Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ghusal In Islam: Ghusal Ka Tariqa (Ghusl Janabat) For Man And Woman

Religion and Culture   >>  Religious Information
 
 
 
New Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 64  Post: 233  Age:  35  
Posted on:9th Oct 2009, 2:18pm
 

Ghusal In Islam: Ghusal Ka Tariqa (Ghusl Janabat) For Man And Woman

kia nail polish utarai baghair ghusal kia jasakta hai. yan nail polish lagi hi rahai to koi problem nahin

What is the correct way to perform Ghusal in Islam and whether Ghusal can be performed with nail polish?



waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:9th Oct 2009, 2:24pm
 

Ghusal In Islam: Ghusal Ka Sahi Tareeqa

kia nail polish utarai baghair ghusal kia jasakta hai.

ans.ny kia ja sakta hy.

yan nail polish lagi hi rahai to koi problem nahin

ans.problem hy agr nail polish lagi hy to polish ki tee nakhoon tak pani ny pochaygii or iss tarah gusal ka frzz ada ny hogaa yani k gusal hi ny hogaa.

In order to know about the correct way of Ghusal, Click the following:

Ghusal In Islam: Correct Way To Perform Ghusal For Man And Woman

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6738  Age:  54  
Posted on:10th Oct 2009, 5:13am
 

Ghusal Ka Islami Tareeka: Nail Polish Per Ghusal Nahi Hota

1. nail polish lagi rahay to nah wazoo hota hai nah ghusal. lehaza wazoo karnay aur ghusal karnay say qabal nail polish ko thinner say mokammal taur par saaf karna zaroori hai.

2. jab bhi kabhi nail polish yaa deger make up karna ho to pahlay wazoo karlain (agar ghusal already hai yaani ghusal farz nah ho to) takay nail polish /make up etc lagi rahnay k dauran bhi namaaz paRhi jasakay.

3. nail polish lagany ki  shauqeen namazi bahnouN k liyeh aik nuskha hai k nails par kaii baar mehandi (hinaa) lagaa laiN... jab color shokh ho jaa.ay to door say aisaa lagegaa k nail polish laga howaa hai.... ab ap isi rangeen nails par ghusal bhi kia jasakta hai aur wazoo bhi...... kiyouNkay k mehandi lagi ho to pani nails tak pahonch jata hai. polish ki soorat main nahi pahonchta.

naamshahid Group: Members  Joined: 23rd Jul, 2009  Topic: 6  Post: 116  Age:  32  
Posted on:10th Oct 2009, 9:42am
 

Islam Aur Ghusl Janabat: Sahi Tarika Kia Hai?

Nail polish agar lagi rehe tou ghusal nahi hota aur na hi wozu hota hai

q k nail polish ki waja se pani nails per nahi jata jab k ghusal k liye zaroori hai k water her jaga pe jaye

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:10th Oct 2009, 10:28am
 

Ghusal Ka Islami Tareeqa

me also agreed k nailpolish lagi ho to na ghsal hota hai na wuzu aur na hi namaz kabul hoti hai

For details please read:

Ghusal In Islam: Ghusal Ka Tareeqa For Men And Women

Ghusal In Islam: Way To Perform Ghusl-e-Farz

Ghusal In Islam: About Ghusl-e-Janabat

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6738  Age:  54  
Posted on:13th Oct 2009, 5:25am
 

Ghusal In Islam: Mehndi Per Se Ghusal Ho Jata Hai

actually aisaa khud meray saath pesh ayaa thaa... meri waledah nay jab apni nayee naweeli bahoo ko maslah samjhatay howay batlayaa thaa k bety agar nail polish lagi ho to wazoo aur ghusal nahi hotaa... aur tum nail polish saaf kiye beghair hi namazaiN paRh rahi ho ....... bahoo nay apnay naakhun onhaiN qareeb say dikhlatay howay batlayaa k jissay aap nail polish samajh rahi haiN woh nail polish nahi balkay mehandi-color hai
Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1792  Age:  28  
Posted on:13th Oct 2009, 8:53am
 

Ghusal In Islam: Kin Cheezon Per Ghusal Ho Jata Hai

kia reference se bata sakte hai keh nail polish allow nahi hai, jabkeh mehndi allow hai. scintifically mehndi bhi color hai. kia Hazoor (PBUH) ke zamane mai nail polish istemal hota tha? agar hota tha tu kia os ki chemistry wahi hoti thi jo mojooda nail polisch ki hai?

yeh aik confuse kerne wali baat hai keh agar mehndi allow hai tu nail polish kio allow nahi hai. dono ka maqsad nail ko color kerna hai. agar nail polish ke ingrediant halal matter se ho tu kia nail polish nahi lagaya jaa sakta.

kia standard nail polish ke bajaye kisi aur color (red, green, blue etc) se nail ko color kia jaa sakta hai. kia polish, paint ya color ka masla hai?

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6738  Age:  54  
Posted on:13th Oct 2009, 10:41am
 

Ghusal Ke Islami Tariqe Ke Wazahat

1. mehandi say nail /hands rungeen to ho jatay haiN... magar nails /hands k ooper koi coating (like paints) nahi chaRhti.... mehandi lagay haath/nails ko agar dhoyaa  jaa.ay to pani hands k skin aur nails ki original satah ko dho detay haiN.... ghusal aur wazoo maiN skain/nails /hair ki original surface ko dhona laazmi hai..... mehandi daaRhee aur baaloun maiN bhi lagaayee jati hai aur aisaa ulemaa e karaam bhi kartay hain... daaRhe maiN mehandi laganaa aam hai... aur mehandi lagay daRhee, haath, nails say wazoo, ghusal hojata hai....... skin-hairs ko bleech karnay say bhi iska color change hojata hai, magar hairs k ooper koi coating nahi chaRhti issliyeh bleeched hairs par bhi wazoo /ghusal hojata hai

2. nail polish ho yaa water-proof make up.... iss k opper say water wash karnay say face skin ki original satah wash nahi hoti nah hi nails ki original laher wash hoti hai... polish nails k oopeer aik new artificial layer ki coating kardeti hai....... iss liyeh nail polish / water-proof make up say wazoo /ghusal nahi hotaa

3. nail poilish kissi bhi color /material ka use kia jasakta hai.... but agar polish k ingrediants confirmed HARAM ho to aisaa polish haraam hogaa... other wise har qism ka polish allowed hai... but wazoo /ghusal  karnay k liyeh nail polish remove karna hogaa

 

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013