re: pelhay tu aap es baat ka jawaab dain ke ye girlfriend hoti kya hai?aap ne aaj tak ussay bola ke main tumhain like kerta hon aur tum se hi shadi kerna chahta hon.....laikin aap tu ussay girlfriiend sumajhtay han aur wo aap ko boyfriend tu es relation ka result tu yehi hona hai na.
sahi bat hai mujhe tu es girlfriend-boyfriensd relation ki logic hi aaj tak sumajhe nahi ayi..
aap uss ki baat bahd ma kerain pelhay zara ye batayain aap ko ager wo pasand hai tu aap uss se shaadi kuin nahi kertay as a girlfriend kuin treat kertay han.uss ko apni izat kuin nahi buna laitay takay wo sirf aap ki hi ho ker rahay?
ager aap ussay like nahi kertay aur uss ke saath sincere nahi tu ussay chor kuin nahi daitay.
remember supreme ye girlfriend aur boyfriend etc kuch nahi hota balkay sub kuch wohi hota hai jis se humari shaadi ho.
shaadi se pelhay na kisi aur se pyar kerain aur bharoosa tu bilkul bhi kisi per na kerain kuin ke aaj kal her kisi se kuch bhi expect kiya ja sakta hai....KHUDA se dua kerain ke aap ko naik aur achi bivi day aur aap ki zindagi izat aur ikhlaq se guzer jaye....baki chakaroon ma na perhain....
dekhain supreme bhaiya dunia aisay logon se bhari pari hai jo girlfriends bunatay han aur ladkiyon se flirt waghaira keratay aur timepass ke liay un se dosti kertay aur apni desires pori kertay han...aik shareef,khandani,sumajhedar aur mature insaan aisay qaam nahi kerta wo bus aik ladki ka ho ker rahta hai aur ussi ke saath sincere hota hai aur uss ko apni izat sumajhta hai.
ager wo ladki aisay kerti hai tu aap aik qaam kerain ussay chor dain.kya pata ALLAH pak ne aap ke liay koi es se bahter ladki naseeb ma rakhi ho..aur plz further koi aur girlfriend na bunayain...dekhain aap per sirf aap ki bivi ka khaas haq hai tu wo aap kisi aur ko na dain...insaan aur janwer ma yehi shahoor ka farq hai jis ki wajha se ALLAH ne insaabn ko priority di.
ye premarital relations humari marital life ko bhi upset kertay han so shaadi se pelhay kisi qisum ka taluq na rakhain werna maslay aur ladayiyan hi hon gi.
humain bara charming lagta hai ke humari marzi ka koi insaan milay,ye pyar wayar aur shaadi se pelhay ke relations laikin ye tabahi hai sirf aur es sub ki koi haqiqat nahi.
abhi tu aap ki age sirf 22 years hai aap abhi sirf apni studies per concentrate kerain,apna career bunayain aur apni zindagi ko sanwarain aur apnay pain oer kharay hon baki her tara ka khayal dil se nikal dain.
apnay walidain ki khidmat kerain,un se duayain lain aur khud paanch waqt namaz parh ker Khuda se apnay liay aur apnay ghar walon ke liay dua kiya kerain.plz apni zindagi in bekaar ki baaton ma kherab mat kerain.
aap ke naseeb ma jo ladki ho gi wo aap ko khud hi sahi time per ALLAH ata ker day ga...sirf ALLAH se apnay achay moqader ki dua kiya kerain.OK
ALLAH uss ladki ko ,aap ko aur hum sub ko hidayat day Aamin :-( |