re: brain tumor Brain tumor ki soorat mai brain per pressure parta hai, pressure ki wajah se headach, vomiting aur chakkar hona shuru ho jaata hai, iss ke ilawa brain tumor brain ke jis hissa mai hota hai woh hissa kaam kerna chor deta hai, aur os ke bhi alamat shuru ho jaate hai.
lekin iss ka yeh matlab nahi keh agar kisi ko headach, vominting aur chakkar aa raha ho tu os ka matlab hai keh os ko brain tumor hi hai, yeh alamat doosri wajoohat ki wajah se bhi ho sakti hai.
Brain tumor ki diagnosis clinically ke ilawah laboratory test, x-ray, ct scat aur MRI ke zaria kia jaata hai. aksar brain tumor surgery ke baad theek bhi ho jaate hai.
aap ko mashwarah hai keh aap apne family physician se consult kare. on ke ilaj se aap theek ho jaaye ge, agar brain tumor ka shak hua tu x-ray aur ct scan bhi karaya jaaye ga. lekin qabal az waqt yeh nahi kaha jaa sakta keh headach, vomiting aur chakkar ki alamat brain tumor ki wajah se hai. |