Depression Of Nasal Bone: How Can It Regain Its Original Position?
Assalam alaikum! Doctor sahib meri behen jab chooti thi tu uss ko face per sakht derwaza luga tha kuin k wo uss wakt derwazay k doseri teruf thi aur kisi ne uss ko open ker diya tha,es se uss ki nasal bone right side se slip ho ker ooper ki teruf chali gayi thi.wo bahot khoobsoorut thi but door lugnay k bahd gradually uss ki smile me bhi change ah gayi aur right side se uss k face k features me bhi change aanay lagi,phir ab wo jab baatain kerti hai tu right side se uss k lips ooper ki teruf zayada uth jaatay hen aur face me both sides per balance bhi nahi raha sirf uss aik bone k displace honnay ki waja se. Ab mujhey aap se pochna ye hai k hum kiya kerain jis se uss bachi k face features regain ho jayain,kiya hum uss ki nasal bone ka x-ray kerayain aur phir kisi doctor ko wo x-ray report dekhayain,kiya kuch aisa operation ya surgery hai jis se ye bone reset ho sakay aur ager hai bhi tu es per kitna paisa lug sakta hai.please doctors reply kerain because meri mother aur hum uss buchi k matter me bahot tense rahtay hen aur hum sub uss ko pelhay jaisa dekhna chahtay hen es sub k bahd wo buchi complex ka shikaar bhi ho gayi hai. Thank you.
|