sanwal yes dear...is k lie meri wife ko Dr ne kaha tha k sub se acha tareeka hai k daily walk ki jaye
daily subha ko bhi 45 minutes aur sham ko bi 45 minutes walk ki jaye....
it is the best exercise in last two months...aur is se normal delivery honey k chances bi berh jatey hain.....
baki jo pregnancy k doran jisem k phoolnay wali bat hai wo to normal si bat hai aur aisa zaroor hota hai...kisi k sath bohat ziada ho jata hai aur kisi ka itna nai phoolta....lekin ek dum se agar itni se swellling honey lag jaye ya red si skin honey lag jaye ya aur bi koi symptoms hon to foren Dr ko dikhana chahiye....
bachay ki paidaish k bad jisem agar wese hi phoola phoola sa ho to is mein bi nai ghabrana chahiye....baad mein bi walk kerni chahiye aur sath hi mother feed se bi aurat ka jisem fit ho jata hai....is k ilawa apne Dr se bi is barey mein discuss keryen...wo aurat ka checkup kertey hain to unhen ziada pata hota hai k kia sahi hai aur kia ghalat hai...kion k wo physically bi check ker rahey hotey hain |