaly apnay aap hi dobara jurnay ki koshish kerta hay. Kuch auratoun main theek say jurh jata hay jabkay kuch auratoun main theek say poora nahi jurta aur aisay hi zakham bher jata hay. Ab aap kay liay sab say aasaaan tareeqa yah hay kay apni bivi ko GYNECOLOGIST doctor kay paas lay ker jain aur uss ko yah sari situation batain. Ho sakta hay kay wo abhi bhi iss hisay ko dobara normal andaaz main joar sakain. Lakin iss kay liay aap ki bivi ko poora check up kerwana ho ga. Doosra hal yah hay kay jab doosra bachha ho tu doctor say pahlay say iss mozoo per baat ker lain, tu wo iss hisay ko achhi tara say wapis tankay lagga ker durust shape main joar day gi. Mairi maloomaat kay mutabik iss maslay ki yahi wajja hay aur yahi iss ka hal hay, lakin baherhaal aap ko doctor say poochna hi ho ga.
|