re: postmartum Post martum ka asal maqsad death ki
wajah maloom karna hota hai. postmartum mai jism ke tamam parts ka examination
hota hai. aur jism ke tamam fluid and material (blood, csf from brain, content
from stomach and intestine) ka laboratory test hota hai.
aksar aisa bhi hota hai keh kisi
insan ko poision de kar qatal kia gia ho aur ose baad mai roof fan se iss tarah
hang kar dia gia ho keh dekhne mai lage keh iss aadmi ne suicide kia hai. isi
tarah kisi ko pahle hi gala ghont kar maar dia gia ho aur baad mai lash ko sea
ya talab mai phaink kar yeh sabit karne ki koshish ki jaaye keh yeh aadmi doob
kar mara hai.
post martum ke zaria death ki asal
wajah aur exact time of death ka pata chalaya jaasakta hai. hatta keh aik saal ke baad bhi dead
body (remaing bone and hair and nail) ko qabar se nikal kar bataya jaa sakta
hai keh os ki death ki asal wajah kia hai.
chukeh postmartum mai lash ki cheer
phaar hoti hai aur laboratory tes ke liye jism ke kuch tissu (parts) nikal liye jaate hai, iss liye laash ke waaris postmartum karana nahi chahte. laash ka postmartum karane se woh family bhi inkar kar deti hai jo death ki asal wajah chupana chahti hai. Example aik lash samandar (sea) se mili, sab ka khial tha keh yeh aadmi doob kar dead hua hai, shaid is ne khoodkashi ki hai. postmartum se pata chala keh is ke stomach aur lungs mai samandar ka paani nahi hai. jis se yeh saabit hua keh is ki death doobne se nahi huyee balke, dead hone ke baad laash ko samandar mai phaink di gayee hai. chukeh dead body saans nahi le sakta, aur na hi kuch kha pee sakta hai, isi liye os ke lungs aur stomach mai samandar ka pani nahi jaa sakta. agar death doobne se hoti tu os ke stomach aur lungs mai samandar ka paani sazmi hota.
Dead Body For Medical Student Medical student, disection ke liye jo dead body istemal karte hai wo darasal lawaris dead body hoti hai. maslan aisee laash jis ka koi waris na ho.
|